Ḵẖurūj 36

1lāzim hai ki bazalīel, uhaliyāb aur bāqī kārīgar jin ko rabb ne maqdis kī tāmīr ke liye hikmat aur samajh dī hai sab kuchh ain un hidāyāt ke mutābiq banāeṅ jo rabb ne dī haiṅ.”

isrāīlī dilī ḵẖushī se dete haiṅ

2mūsā ne bazalīel aur uhaliyāb ko bulāyā. sāth hī us ne har us kārīgar ko bhī bulāyā jise rabb ne maqdis kī tāmīr ke liye hikmat aur mahārat dī thī aur jo ḵẖushī se ānā aur yah kām karnā chāhatā thā. 3unheṅ mūsā se tamām hadie mile jo isrāīlī maqdis kī tāmīr ke liye lāe the.

is ke bād bhī log roz-ba-roz subah ke vaqt hadie lāte rahe. 4āḵẖirkār tamām kārīgar jo maqdis banāne ke kām meṅ lage the apnā kām chhoṛ kar mūsā ke pās āe. 5unhoṅ ne kahā, “log hadd se ziyādā lā rahe haiṅ. jis kām kā hukm rabb ne diyā hai us ke liye itne sāmān kī zarūrat nahīṅ hai.” 6tab mūsā ne pūrī ḵẖaimāgāh meṅ elān karvā diyā ki koī mard yā aurat maqdis kī tāmīr ke liye ab kuchh na lāe.

yūṅ unheṅ mazīd chīzeṅ lāne se rokā gayā, 7kyūṅki kām ke liye sāmān zarūrat se ziyādā ho gayā thā.

mulāqāt kā ḵẖaimā

8jo kārīgar mahārat rakhte the unhoṅ ne ḵẖaime ko banāyā. unhoṅ ne bārīk katān aur nīle, arġvānī aur qirmizī dhāge se das parde banāe. pardoṅ par kisī māhir kārīgar ke kaṛāī ke kām se karūbī farishtoṅ kā ḍizāin banāyā gayā. 9har parde kī lambāī 42 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ thī. 10pāṅch pardoṅ ke lambe hāshie ek dūsre ke sāth joṛe gae aur isī tarah bāqī pāṅch bhī. yūṅ do baṛe ṭukṛe ban gae. 11donoṅ ṭukṛoṅ ko ek dūsre ke sāth milāne ke liye unhoṅ ne nīle dhāge ke halqe banāe. yah halqe har ṭukṛe ke 42 fuṭ vāle ek kināre par lagāe gae, 12ek ṭukṛe ke hāshie par 50 halqe aur dūsre par bhī utne hī halqe. in do hāshiyoṅ ke halqe ek dūsre ke āmne-sāmne the. 13phir bazalīel ne sone kī 50 hukeṅ banā kar un se āmne-sāmne ke halqoṅ ko ek dūsre ke sāth milāyā. yūṅ donoṅ ṭukṛoṅ ke joṛne se ḵẖaimā ban gayā.

14us ne bakrī ke bāloṅ se bhī 11 parde banāe jinheṅ kapṛe vāle ḵẖaime ke ūpar rakhnā thā. 15har parde kī lambāī 45 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ thī. 16pāṅch pardoṅ ke lambe hāshie ek dūsre ke sāth joṛe gae aur is tarah bāqī chhah bhī. 17in donoṅ ṭukṛoṅ ko milāne ke liye us ne har ṭukṛe ke 45 fuṭ vāle ek kināre par pachās pachās halqe lagāe. 18phir pītal kī 50 hukeṅ banā kar us ne donoṅ hisse milāe.

19ek dūsre ke ūpar ke donoṅ ḵẖaimoṅ kī hifāzat ke liye bazalīel ne do aur ġilāf banāe. bakrī ke bāloṅ ke ḵẖaime par rakhne ke liye us ne meṅḍhoṅ kī surḵẖ raṅgī huī khāleṅ joṛ dīṅ aur us ke ūpar rakhne ke liye taḵẖas kī khāleṅ milāīṅ.

