Hizqīel 18

har ek ko sirf apne hī āmāl kī sazā milegī

1rabb mujh se hamkalām huā, 2“tum log mulk-e-isrāīl ke liye yah kahāvat kyūṅ istemāl karte ho, ‘vālidain ne khaṭṭe aṅgūr khāe, lekin un ke bacchoṅ hī ke dāṅt khaṭṭe ho gae haiṅ.’ 3rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, āindā tum yah kahāvat isrāīl meṅ istemāl nahīṅ karoge! 4har insān kī jān merī hī hai, ḵẖwāh bāp kī ho yā beṭe kī. jis ne gunāh kiyā hai sirf usī ko sazā-e-maut milegī.

5lekin us rāstbāz kā muāmalā farq hai jo rāstī aur insāf kī rāh par chalte hue 6na ūṅchī jagahoṅ kī nājāiz qurbāniyāṅ khātā, na isrāīlī qaum ke butoṅ kī pūjā kartā hai. na vah apne paṛosī kī bīvī kī behuramtī kartā, na māhavārī ke daurān kisī aurat se hambistar hotā hai. 7vah kisī par zulm nahīṅ kartā. agar koī zamānat de kar us se qarzā le to paise vāpas milne par vah zamānat vāpas kar detā hai. vah chorī nahīṅ kartā balki bhūkoṅ ko khānā khilātā aur naṅgoṅ ko kapṛe pahanātā hai. 8vah kisī se bhī sūd nahīṅ letā. vah ġalat kām karne se gurez kartā aur jhagaṛne vāloṅ kā munsifānā faislā kartā hai. 9vah mere qavāid ke mutābiq zindagī guzārtā aur vafādārī se mere ahkām par amal kartā hai. aisā shaḵẖs rāstbāz hai, aur vah yaqīnan zindā rahegā. yah rabb qādir-e-mutlaq kā farmān hai.

10ab farz karo ki us kā ek zālim beṭā hai jo qātil hai aur vah kuchh kartā hai 11jis se us kā bāp gurez kartā thā. vah ūṅchī jagahoṅ kī nājāiz qurbāniyāṅ khātā, apne paṛosī kī bīvī kī behuramtī kartā, 12ġarīboṅ aur zarūratmandoṅ par zulm kartā aur chorī kartā hai. jab qarzdār qarzā adā kare to vah use zamānat vāpas nahīṅ detā. vah butoṅ kī pūjā balki kaī qism kī makrūh harkateṅ kartā hai. 13vah sūd bhī letā hai. kyā aisā ādmī zindā rahegā? hargiz nahīṅ! in tamām makrūh harkatoṅ kī binā par use sazā-e-maut dī jāegī. vah ḵẖud apne gunāhoṅ kā zimmādār ṭhaharegā.

14lekin farz karo ki is beṭe ke hāṅ beṭā paidā ho jāe. go beṭā sab kuchh dekhtā hai jo us ke bāp se sarzad hotā hai to bhī vah bāp ke ġalat namūne par nahīṅ chaltā. 15na vah ūṅchī jagahoṅ kī nājāiz qurbāniyāṅ khātā, na isrāīlī qaum ke butoṅ kī pūjā kartā hai. vah apne paṛosī kī bīvī kī behuramtī nahīṅ kartā 16aur kisī par bhī zulm nahīṅ kartā. agar koī zamānat de kar us se qarzā le to paise vāpas milne par vah zamānat lauṭā detā hai. vah chorī nahīṅ kartā balki bhūkoṅ ko khānā khilātā aur naṅgoṅ ko kapṛe pahanātā hai. 17vah ġalat kām karne se gurez karke sūd nahīṅ letā. vah mere qavāid ke mutābiq zindagī guzārtā aur mere ahkām par amal kartā hai. aise shaḵẖs ko apne bāp kī sazā nahīṅ bhugatnī paṛegī. use sazā-e-maut nahīṅ milegī, hālāṅki us ke bāp ne mazkūrā gunāh kie haiṅ. nahīṅ, vah yaqīnan zindā rahegā. 18lekin us ke bāp ko zarūr us ke gunāhoṅ kī sazā milegī, vah yaqīnan maregā. kyūṅki us ne logoṅ par zulm kiyā, apne bhāī se chorī kī aur apnī hī qaum ke darmiyān burā kām kiyā.

