Ḵẖurūj 31

bazalīel aur uhaliyāb

1phir rabb ne mūsā se kahā, 2“maiṅ ne yahūdāh ke qabīle ke bazalīel bin ūrī bin hūr ko chun liyā hai tāki vah muqaddas ḵẖaime kī tāmīr meṅ rāhanumāī kare. 3maiṅ ne use ilāhī rūh se māmūr karke hikmat, samajh aur tāmīr ke har kām ke liye darkār ilm de diyā hai. 4vah naqshe banā kar un ke mutābiq sone, chāṅdī aur pītal kī chīzeṅ banā saktā hai. 5vah javāhir ko kāṭ kar jaṛne kī qābiliyat rakhtā hai. vah lakṛī ko tarāsh kar us se muḵẖtalif chīzeṅ banā saktā hai. vah bahut sāre aur kāmoṅ meṅ bhī mahārat rakhtā hai.

6sāth hī maiṅ ne dān ke qabīle ke uhaliyāb bin aḵẖīsamak ko muqarrar kiyā hai tāki vah har kām meṅ us kī madad kare. is ke ilāvā maiṅ ne tamām samajhdār kārīgaroṅ ko mahārat dī hai tāki vah sab kuchh un hidāyāt ke mutābiq banā sakeṅ jo maiṅ ne tujhe dī haiṅ. 7yānī mulāqāt kā ḵẖaimā, kaffāre ke ḍhakne samet ahd kā sandūq aur ḵẖaime kā sārā dūsrā sāmān, 8mez aur us kā sāmān, ḵẖālis sone kā shamādān aur us kā sāmān, baḵẖūr jalāne kī qurbāngāh, 9jānvaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh aur us kā sāmān, dhone kā hauz us ḍhāṅche samet jis par vah rakhā jātā hai, 10vah libās jo hārūn aur us ke beṭe maqdis meṅ ḵẖidmat karne ke liye pahante haiṅ, 11masah kā tel aur maqdis ke liye ḵẖushbūdār baḵẖūr. yah sab kuchh vah vaise hī banāeṅ jaise maiṅ ne tujhe hukm diyā hai.”

sabat yānī hafte kā din

12rabb ne mūsā se kahā, 13“isrāīliyoṅ ko batā ki har sabat kā din zarūr manāo. kyūṅki sabat kā din ek numāyāṅ nishān hai jis se jān liyā jāegā ki maiṅ rabb hūṅ jo tumheṅ maḵẖsūs-o-muqaddas kartā hūṅ. aur yah nishān mere aur tumhāre darmiyān nasal-dar-nasal qāim rahegā. 14sabat kā din zarūr manānā, kyūṅki vah tumhāre liye maḵẖsūs-o-muqaddas hai. jo bhī us kī behuramtī kare vah zarūr jān se mārā jāe. jo bhī is din kām kare use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāe. 15chhah din kām karnā, lekin sātvāṅ din ārām kā din hai. vah rabb ke liye maḵẖsūs-o-muqaddas hai.

16isrāīliyoṅ ko hāl meṅ aur mustaqbil meṅ sabat kā din abdī ahd samajh kar manānā hai. 17vah mere aur isrāīliyoṅ ke darmiyān abdī nishān hogā. kyūṅki rabb ne chhah din ke daurān āsmān-o-zamīn ko banāyā jabki sātveṅ din us ne ārām kiyā aur tāzādam ho gayā.”

rabb sharīat kī taḵẖtiyāṅ detā hai

18yah sab kuchh mūsā ko batāne ke bād rabb ne use sīnā pahāṛ par sharīat kī do taḵẖtiyāṅ dīṅ. allāh ne ḵẖud patthar kī in taḵẖtiyoṅ par tamām bāteṅ likhī thīṅ.