Ḵẖurūj 27

jānvaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh

1kīkar kī lakṛī kī qurbāngāh banānā. us kī ūṅchāī sāḍhe chār fuṭ ho jabki us kī lambāī aur chauṛāī sāḍhe sāt sāt fuṭ ho. 2us ke ūpar chāroṅ konoṅ meṅ se ek ek sīṅg nikle. sīṅg aur qurbāngāh ek hī ṭukṛe ke hoṅ. sab par pītal chaṛhānā. 3us kā tamām sāz-o-sāmān aur bartan bhī pītal ke hoṅ yānī rākh ko uṭhā kar le jāne kī bālṭiyāṅ, belache, kāṅṭe, jalte hue koile ke liye bartan aur chhiṛkāo ke kaṭore.

4qurbāngāh ko uṭhāne ke liye pītal kā jaṅglā banānā jo ūpar se khulā ho. jaṅgle ke chāroṅ konoṅ par kaṛe lagāe jāeṅ. 5qurbāngāh kī ādhī ūṅchāī par kinārā lagānā, aur qurbāngāh ko jaṅgle meṅ is kināre tak rakhā jāe. 6use uṭhāne ke liye kīkar kī do lakṛiyāṅ banānā jin par pītal chaṛhānā hai. 7un ko qurbāngāh ke donoṅ taraf ke kaṛoṅ meṅ ḍāl denā.

8pūrī qurbāngāh lakṛī kī ho, lekin andar se khokhlī ho. use ain us namūne ke mutābiq banānā jo maiṅ tujhe pahāṛ par dikhātā hūṅ.

ḵẖaime kā sahan

9muqaddas ḵẖaime ke liye sahan banānā. us kī chārdīvārī bārīk katān ke kapṛe se banāī jāe. chārdīvārī kī lambāī junūb kī taraf 150 fuṭ ho. 10kapṛe ko chāṅdī kī hukoṅ aur paṭṭiyoṅ se lakṛī ke 20 khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. har khambā pītal ke pāe par khaṛā ho. 11chārdīvārī shimāl kī taraf bhī isī kī mānind ho. 12ḵẖaime ke pīchhe maġrib kī taraf chārdīvārī kī chauṛāī 75 fuṭ ho aur kapṛā lakṛī ke 10 khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. yah khambe bhī pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.

13sāmne, mashriq kī taraf jahāṅ se sūraj tulū hotā hai chārdīvārī kī chauṛāī bhī 75 fuṭ ho. 14-15 yahāṅ chārdīvārī kā darvāzā ho. kapṛā darvāze ke dāīṅ taraf sāḍhe 22 fuṭ chauṛā ho aur us ke bāīṅ taraf bhī utnā hī chauṛā. use donoṅ taraf tīn tīn lakṛī ke khamboṅ ke sāth lagāyā jāe jo pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ. 16darvāze kā pardā 30 fuṭ chauṛā banānā. vah nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg ke dhāge aur bārīk katān se banāyā jāe, aur us par kaṛāī kā kām ho. yah kapṛā lakṛī ke chār khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. vah bhī pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.

17tamām khambe pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ aur kapṛā chāṅdī kī hukoṅ aur paṭṭiyoṅ se har khambe ke sāth lagāyā jāe. 18chārdīvārī kī lambāī 150 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī sāḍhe 7 fuṭ ho. khamboṅ ke tamām pāe pītal ke hoṅ. 19jo bhī sāz-o-sāmān muqaddas ḵẖaime meṅ istemāl kiyā jātā hai vah sab pītal kā ho. ḵẖaime aur chārdīvārī kī meḵẖeṅ bhī pītal kī hoṅ.

shamādān kā tel

20isrāīliyoṅ ko hukm denā ki vah tere pās kūṭe hue zaitūnoṅ kā ḵẖālis tel lāeṅ tāki muqaddas kamre ke shamādān ke charāġ mutvātir jalte raheṅ. 21hārūn aur us ke beṭe shamādān ko mulāqāt ke ḵẖaime ke muqaddas kamre meṅ rakheṅ, us parde ke sāmne jis ke pīchhe ahd kā sandūq hai. us meṅ vah tel ḍālte raheṅ tāki vah rabb ke sāmne shām se le kar subah tak jaltā rahe. isrāīliyoṅ kā yah usūl abad tak qāim rahe.