Hizqīel 15

yarūshalam aṅgūr kī bel kī bekār lakṛī hai

1rabb mujh se hamkalām huā, 2“ai ādamzād, aṅgūr kī bel kī lakṛī kis lihāz se jaṅgal kī dīgar lakṛiyoṅ se behatar hai? 3kyā yah kisī kām ā jātī hai? kyā yah kam az kam khūṅṭiyāṅ banāne ke liye istemāl ho saktī hai jin se chīzeṅ laṭkāī jā sakeṅ? hargiz nahīṅ! 4use īṅdhan ke taur par āg meṅ phaiṅkā jātā hai. is ke bād jab us ke do sire bhasm hue haiṅ aur bīch meṅ bhī āg lag gaī hai to kyā vah kisī kām ā jātī hai? 5āg lagne se pahale bhī bekār thī, to ab vah kis kām āegī jab us ke do sire bhasm hue haiṅ balki bīch meṅ bhī āg lag gaī hai?

6rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki yarūshalam ke bāshinde aṅgūr kī bel kī lakṛī jaise haiṅ jinheṅ maiṅ jaṅgal ke daraḵẖtoṅ ke darmiyān se nikāl kar āg meṅ phaiṅk detā hūṅ. 7kyūṅki maiṅ un ke ḵẖilāf uṭh khaṛā hūṅgā. go vah āg se bach nikle haiṅ to bhī āḵẖirkār āg hī unheṅ bhasm karegī. jab maiṅ un ke ḵẖilāf uṭh khaṛā hūṅgā to tum jān loge ki maiṅ hī rabb hūṅ. 8pūre mulk ko maiṅ vīrān-o-sunsān kar dūṅgā, is liye ki vah bevafā sābit hue haiṅ. yah rabb qādir-e-mutlaq kā farmān hai.”