20is ke bād us ne kīkar kī lakṛī ke taḵẖte banāe jo ḵẖaime kī dīvāroṅ kā kām dete the. 21har taḵẖte kī ūṅchāī 15 fuṭ thī aur chauṛāī savā do fuṭ. 22har taḵẖte ke nīche do do chūleṅ thīṅ. in chūloṅ se har taḵẖte ko us ke pāiyoṅ ke sāth joṛā jātā thā tāki taḵẖtā khaṛā rahe. 23ḵẖaime kī junūbī dīvār ke liye 20 taḵẖte banāe gae 24aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāe bhī jin par taḵẖte khaṛe kie jāte the. har taḵẖte ke nīche do pāe the, aur har pāe meṅ ek chūl lagtī thī. 25isī tarah ḵẖaime kī shimālī dīvār ke liye bhī 20 taḵẖte banāe gae 26aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāe jo taḵẖtoṅ ko khaṛā karne ke liye the. har taḵẖte ke nīche do pāe the. 27ḵẖaime kī pichhlī yānī maġribī dīvār ke liye chhah taḵẖte banāe gae. 28is dīvār ko shimālī aur junūbī dīvāroṅ ke sāth joṛne ke liye kone vāle do taḵẖte banāe gae. 29in do taḵẖtoṅ meṅ nīche se le kar ūpar tak konā thā tāki ek se shimālī dīvār maġribī dīvār ke sāth juṛ jāe aur dūsre se junūbī dīvār maġribī dīvār ke sāth. in ke ūpar ke sire kaṛoṅ se mazbūt kie gae. 30yūṅ pichhle yānī maġribī taḵẖtoṅ kī pūrī tādād 8 thī aur in ke liye chāṅdī ke pāiyoṅ kī tādād 16, har taḵẖte ke nīche do pāe.

31-32 phir bazalīel ne kīkar kī lakṛī ke shahatīr banāe, tīnoṅ dīvāroṅ ke liye pāṅch pāṅch shahatīr. vah har dīvār ke taḵẖtoṅ par yūṅ lagāne ke liye the ki un se taḵẖte ek dūsre ke sāth milāe jāeṅ. 33darmiyānī shahatīr yūṅ banāyā gayā ki vah dīvār kī ādhī ūṅchāī par dīvār ke ek sire se dūsre sire tak lag saktā thā. 34us ne tamām taḵẖtoṅ aur shahatīroṅ par sonā chaṛhāyā. shahatīroṅ ko taḵẖtoṅ ke sāth lagāne ke liye us ne sone ke kaṛe banāe jo taḵẖtoṅ meṅ lagāne the.

muqaddas ḵẖaime ke parde

35ab bazalīel ne ek aur pardā banāyā. us ke liye bhī bārīk katān aur nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg kā dhāgā istemāl huā. us par bhī kisī māhir kārīgar ke kaṛāī ke kām se karūbī farishtoṅ kā ḍizāin banāyā gayā. 36phir us ne parde ko laṭkāne ke liye kīkar kī lakṛī ke chār satūn, sone kī hukeṅ aur chāṅdī ke chār pāe banāe. satūnoṅ par sonā chaṛhāyā gayā.

37bazalīel ne ḵẖaime ke darvāze ke liye bhī pardā banāyā. vah bhī bārīk katān aur nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg ke dhāge se banāyā gayā, aur us par kaṛāī kā kām kiyā gayā. 38is parde ko laṭkāne ke liye us ne sone kī hukeṅ aur kīkar kī lakṛī ke pāṅch satūn banāe. satūnoṅ ke ūpar ke siroṅ aur paṭṭiyoṅ par sonā chaṛhāyā gayā jabki un ke pāe pītal ke the.