Ḵẖurūj 40

maqdis ko khaṛā karne kī hidāyāt

1phir rabb ne mūsā se kahā, 2“pahale mahīne kī pahalī tārīḵẖ ko mulāqāt kā ḵẖaimā khaṛā karnā. 3ahd kā sandūq jis meṅ sharīat kī taḵẖtiyāṅ haiṅ muqaddastarīn kamre meṅ rakh kar us ke darvāze kā pardā lagānā. 4is ke bād maḵẖsūs roṭiyoṅ kī mez muqaddas kamre meṅ lā kar us par tamām zarūrī sāmān rakhnā. us kamre meṅ shamādān bhī le ānā aur us par us ke charāġ rakhnā. 5baḵẖūr kī sone kī qurbāngāh us parde ke sāmne rakhnā jis ke pīchhe ahd kā sandūq hai. phir ḵẖaime meṅ dāḵẖil hone ke darvāze par pardā lagānā. 6jānvaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh sahan meṅ ḵẖaime ke darvāze ke sāmne rakhī jāe. 7ḵẖaime aur is qurbāngāh ke darmiyān dhone kā hauz rakh kar us meṅ pānī ḍālnā. 8sahan kī chārdīvārī khaṛī karke us ke darvāze kā pardā lagānā.

9phir masah kā tel le kar use ḵẖaime aur us ke sāre sāmān par chhiṛak denā. yūṅ tū use mere liye maḵẖsūs karegā aur vah muqaddas hogā. 10phir jānvaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh aur us ke sāmān par masah kā tel chhiṛaknā. yūṅ tū use mere liye maḵẖsūs karegā aur vah nihāyat muqaddas hogā. 11isī tarah hauz aur us ḍhāṅche ko bhī maḵẖsūs karnā jis par hauz rakhā gayā hai.

12hārūn aur us ke beṭoṅ ko mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze par lā kar ġusal karānā. 13phir hārūn ko muqaddas libās pahanānā aur use masah karke mere liye maḵẖsūs-o-muqaddas karnā tāki imām ke taur par merī ḵẖidmat kare. 14us ke beṭoṅ ko lā kar unheṅ zerjāme pahanā denā. 15unheṅ un ke vālid kī tarah masah karnā tāki vah bhī imāmoṅ ke taur par merī ḵẖidmat kareṅ. jab unheṅ masah kiyā jāegā to vah aur bād meṅ un kī aulād hameshā tak maqdis meṅ is ḵẖidmat ke liye maḵẖsūs hoṅge.”

maqdis ko khaṛā kiyā jātā hai

16mūsā ne sab kuchh rabb kī hidāyāt ke mutābiq kiyā. 17pahale mahīne kī pahalī tārīḵẖ ko muqaddas ḵẖaimā khaṛā kiyā gayā. unheṅ misr se nikle pūrā ek sāl ho gayā thā. 18mūsā ne dīvār ke taḵẖtoṅ ko un ke pāiyoṅ par khaṛā karke un ke sāth shahatīr lagāe. isī tarah us ne satūnoṅ ko bhī khaṛā kiyā. 19us ne rabb kī hidāyāt ke ain mutābiq dīvāroṅ par kapṛe kā ḵẖaimā lagāyā aur us par dūsre ġilāf rakhe.

20us ne sharīat kī donoṅ taḵẖtiyāṅ le kar ahd ke sandūq meṅ rakh dīṅ, uṭhāne ke liye lakṛiyāṅ sandūq ke kaṛoṅ meṅ ḍāl dīṅ aur kaffāre kā ḍhaknā us par lagā diyā. 21phir us ne rabb kī hidāyāt ke ain mutābiq sandūq ko muqaddastarīn kamre meṅ rakh kar us ke darvāze kā pardā lagā diyā. yūṅ ahd ke sandūq par pardā paṛā rahā. 22mūsā ne maḵẖsūs roṭiyoṅ kī mez muqaddas kamre ke shimālī hisse meṅ us parde ke sāmne rakh dī jis ke pīchhe ahd kā sandūq thā. 23us ne rabb kī hidāyat ke ain mutābiq rabb ke liye maḵẖsūs kī huī roṭiyāṅ mez par rakhīṅ. 24usī kamre ke junūbī hisse meṅ us ne shamādān ko mez ke muqābil rakh diyā. 25us par us ne rabb kī hidāyat ke ain mutābiq rabb ke sāmne charāġ rakh die. 26us ne baḵẖūr kī sone kī qurbāngāh bhī usī kamre meṅ rakhī, us parde ke bilkul sāmne jis ke pīchhe ahd kā sandūq thā. 27us ne us par rabb kī hidāyat ke ain mutābiq ḵẖushbūdār baḵẖūr jalāyā.

28phir us ne ḵẖaime kā darvāzā lagā diyā. 29bāhar jā kar us ne jānvaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh ḵẖaime ke darvāze ke sāmne rakh dī. us par us ne rabb kī hidāyat ke ain mutābiq bhasm hone vālī qurbāniyāṅ aur ġallā kī nazreṅ chaṛhāīṅ.

30us ne dhone ke hauz ko ḵẖaime aur us qurbāngāh ke darmiyān rakh kar us meṅ pānī ḍāl diyā. 31mūsā, hārūn aur us ke beṭe use apne hāth-pāoṅ dhone ke liye istemāl karte the. 32jab bhī vah mulāqāt ke ḵẖaime meṅ dāḵẖil hote yā jānvaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh ke pās āte to rabb kī hidāyat ke ain mutābiq pahale ġusal karte.

33āḵẖir meṅ mūsā ne ḵẖaimā, qurbāngāh aur chārdīvārī khaṛī karke sahan ke darvāze kā pardā lagā diyā. yūṅ mūsā ne maqdis kī tāmīr mukammal kī.

ḵẖaime meṅ rabb kā jalāl

34phir mulāqāt ke ḵẖaime par bādal chhā gayā aur maqdis rabb ke jalāl se bhar gayā. 35mūsā ḵẖaime meṅ dāḵẖil na ho sakā, kyūṅki bādal us par ṭhaharā huā thā aur maqdis rabb ke jalāl se bhar gayā thā.

36tamām safar ke daurān jab bhī maqdis ke ūpar se bādal uṭhtā to isrāīlī safar ke liye tayyār ho jāte. 37agar vah na uṭhtā to vah us vaqt tak ṭhahare rahate jab tak bādal uṭh na jātā. 38din ke vaqt bādal maqdis ke ūpar ṭhaharā rahatā aur rāt ke vaqt vah tamām isrāīliyoṅ ko āg kī sūrat meṅ nazar ātā thā. yah silsilā pūre safar ke daurān jārī rahā.