Ḵẖurūj 16

mann aur baṭereṅ

1is ke bād isrāīl kī pūrī jamāat elīm se safar karke sīn ke registān meṅ pahuṅchī jo elīm aur sīnā ke darmiyān hai. vah misr se nikalne ke bād dūsre mahīne ke 15veṅ din pahuṅche. 2registān meṅ tamām log phir mūsā aur hārūn ke ḵẖilāf buṛbuṛāne lage. 3unhoṅ ne kahā, “kāsh rabb hameṅ misr meṅ hī mār ḍāltā! vahāṅ ham kam az kam jī bhar kar gosht aur roṭī to khā sakte the. āp hameṅ sirf is liye registān meṅ le āe haiṅ ki ham sab bhūkoṅ mar jāeṅ.”

4tab rabb ne mūsā se kahā, “maiṅ āsmān se tumhāre liye roṭī barasāūṅgā. har roz log bāhar jā kar usī din kī zarūrat ke mutābiq khānā jamā kareṅ. is se maiṅ unheṅ āzmā kar dekhūṅgā ki āyā vah merī sunte haiṅ ki nahīṅ. 5har roz vah sirf utnā khānā jamā kareṅ jitnā ki ek din ke liye kāfī ho. lekin chhaṭe din jab vah khānā tayyār kareṅge to vah agle din ke liye bhī kāfī hogā.”

6mūsā aur hārūn ne isrāīliyoṅ se kahā, “āj shām ko tum jān loge ki rabb hī tumheṅ misr se nikāl lāyā hai. 7aur kal subah tum rabb kā jalāl dekhoge. us ne tumhārī shikāyateṅ sun lī haiṅ, kyūṅki asal meṅ tum hamāre ḵẖilāf nahīṅ balki rabb ke ḵẖilāf buṛbuṛā rahe ho. 8phir bhī rabb tum ko shām ke vaqt gosht aur subah ke vaqt vāfir roṭī degā, kyūṅki us ne tumhārī shikāyateṅ sun lī haiṅ. tumhārī shikāyateṅ hamāre ḵẖilāf nahīṅ balki rabb ke ḵẖilāf haiṅ.”

9mūsā ne hārūn se kahā, “isrāīliyoṅ ko batānā, ‘rabb ke sāmne hāzir ho jāo, kyūṅki us ne tumhārī shikāyateṅ sun lī haiṅ’.” 10jab hārūn pūrī jamāat ke sāmne bāt karne lagā to logoṅ ne palaṭ kar registān kī taraf dekhā. vahāṅ rabb kā jalāl bādal meṅ zāhir huā. 11rabb ne mūsā se kahā, 12“maiṅ ne isrāīliyoṅ kī shikāyat sun lī hai. unheṅ batā, ‘āj jab sūraj ġurūb hone lagegā to tum gosht khāoge aur kal subah peṭ bhar kar roṭī. phir tum jān loge ki maiṅ rabb tumhārā ḵẖudā hūṅ’.”

13usī shām baṭeroṅ ke ġol āe jo pūrī ḵẖaimāgāh par chhā gae. aur aglī subah ḵẖaime ke chāroṅ taraf os paṛī thī. 14jab os sūkh gaī to barf ke gāloṅ jaise patle dāne pāle kī tarah zamīn par paṛe the. 15jab isrāīliyoṅ ne use dekhā to ek dūsre se pūchhne lage, “man hū?” yānī “yah kyā hai?” kyūṅki vah nahīṅ jānte the ki yah kyā chīz hai. mūsā ne un ko samjhāyā, “yah vah roṭī hai jo rabb ne tumheṅ khāne ke liye dī hai. 16rabb kā hukm hai ki har ek utnā jamā kare jitnā us ke ḵẖāndān ko zarūrat ho. apne ḵẖāndān ke har fard ke liye do liṭar jamā karo.”

