Hizqīel 13

jhūṭe nabī halāk ho jāeṅge

1rabb mujh se hamkalām huā, 2“ai ādamzād, isrāīl ke nām-nihād nabiyoṅ ke ḵẖilāf nubuvvat kar! jo nubuvvat karte vaqt apne diloṅ se ubharne vālī bāteṅ hī pesh karte haiṅ, un se kah,

‘rabb kā farmān suno! 3rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki un ahamaq nabiyoṅ par afsos jinheṅ apnī hī rūh se taharīk miltī hai aur jo haqīqat meṅ royā nahīṅ dekhte. 4ai isrāīl, tere nabī khaṅḍarāt meṅ lomṛiyoṅ kī tarah āvārā phir rahe haiṅ. 5na koī dīvār ke raḵẖnoṅ meṅ khaṛā huā, na kisī ne us kī marammat kī tāki isrāīlī qaum rabb ke us din qāim rah sake jab jaṅg chhiṛ jāegī. 6un kī royāeṅ dhokā hī dhokā, un kī peshgoiyāṅ jhūṭ hī jhūṭ haiṅ. vah kahate haiṅ, “rabb farmātā hai” go rabb ne unheṅ nahīṅ bhejā. tājjub kī bāt hai ki to bhī vah tavaqqo karte haiṅ ki maiṅ un kī peshgoiyāṅ pūrī hone dūṅ! 7haqīqat meṅ tumhārī royāeṅ dhokā hī dhokā aur tumhārī peshgoiyāṅ jhūṭ hī jhūṭ haiṅ. to bhī tum kahate ho, “rabb farmātā hai” hālāṅki maiṅ ne kuchh nahīṅ farmāyā.

8chunāṅche rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ tumhārī farebdih bātoṅ aur jhūṭī royāoṅ kī vajah se tum se nipaṭ lūṅgā. yah rabb qādir-e-mutlaq kā farmān hai. 9maiṅ apnā hāth un nabiyoṅ ke ḵẖilāf baṛhā dūṅgā jo dhoke kī royāeṅ dekhte aur jhūṭī peshgoiyāṅ sunāte haiṅ. na vah merī qaum kī majlis meṅ sharīk hoṅge, na isrāīlī qaum kī faharistoṅ meṅ darj hoṅge. mulk-e-isrāīl meṅ vah kabhī dāḵẖil nahīṅ hoṅge. tab tum jān loge ki maiṅ rabb qādir-e-mutlaq hūṅ. 10vah merī qaum ko ġalat rāh par lā kar amn-o-amān kā elān karte haiṅ agarchi amn-o-amān hai nahīṅ. jab qaum apne liye kacchī sī dīvār banā letī hai to yah nabī us par saphedī pher dete haiṅ. 11lekin ai saphedī karne vālo, ḵẖabardār! yah dīvār gir jāegī. mūslādhār bārish barsegī, ole paṛeṅge aur saḵẖt āṅdhī us par ṭūṭ paṛegī. 12tab dīvār gir jāegī, aur log tanzan tum se pūchheṅge ki ab vah saphedī kahāṅ hai jo tum ne dīvār par pherī thī?

13rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ taish meṅ ā kar dīvār par zabardast āṅdhī āne dūṅgā, ġusse meṅ us par mūslādhār bārish aur muhalak ole barsā dūṅgā. 14maiṅ us dīvār ko ḍhā dūṅgā jis par tum ne saphedī pherī thī, use ḵẖāk meṅ yūṅ milā dūṅgā ki us kī bunyād nazar āegī. aur jab vah gir jāegī to tum bhī us kī zad meṅ ā kar tabāh ho jāoge. tab tum jān loge ki maiṅ hī rabb hūṅ. 15yūṅ maiṅ dīvār aur us kī saphedī karne vāloṅ par apnā ġussā utārūṅgā. tab maiṅ tum se kahūṅgā ki dīvār bhī ḵẖatm hai aur us kī saphedī karne vāle bhī, 16yānī isrāīl ke vah nabī jinhoṅ ne yarūshalam ko aisī peshgoiyāṅ aur royāeṅ sunāīṅ jin ke mutābiq amn-o-amān kā daur qarīb hī hai, hālāṅki amn-o-amān kā imkān hī nahīṅ. yah rabb qādir-e-mutlaq kā farmān hai.’

17ai ādamzād, ab apnī qaum kī un beṭiyoṅ kā sāmnā kar jo nubuvvat karte vaqt vahī bāteṅ pesh kartī haiṅ jo un ke diloṅ se ubhar ātī haiṅ. un ke ḵẖilāf nubuvvat karke 18kah,

‘rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki un aurtoṅ par afsos jo tamām logoṅ ke liye kalāī se bāṅdhne vāle tāvīz sī letī haiṅ, jo logoṅ ko phaṅsāne ke liye chhoṭoṅ aur baṛoṅ ke saroṅ ke liye parde banā letī haiṅ. ai aurto, kyā tum vāqaī samajhtī ho ki merī qaum meṅ se bāz ko phāṅs saktī aur bāz ko apne liye zindā chhoṛ saktī ho? 19merī qaum ke darmiyān hī tum ne merī behuramtī kī, aur yah sirf chand ek muṭṭhī bhar jau aur roṭī ke do chār ṭukṛoṅ ke liye. afsos, merī qaum jhūṭ sunnā pasand kartī hai. is se fāidā uṭhā kar tum ne use jhūṭ pesh karke unheṅ mār ḍālā jinheṅ marnā nahīṅ thā aur unheṅ zindā chhoṛā jinheṅ zindā nahīṅ rahanā thā.

20is liye rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ tumhāre tāvīzoṅ se nipaṭ lūṅgā jin ke zarīe tum logoṅ ko parindoṅ kī tarah pakaṛ letī ho. maiṅ jādūgrī kī yah chīzeṅ tumhāre bāzūoṅ se noch kar phāṛ ḍālūṅgā aur unheṅ rihā karūṅgā jinheṅ tum ne parindoṅ kī tarah pakaṛ liyā hai. 21maiṅ tumhāre pardoṅ ko phāṛ kar haṭā lūṅgā aur apnī qaum ko tumhāre hāthoṅ se bachā lūṅgā. āindā vah tumhārā shikār nahīṅ rahegī. tab tum jān logī ki maiṅ hī rabb hūṅ.

22tum ne apne jhūṭ se rāstbāzoṅ ko dukh pahuṅchāyā, hālāṅki yah dukh merī taraf se nahīṅ thā. sāth sāth tum ne bedīnoṅ kī hausalāafzāī kī ki vah apnī burī rāhoṅ se bāz na āeṅ, hālāṅki vah bāz āne se bach jāte. 23is liye āindā na tum farebdih royā dekhogī, na dūsroṅ kī qismat kā hāl batāogī. maiṅ apnī qaum ko tumhāre hāthoṅ se chhuṭkārā dūṅgā. tab tum jān logī ki maiṅ hī rabb hūṅ’.”