Hizqīel 1

allāh ke rath kī royā

1-3 jab maiṅ yānī imām hizqīel bin būzī tīs sāl kā thā to maiṅ yahūdāh ke jilāvatanoṅ ke sāth mulk-e-bābal ke daryā kibār ke kināre ṭhaharā huā thā. yahūyākīn bādshāh ko jilāvatan hue pāṅch sāl ho gae the. chauthe mahīne ke pāṅchveṅ din [a] 31 julāī. āsmān khul gayā aur allāh ne mujh par muḵẖtalif royāeṅ zāhir kīṅ. us vaqt rabb mujh se hamkalām huā, aur us kā hāth mujh par ā ṭhaharā.

4royā meṅ maiṅ ne zabardast āṅdhī dekhī jis ne shimāl se ā kar baṛā bādal mere pās pahuṅchāyā. bādal meṅ chamaktī damaktī āg nazar āī, aur vah tez raushnī se ghirā huā thā. āg kā markaz chamakdār dhāt kī tarah tamatmā rahā thā.

5āg meṅ chār jāndāroṅ jaise chal rahe the jin kī shakl-o-sūrat insānī thī. 6lekin har ek ke chār chihare aur chār par the. 7un kī ṭāṅgeṅ insānoṅ jaisī sīdhī thīṅ, lekin pāoṅ ke talve bachhṛoṅ ke se khur the. vah pālish kie hue pītal kī tarah jagamgā rahe the. 8chāroṅ ke chihare aur par the, aur chāroṅ paroṅ ke nīche insānī hāth dikhāī die. 9jāndār apne paroṅ se ek dūsre ko chhū rahe the. chalte vaqt muṛne kī zarūrat nahīṅ thī, kyūṅki har ek ke chār chihare chāroṅ taraf dekhte the. jab kabhī kisī simt jānā hotā to usī simt kā chiharā chal paṛtā. 10chāroṅ ke chihare ek jaise the. sāmne kā chiharā insān kā, dāīṅ taraf kā chiharā sherbabar kā, bāīṅ taraf kā chiharā bail kā aur pīchhe kā chiharā uqāb kā thā. 11un ke par ūpar kī taraf phaile hue the. do par bāeṅ aur dāeṅ hāth ke jāndāroṅ se lagte the, aur do par un ke jismoṅ ko ḍhāṁpe rakhte the. 12jahāṅ bhī allāh kā rūh jānā chāhatā thā vahāṅ yah jāndār chal paṛte. unheṅ muṛne kī zarūrat nahīṅ thī, kyūṅki vah hameshā apne chāroṅ chiharoṅ meṅ se ek kā ruḵẖ iḵẖtiyār karte the.

13jāndāroṅ ke bīch meṅ aisā lag rahā thā jaise koile dahak rahe hoṅ, ki un ke darmiyān mash’aleṅ idhar udhar chal rahī hoṅ. jhilamilātī āg meṅ se bijlī bhī chamak kar nikaltī thī. 14jāndār ḵẖud itnī tezī se idhar udhar ghūm rahe the ki bādal kī bijlī jaise nazar ā rahe the.

15jab maiṅ ne ġaur se un par nazar ḍālī to dekhā ki har ek jāndār ke pās pahiyā hai jo zamīn ko chhū rahā hai. 16lagtā thā ki chāroṅ pahie pukhrāj [b] topas se bane hue haiṅ. chāroṅ ek jaise the. har pahie ke andar ek aur pahiyā zāviyā-e-qāimā meṅ ghūm rahā thā, 17is liye vah muṛe baġair har ruḵẖ iḵẖtiyār kar sakte the. 18un ke lambe chakkar ḵẖaufnāk the, aur chakkaroṅ kī har jagah par āṅkheṅ hī āṅkheṅ thīṅ. 19jab chār jāndār chalte to chāroṅ pahie bhī sāth chalte, jab jāndār zamīn se uṛte to pahie bhī sāth uṛte the. 20jahāṅ bhī allāh kā rūh jātā vahāṅ jāndār bhī jāte the. pahie bhī uṛ kar sāth sāth chalte the, kyūṅki jāndāroṅ kī rūh pahiyoṅ meṅ thī. 21jab kabhī jāndār chalte to yah bhī chalte, jab ruk jāte to yah bhī ruk jāte, jab uṛte to yah bhī uṛte. kyūṅki jāndāroṅ kī rūh pahiyoṅ meṅ thī.

22jāndāroṅ ke saroṅ ke ūpar gumbad sā phailā huā thā jo sāf-shaffāf billaur jaisī lag rahā thā. use dekh kar insān ghabrā jātā thā. 23chāroṅ jāndār is gumbad ke nīche the, aur har ek apne paroṅ ko phailā kar ek se bāīṅ taraf ke sāthī aur dūsre se dāīṅ taraf ke sāthī ko chhū rahā thā. bāqī do paroṅ se vah apne jism ko ḍhāṁpe rakhtā thā. 24chalte vaqt un ke paroṅ kā shor mujh tak pahuṅchā. yūṅ lag rahā thā jaise qarīb hī zabardast ābshār bah rahī ho, ki qādir-e-mutlaq koī bāt farmā rahā ho, yā ki koī lashkar harkat meṅ ā gayā ho. rukte vaqt vah apne paroṅ ko nīche laṭakne dete the.

25phir gumbad ke ūpar se āvāz sunāī dī, aur jāndāroṅ ne ruk kar apne paroṅ ko laṭakne diyā. 26maiṅ ne dekhā ki un ke saroṅ ke ūpar ke gumbad par saṅg-e-lājvard [c] lapis lazuli kā taḵẖt sā nazar ā rahā hai jis par koī baiṭhā thā jis kī shakl-o-sūrat insān kī mānind hai. 27lekin kamar se le kar sar tak vah chamakdār dhāt kī tarah tamatmā rahā thā, jabki kamar se le kar pāoṅ tak āg kī mānind bhaṛak rahā thā. tez raushnī us ke ird-gird jhilmilā rahī thī. 28use dekh kar qaus-e-quzah kī vah āb-o-tāb yād ātī thī jo bārish hote vaqt bādal meṅ dikhāī detī hai. yūṅ rabb kā jalāl nazar āyā. yah dekhte hī maiṅ auṅdhe muṅh gir gayā. isī hālat meṅ koī mujh se bāt karne lagā.

[a] 31 julāī.
[b] topas
[c] lapis lazuli