17isrāīliyoṅ ne aisā hī kiyā. bāz ne ziyādā aur bāz ne kam jamā kiyā. 18lekin jab use nāpā gayā to har ek ādmī ke liye kāfī thā. jis ne ziyādā jamā kiyā thā us ke pās kuchh na bachā. lekin jis ne kam jamā kiyā thā us ke pās bhī kāfī thā. 19mūsā ne hukm diyā, “agle din ke liye khānā na bachānā.”

20lekin logoṅ ne mūsā kī bāt na mānī balki bāz ne khānā bachā liyā. lekin aglī subah mālūm huā ki bache hue khāne meṅ kīṛe paṛ gae haiṅ aur us se bahut badbū ā rahī hai. yah sun kar mūsā un se nārāz huā.

21har subah har koī utnā jamā kar letā jitnī use zarūrat hotī thī. jab dhūp tez hotī to jo kuchh zamīn par rah jātā vah pighal kar ḵẖatm ho jātā thā.

22chhaṭe din jab log yah ḵẖurāk jamā karte to vah miqdār meṅ dugnī hotī thī yānī har fard ke liye chār liṭar. jab jamāat ke buzurgoṅ ne mūsā ke pās ā kar use ittilā dī 23to us ne un se kahā, “rabb kā farmān hai ki kal ārām kā din hai, muqaddas sabat kā din jo allāh kī tāzīm meṅ manānā hai. āj tum jo tanūr meṅ pakānā chāhate ho pakā lo aur jo ubālnā chāhate ho ubāl lo. jo bach jāe use kal ke liye mahfūz rakho.”

24logoṅ ne mūsā ke hukm ke mutābiq agle din ke liye khānā mahfūz kar liyā to na khāne se badbū āī, na us meṅ kīṛe paṛe. 25mūsā ne kahā, “āj yahī bachā huā khānā khāo, kyūṅki āj sabat kā din hai, rabb kī tāzīm meṅ ārām kā din. āj tumheṅ registān meṅ kuchh nahīṅ milegā. 26chhah din yah ḵẖurāk jamā karnā hai, lekin sātvāṅ din ārām kā din hai. us din zamīn par khāne ke liye kuchh nahīṅ hogā.”

27to bhī kuchh log hafte ko khānā jamā karne ke liye nikle, lekin unheṅ kuchh na milā. 28tab rabb ne mūsā se kahā, “tum log kab tak mere ahkām aur hidāyāt par amal karne se inkār karoge? 29dekho, rabb ne tumhāre liye muqarrar kiyā hai ki sabat kā din ārām kā din hai. is liye vah tumheṅ jumae ko do din ke liye ḵẖurāk detā hai. hafte ko sab ko apne ḵẖaimoṅ meṅ rahanā hai. koī bhī apne ghar se bāhar na nikle.”

30chunāṅche log sabat ke din ārām karte the.

31isrāīliyoṅ ne is ḵẖurāk kā nām ‘mann’ rakhā. us ke dāne dhanie kī mānind safed the, aur us kā zāiqā shahad se bane kek kī mānind thā.

32mūsā ne kahā, “rabb farmātā hai, ‘do liṭar mann ek martabān meṅ rakh kar use āne vālī nasloṅ ke liye mahfūz rakhnā. phir vah dekh sakeṅge ki maiṅ tumheṅ kyā khānā khilātā rahā jab tumheṅ misr se nikāl lāyā’.” 33mūsā ne hārūn se kahā, “ek martabān lo aur use do liṭar mann se bhar kar rabb ke sāmne rakho tāki vah āne vālī nasloṅ ke liye mahfūz rahe.” 34hārūn ne aisā hī kiyā. us ne mann ke is martabān ko ahd ke sandūq ke sāmne rakhā tāki vah mahfūz rahe.

35isrāīliyoṅ ko 40 sāl tak mann miltā rahā. vah us vaqt tak mann khāte rahe jab tak registān se nikal kar kan’ān kī sarhadd par na pahuṅche. 36(jo paimānā isrāīlī mann ke liye istemāl karte the vah do liṭar kā ek bartan thā jis kā nām omar thā.