Ḵẖurūj 3

jaltī huī jhāṛī

1mūsā apne susar yitro kī bheṛ-bakriyoṅ kī nigahbānī kartā thā (midiyān kā imām raūel yitro bhī kahalātā thā). ek din mūsā revaṛ ko registān kī parlī jānib le gayā aur chalte chalte allāh ke pahāṛ horib yānī sīnā tak pahuṅch gayā. 2vahāṅ rabb kā farishtā āg ke shole meṅ us par zāhir huā. yah sholā ek jhāṛī meṅ bhaṛak rahā thā. mūsā ne dekhā ki jhāṛī jal rahī hai lekin bhasm nahīṅ ho rahī. 3mūsā ne sochā, “yah to ajīb bāt hai. kyā vajah hai ki jaltī huī jhāṛī bhasm nahīṅ ho rahī? maiṅ zarā vahāṅ jā kar yah hairat’aṅgez manzar dekhūṅ.”

4jab rabb ne dekhā ki mūsā jhāṛī ko dekhne ā rahā hai to us ne use jhāṛī meṅ se pukārā, “mūsā, mūsā!” mūsā ne kahā, “jī, maiṅ hāzir hūṅ.” 5rabb ne kahā, “is se ziyādā qarīb na ānā. apnī jūtiyāṅ utār, kyūṅki tū muqaddas zamīn par khaṛā hai. 6maiṅ tere bāp kā ḵẖudā, ibrāhīm kā ḵẖudā, ishāq kā ḵẖudā aur yāqūb kā ḵẖudā hūṅ.” yah sun kar mūsā ne apnā muṅh ḍhāṅk liyā, kyūṅki vah allāh ko dekhne se ḍarā.

7rabb ne kahā, “maiṅ ne misr meṅ apnī qaum kī burī hālat dekhī aur ġulāmī meṅ un kī chīḵẖeṅ sunī haiṅ, aur maiṅ un ke dukhoṅ ko ḵẖūb jāntā hūṅ. 8ab maiṅ unheṅ misriyoṅ ke qābū se bachāne ke liye utar āyā hūṅ. maiṅ unheṅ misr se nikāl kar ek acchhe vasī mulk meṅ le jāūṅgā, ek aise mulk meṅ jahāṅ dūdh aur shahad kī kasrat hai, go is vaqt kan’ānī, hittī, amorī, farizzī, hivvī aur yabūsī us meṅ rahate haiṅ. 9isrāīliyoṅ kī chīḵẖeṅ mujh tak pahuṅchī haiṅ. maiṅ ne dekhā hai ki misrī un par kis tarah kā zulm ḍhā rahe haiṅ. 10chunāṅche ab jā. maiṅ tujhe firaaun ke pās bhejtā hūṅ, kyūṅki tujhe merī qaum isrāīl ko misr se nikāl kar lānā hai.”

11lekin mūsā ne allāh se kahā, “maiṅ kaun hūṅ ki firaaun ke pās jā kar isrāīliyoṅ ko misr se nikāl lāūṅ?” 12allāh ne kahā, “maiṅ to tere sāth hūṅgā. aur is kā sabūt ki maiṅ tujhe bhej rahā hūṅ yah hogā ki logoṅ ke misr se nikalne ke bād tum yahāṅ ā kar is pahāṛ par merī ibādat karoge.”

13lekin mūsā ne etirāz kiyā, “agar maiṅ isrāīliyoṅ ke pās jā kar unheṅ batāūṅ ki tumhāre bāpdādā ke ḵẖudā ne mujhe tumhāre pās bhejā hai to vah pūchheṅge, ‘us kā nām kyā hai?’ phir maiṅ un ko kyā javāb dūṅ?”

14allāh ne kahā, “maiṅ jo hūṅ so maiṅ hūṅ. un se kahanā, ‘maiṅ hūṅ ne mujhe tumhāre pās bhejā hai. 15rabb jo tumhāre bāpdādā kā ḵẖudā, ibrāhīm kā ḵẖudā, ishāq kā ḵẖudā aur yāqūb kā ḵẖudā hai usī ne mujhe tumhāre pās bhejā hai.’ yah abad tak merā nām rahegā. log yahī nām le kar mujhe nasal-dar-nasal yād kareṅge.

16ab jā aur isrāīl ke buzurgoṅ ko jamā karke un ko batā de ki rabb tumhāre bāpdādā ibrāhīm, ishāq aur yāqūb kā ḵẖudā mujh par zāhir huā hai. vah farmātā hai, ‘maiṅ ne ḵẖūb dekh liyā hai ki misr meṅ tumhāre sāth kyā sulūk ho rahā hai. 17is liye maiṅ ne faislā kiyā hai ki tumheṅ misr kī musībat se nikāl kar kan’āniyoṅ, hittiyoṅ, amoriyoṅ, farizziyoṅ, hivviyoṅ aur yabūsiyoṅ ke mulk meṅ le jāūṅ, aise mulk meṅ jahāṅ dūdh aur shahad kī kasrat hai.’ 18buzurg terī suneṅge. phir un ke sāth misr ke bādshāh ke pās jā kar us se kahanā, ‘rabb ibrāniyoṅ kā ḵẖudā ham par zāhir huā hai. is liye hameṅ ijāzat deṅ ki ham tīn din kā safar karke registān meṅ rabb apne ḵẖudā ke liye qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ.’

19lekin mujhe mālūm hai ki misr kā bādshāh sirf is sūrat meṅ tumheṅ jāne degā ki koī zabardastī tumheṅ le jāe. 20is liye maiṅ apnī qudrat zāhir karke apne mojizoṅ kī mārifat misriyoṅ ko mārūṅgā. phir vah tumheṅ jāne degā. 21us vaqt maiṅ misriyoṅ ke diloṅ ko tumhāre liye narm kar dūṅgā. tumheṅ ḵẖālī hāth nahīṅ jānā paṛegā. 22tamām ibrānī aurteṅ apnī misrī paṛosanoṅ aur apne ghar meṅ rahane vālī misrī aurtoṅ se chāṅdī aur sone ke zevrāt aur nafīs kapṛe māṅg kar apne bacchoṅ ko pahanāeṅgī. yūṅ misriyoṅ ko lūṭ liyā jāegā.”