Ḵẖurūj 25

mulāqāt kā ḵẖaimā banāne ke liye hadie

1rabb ne mūsā se kahā, 2“isrāīliyoṅ ko batā ki vah hadie lā kar mujhe uṭhāne vālī qurbānī ke taur par pesh kareṅ. lekin sirf un se hadie qabūl karo jo dilī ḵẖushī se deṅ. 3un se yah chīzeṅ hadie ke taur par qabūl karo : sonā, chāṅdī, pītal; 4nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg kā dhāgā, bārīk katān, bakrī ke bāl, 5meṅḍhoṅ kī surḵẖ raṅgī huī khāleṅ, taḵẖas [a] ġāliban is matrūk ibrānī lafz se murād koī samundarī jānvar hai. kī khāleṅ, kīkar kī lakṛī, 6shamādān ke liye zaitūn kā tel, masah karne ke liye tel aur ḵẖushbūdār baḵẖūr ke liye masāle, 7aqīq-e-ahmar aur dīgar javāhir jo imām-e-āzam ke bālāposh aur sīne ke kīse meṅ jaṛe jāeṅge. 8in chīzoṅ se log mere liye maqdis banāeṅ tāki maiṅ un ke darmiyān rahūṅ. 9maiṅ tujhe maqdis aur us ke tamām sāmān kā namūnā dikhāūṅgā, kyūṅki tumheṅ sab kuchh ain usī ke mutābiq banānā hai.

ahd kā sandūq

10-12 log kīkar kī lakṛī kā sandūq banāeṅ. us kī lambāī paune chār fuṭ ho jabki us kī chauṛāī aur ūṅchāī savā do do fuṭ ho. pūre sandūq par andar aur bāhar se ḵẖālis sonā chaṛhānā. ūpar kī satah ke ird-gird sone kī jhālar lagānā. sandūq ko uṭhāne ke liye sone ke chār kaṛe ḍhāl kar unheṅ sandūq ke chārpāiyoṅ par lagānā. donoṅ taraf do do kaṛe hoṅ. 13phir kīkar kī do lakṛiyāṅ sandūq ko uṭhāne ke liye tayyār karnā. un par sonā chaṛhā kar 14un ko donoṅ taraf ke kaṛoṅ meṅ ḍālnā tāki un se sandūq ko uṭhāyā jāe. 15yah lakṛiyāṅ sandūq ke in kaṛoṅ meṅ paṛī raheṅ. unheṅ kabhī bhī dūr na kiyā jāe. 16sandūq meṅ sharīat kī vah do taḵẖtiyāṅ rakhnā jo maiṅ tujhe dūṅgā.

17sandūq kā ḍhaknā ḵẖālis sone kā banānā. us kī lambāī paune chār fuṭ aur chauṛāī savā do fuṭ ho. us kā nām kaffāre kā ḍhaknā hai. 18-19 sone se ghaṛ kar do karūbī farishte banāe jāeṅ jo ḍhakne ke donoṅ siroṅ par khaṛe hoṅ. yah do farishte aur ḍhaknā ek hī ṭukṛe se banāne haiṅ. 20farishtoṅ ke par yūṅ ūpar kī taraf phaile hue hoṅ ki vah ḍhakne ko panāh deṅ. un ke muṅh ek dūsre kī taraf kie hue hoṅ, aur vah ḍhakne kī taraf dekheṅ.

21ḍhakne ko sandūq par lagā, aur sandūq meṅ sharīat kī vah do taḵẖtiyāṅ rakh jo maiṅ tujhe dūṅgā. 22vahāṅ ḍhakne ke ūpar donoṅ farishtoṅ ke darmiyān se maiṅ apne āp ko tujh par zāhir karke tujh se hamkalām hūṅgā aur tujhe isrāīliyoṅ ke liye tamām ahkām dūṅgā.

maḵẖsūs roṭiyoṅ kī mez

23kīkar kī lakṛī kī mez banānā. us kī lambāī tīn fuṭ, chauṛāī ḍeṛh fuṭ aur ūṅchāī savā do fuṭ ho. 24us par ḵẖālis sonā chaṛhānā, aur us ke ird-gird sone kī jhālar lagānā. 25mez kī ūpar kī satah par chaukhṭā lagānā jis kī ūṅchāī tīn iṅch ho aur jis par sone kī jhālar lagī ho. 26sone ke chār kaṛe ḍhāl kar unheṅ chāroṅ konoṅ par lagānā jahāṅ mez ke pāe lage haiṅ. 27yah kaṛe mez kī satah par lage chaukhṭe ke nīche lagāe jāeṅ. un meṅ vah lakṛiyāṅ ḍālnī haiṅ jin se mez ko uṭhāyā jāegā. 28yah lakṛiyāṅ bhī kīkar kī hoṅ aur un par sonā chaṛhāyā jāe. un se mez ko uṭhānā hai.

29us ke thāl, piyāle, martabān aur mai kī nazreṅ pesh karne ke bartan ḵẖālis sone se banānā hai. 30mez par vah roṭiyāṅ har vaqt mere huzūr paṛī raheṅ jo mere liye maḵẖsūs haiṅ.

shamādān

31ḵẖālis sone kā shamādān bhī banānā. us kā pāyā aur ḍaṅḍī ghaṛ kar banānā hai. us kī piyāliyāṅ jo phūloṅ aur kaliyoṅ kī shakl kī hoṅgī pāe aur ḍaṅḍī ke sāth ek hī ṭukṛā hoṅ. 32ḍaṅḍī se dāīṅ aur bāīṅ taraf tīn tīn shāḵẖeṅ nikleṅ. 33har shāḵẖ par tīn piyāliyāṅ lagī hoṅ jo bādām kī kaliyoṅ aur phūloṅ kī shakl kī hoṅ. 34shamādān kī ḍaṅḍī par bhī is qism kī piyāliyāṅ lagī hoṅ, lekin tādād meṅ chār. 35in meṅ se tīn piyāliyāṅ dāeṅ bāeṅ kī chhah shāḵẖoṅ ke nīche lagī hoṅ. vah yūṅ lagī hoṅ ki har piyālī se do shāḵẖeṅ nikleṅ. 36shāḵẖeṅ aur piyāliyāṅ balki pūrā shamādān ḵẖālis sone ke ek hī ṭukṛe se ghaṛ kar banānā hai.

37shamādān ke liye sāt charāġ banā kar unheṅ yūṅ shāḵẖoṅ par rakhnā ki vah sāmne kī jagah raushan kareṅ. 38battī katarne kī qaiṅchiyāṅ aur jalte koile ke liye chhoṭe bartan bhī ḵẖālis sone se banāe jāeṅ. 39shamādān aur us sāre sāmān ke liye pūre 34 kilogrām ḵẖālis sonā istemāl kiyā jāe. 40ġaur kar ki sab kuchh ain us namūne ke mutābiq banāyā jāe jo maiṅ tujhe yahāṅ pahāṛ par dikhātā hūṅ.

[a] ġāliban is matrūk ibrānī lafz se murād koī samundarī jānvar hai.