Hizqīel 17

aṅgūr kī bel aur uqāb kī tamsīl

1rabb mujh se hamkalām huā, 2“ai ādamzād, isrāīlī qaum ko pahelī pesh kar, tamsīl sunā de. 3unheṅ batā, ‘rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ek baṛā uqāb uṛ kar mulk-e-lubnān meṅ āyā. us ke baṛe baṛe par aur lambe lambe paṅkh the, us ke ghane aur raṅgīn bāl-o-par chamak rahe the. lubnān meṅ us ne ek deodār ke daraḵẖt kī choṭī pakaṛ lī 4aur us kī sab se ūṅchī shāḵẖ ko toṛ kar tājiroṅ ke mulk meṅ le gayā. vahāṅ us ne use saudāgaroṅ ke shahar meṅ lagā diyā. 5phir uqāb isrāīl meṅ āyā aur vahāṅ se kuchh bīj le kar ek baṛe daryā ke kināre par zarḵẖez zamīn meṅ bo diyā. 6tab aṅgūr kī bel phūṭ niklī jo ziyādā ūṅchī na huī balki chāroṅ taraf phailtī gaī. shāḵẖoṅ kā ruḵẖ uqāb kī taraf rahā jabki us kī jaṛeṅ zamīn meṅ dhaṅstī gaīṅ. chunāṅche acchhī bel ban gaī jo phūṭtī phūṭtī naī shāḵẖeṅ nikāltī gaī.

7lekin phir ek aur baṛā uqāb āyā. us ke bhī baṛe baṛe par aur ghane ghane bāl-o-par the. ab maiṅ kyā dekhtā hūṅ, bel dūsre uqāb kī taraf ruḵẖ karne lagtī hai. us kī jaṛeṅ aur shāḵẖeṅ us khet meṅ na rahīṅ jis meṅ use lagāyā gayā thā balki vah dūsre uqāb se pānī milne kī ummīd rakh kar usī kī taraf phailne lagī. 8tājjub yah thā ki use acchhī zamīn meṅ lagāyā gayā thā, jahāṅ use kasrat kā pānī hāsil thā. vahāṅ vah ḵẖūb phail kar phal lā saktī thī, vahāṅ vah zabardast bel ban saktī thī.’

9ab rabb qādir-e-mutlaq pūchhtā hai, ‘kyā bel kī nashv-o-numā jārī rahegī? hargiz nahīṅ! kyā use jaṛ se ukhāṛ kar phaiṅkā nahīṅ jāegā? zarūr! kyā us kā phal chhīn nahīṅ liyā jāegā? beshak balki āḵẖirkār us kī tāzā tāzā koṁpleṅ bhī sab kī sab murjhā kar ḵẖatm ho jāeṅgī. tab use jaṛ se ukhāṛne ke liye na ziyādā logoṅ, na tāqat kī zarūrat hogī. 10go use lagāyā gayā hai to bhī bel kī nashv-o-numā jārī nahīṅ rahegī. jūṅ hī mashriqī lū us par chalegī vah mukammal taur par murjhā jāegī. jis khet meṅ use lagāyā gayā vahīṅ vah ḵẖatm ho jāegī’.”

11rabb mujh se mazīd hamkalām huā, 12“is sarkash qaum se pūchh, ‘kyā tujhe is tamsīl kī samajh nahīṅ āī?’ tab unheṅ is kā matlab samjhā de. ‘bābal ke bādshāh ne yarūshalam par hamlā kiyā. vah us ke bādshāh aur afsaroṅ ko giriftār karke apne mulk meṅ le gayā. 13us ne yahūdāh ke shāhī ḵẖāndān meṅ se ek ko chun liyā aur us ke sāth ahd bāṅdh kar use taḵẖt par biṭhā diyā. nae bādshāh ne bābal se vafādār rahane kī qasam khāī. bābal ke bādshāh ne yahūdāh ke rāhanumāoṅ ko bhī jilāvatan kar diyā 14tāki mulk-e-yahūdāh aur us kā nayā bādshāh kamzor rah kar sarkash hone ke qābil na baneṅ balki us ke sāth ahd qāim rakh kar ḵẖud qāim raheṅ. 15to bhī yahūdāh kā bādshāh bāġī ho gayā aur apne qāsid misr bheje tāki vahāṅ se ghoṛe aur faujī maṅgavāeṅ. kyā use kāmyābī hāsil hogī? kyā jis ne aisī harkateṅ kī haiṅ bach niklegā? hargiz nahīṅ! kyā jis ne ahd toṛ liyā hai vah bachegā? hargiz nahīṅ!

16rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, us shaḵẖs ne qasam ke tahat shāh-e-bābal se ahd bāṅdhā hai, lekin ab us ne yah qasam haqīr jān kar ahd ko toṛ ḍālā hai. is liye vah bābal meṅ vafāt pāegā, us bādshāh ke mulk meṅ jis ne use taḵẖt par biṭhāyā thā. 17jab bābal kī fauj yarūshalam ke ird-gird pushte aur burj banā kar us kā muhāsarā karegī tāki bahutoṅ ko mār ḍāle to firaaun apnī baṛī fauj aur mut’addid faujiyoṅ ko le kar us kī madad karne nahīṅ āegā. 18kyūṅki yahūdāh ke bādshāh ne ahd ko toṛ kar vah qasam haqīr jānī hai jis ke tahat yah bāṅdhā gayā. go us ne shāh-e-bābal se hāth milā kar ahd kī tasdīq kī thī to bhī bevafā ho gayā, is liye vah nahīṅ bachegā. 19rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, us ne mere hī ahd ko toṛ ḍālā, merī hī qasam ko haqīr jānā hai. is liye maiṅ ahd toṛne ke tamām natāij us ke sar par lāūṅgā. 20maiṅ us par apnā jāl ḍāl dūṅgā, use apne phaṅde meṅ pakaṛ lūṅgā. chūṅki vah mujh se bevafā ho gayā hai is liye maiṅ use bābal le jā kar us kī adālat karūṅgā. 21us ke behtarīn faujī sab mar jāeṅge, aur jitne bach jāeṅge vah chāroṅ taraf muntashir ho jāeṅge. tab tum jān loge ki maiṅ, rabb ne yah sab kuchh farmāyā hai.

22rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ab maiṅ ḵẖud deodār ke daraḵẖt kī choṭī se narm-o-nāzuk koṁpal toṛ kar use ek buland-o-bālā pahāṛ par lagā dūṅgā. 23aur jab maiṅ use isrāīl kī bulandiyoṅ par lagā dūṅgā to us kī shāḵẖeṅ phūṭ nikaleṅgī, aur vah phal lā kar shāndār daraḵẖt banegā. har qism ke parinde us meṅ baserā kareṅge, sab us kī shāḵẖoṅ ke sāy meṅ panāh leṅge. 24tab mulk ke tamām daraḵẖt jān leṅge ki maiṅ rabb hūṅ. maiṅ hī ūṅche daraḵẖt ko ḵẖāk meṅ milā detā, aur maiṅ hī chhoṭe daraḵẖt ko baṛā banā detā hūṅ. maiṅ hī sāyādār daraḵẖt ko sūkhne detā aur maiṅ hī sūkhe daraḵẖt ko phalne phūlne detā hūṅ. yah merā, rabb kā farmān hai, aur maiṅ yah karūṅgā bhī’.”