Hizqīel 10

1maiṅ ne us gumbad par nazar ḍālī jo karūbī farishtoṅ ke saroṅ ke ūpar phailī huī thī. us par saṅg-e-lājvard [a] lapis lazuli kā taḵẖt sā nazar āyā. 2rabb ne katān se mulabbas mard se farmāyā, “karūbī farishtoṅ ke nīche lage pahiyoṅ ke bīch meṅ jā. vahāṅ se do muṭṭhī bhar koile le kar shahar par bikher de.” ādmī mere dekhte dekhte farishtoṅ ke bīch meṅ chalā gayā. 3us vaqt karūbī farishte rabb ke ghar ke junūb meṅ khaṛe the, aur andrūnī sahan bādal se bharā huā thā.

4phir rabb kā jalāl jo karūbī farishtoṅ ke ūpar ṭhaharā huā thā vahāṅ se uṭh kar rabb ke ghar kī dahalīz par ruk gayā. pūrā makān bādal se bhar gayā balki sahan bhī rabb ke jalāl kī āb-o-tāb se bhar gayā. 5karūbī farishte apne paroṅ ko itne zor se phaṛaphṛā rahe the ki us kā shor bairūnī sahan tak sunāī de rahā thā. yūṅ lag rahā thā ki qādir-e-mutlaq ḵẖudā bol rahā hai. 6jab rabb ne katān se mulabbas ādmī ko hukm diyā ki karūbī farishtoṅ ke pahiyoṅ ke bīch meṅ se jalte hue koile le to vah un ke darmiyān chal kar ek pahie ke pās khaṛā huā. 7phir karūbī farishtoṅ meṅ se ek ne apnā hāth baṛhā kar bīch meṅ jalne vāle koiloṅ meṅ se kuchh le liyā aur ādmī ke hāthoṅ meṅ ḍāl diyā. katān se mulabbas yah ādmī koile le kar chalā gayā.

rabb apne ghar ko chhoṛ detā hai

8maiṅ ne dekhā ki karūbī farishtoṅ ke paroṅ ke nīche kuchh hai jo insānī hāth jaisā lag rahā hai. 9har farishte ke pās ek pahiyā thā. pukhrāj [b] topas se bane yah chār pahie 10ek jaise the. har pahie ke andar ek aur pahiyā zāviyā-e-qāimā meṅ ghūm rahā thā, 11is liye yah muṛe baġair har ruḵẖ iḵẖtiyār kar sakte the. jis taraf ek chal paṛtā us taraf bāqī bhī muṛe baġair chalne lagte. 12farishtoṅ ke jismoṅ kī har jagah par āṅkheṅ hī āṅkheṅ thīṅ. āṅkheṅ na sirf sāmne nazar āīṅ balki un kī pīṭh, hāthoṅ aur paroṅ par bhī balki chāroṅ pahiyoṅ par bhī. 13to bhī yah pahie hī the, kyūṅki maiṅ ne ḵẖud sunā ki un ke liye yahī nām istemāl huā.

14har farishte ke chār chihare the. pahalā chiharā karūbī kā, dūsrā ādmī kā, tīsrā sherbabar kā aur chauthā uqāb kā chiharā thā. 15phir karūbī farishte uṛ gae. vahī jāndār the jinheṅ maiṅ daryā-e-kibār ke kināre dekh chukā thā. 16jab farishte harkat meṅ ā jāte to pahie bhī chalne lagte, aur jab farishte phaṛaphṛā kar uṛne lagte to pahie bhī un ke sāth uṛne lagte. 17farishtoṅ ke rukne par pahie ruk jāte, aur un ke uṛne par yah bhī uṛ jāte, kyūṅki jāndāroṅ kī rūh un meṅ thī.

18phir rabb kā jalāl apne ghar kī dahalīz se haṭ gayā aur dubārā karūbī farishtoṅ ke ūpar ā kar ṭhahar gayā. 19mere dekhte dekhte farishte apne paroṅ ko phailā kar chal paṛe. chalte chalte vah rabb ke ghar ke mashriqī darvāze ke pās ruk gae. ḵẖudā-e- isrāīl kā jalāl un ke ūpar ṭhaharā rahā.

20vahī jāndār the jinheṅ maiṅ ne daryā-e-kibār ke kināre ḵẖudā-e- isrāīl ke nīche dekhā thā. maiṅ ne jān liyā ki yah karūbī farishte haiṅ. 21har ek ke chār chihare aur chār par the, aur paroṅ ke nīche kuchh nazar āyā jo insānī hāthoṅ kī mānind thā. 22un ke chiharoṅ kī shakl-o-sūrat un chiharoṅ kī mānind thī jo maiṅ ne daryā-e-kibār ke kināre dekhe the. chalte vaqt har jāndār sīdhā apne kisī ek chihare kā ruḵẖ iḵẖtiyār kartā thā.

[a] lapis lazuli
[b] topas