19lekin tum log etirāz karte ho, ‘beṭā bāp ke qusūr meṅ kyūṅ na sharīk ho? use bhī bāp kī sazā bhugatnī chāhie.’ javāb yah hai ki beṭā to rāstbāz aur insāf kī rāh par chaltā rahā hai, vah ehatiyāt se mere tamām ahkām par amal kartā rahā hai. is liye lāzim hai ki vah zindā rahe. 20jis se gunāh sarzad huā hai sirf use hī marnā hai. lihāzā na beṭe ko bāp kī sazā bhugatnī paṛegī, na bāp ko beṭe kī. rāstbāz apnī rāstbāzī kā ajr pāegā, aur bedīn apnī bedīnī kā.

21to bhī agar bedīn ādmī apne gunāhoṅ ko tark kare aur mere tamām qavāid ke mutābiq zindagī guzār kar rāstbāzī aur insāf kī rāh par chal paṛe to vah yaqīnan zindā rahegā, vah maregā nahīṅ. 22jitne bhī ġalat kām us se sarzad hue haiṅ un kā hisāb maiṅ nahīṅ lūṅgā balki us ke rāstbāz chāl-chalan kā lihāz karke use zindā rahane dūṅgā. 23rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki kyā maiṅ bedīn kī halākat dekh kar ḵẖush hotā hūṅ? hargiz nahīṅ, balki maiṅ chāhatā hūṅ ki vah apnī burī rāhoṅ ko chhoṛ kar zindā rahe.

24is ke bar’aks kyā rāstbāz zindā rahegā agar vah apnī rāstbāz zindagī tark kare aur gunāh karke vahī qābil-e-ghin harkateṅ karne lage jo bedīn karte haiṅ? hargiz nahīṅ! jitnā bhī acchhā kām us ne kiyā us kā maiṅ ḵẖayāl nahīṅ karūṅgā balki us kī bevafāī aur gunāhoṅ kā. un hī kī vajah se use sazā-e-maut dī jāegī.

25lekin tum log dāvā karte ho ki jo kuchh rabb kartā hai vah ṭhīk nahīṅ. ai isrāīlī qaum, suno! yah kaisī bāt hai ki merā amal ṭhīk nahīṅ? apne hī āmāl par ġaur karo! vahī durust nahīṅ. 26agar rāstbāz apnī rāstbāz zindagī tark karke gunāh kare to vah is binā par mar jāegā. apnī nārāstī kī vajah se hī vah mar jāegā. 27is ke bar’aks agar bedīn apnī bedīn zindagī tark karke rāstī aur insāf kī rāh par chalne lage to vah apnī jān ko chhuṛāegā. 28kyūṅki agar vah apnā qusūr taslīm karke apne gunāhoṅ se muṅh moṛ le to vah maregā nahīṅ balki zindā rahegā. 29lekin isrāīlī qaum dāvā kartī hai ki jo kuchh rabb kartā hai vah ṭhīk nahīṅ. ai isrāīlī qaum, yah kaisī bāt hai ki merā amal ṭhīk nahīṅ? apne hī āmāl par ġaur karo! vahī durust nahīṅ.

30is liye rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai isrāīl kī qaum, maiṅ terī adālat karūṅgā, har ek kā us ke kāmoṅ ke muvāfiq faislā karūṅgā. chunāṅche ḵẖabardār! taubā karke apnī bevafā harkatoṅ se muṅh phero, varnā tum gunāh meṅ phaṅs kar gir jāoge. 31apne tamām ġalat kām tark karke nayā dil aur naī rūh apnā lo. ai isrāīliyo, tum kyūṅ mar jāo? 32kyūṅki maiṅ kisī kī maut se ḵẖush nahīṅ hotā. chunāṅche taubā karo, tab hī tum zindā rahoge. yah rabb qādir-e-mutlaq kā farmān hai.