Ifisiyoṅ 3

paulus kī ġairyahūdiyoṅ meṅ ḵẖidmat

1is vajah se maiṅ paulus jo āp ġairyahūdiyoṅ kī ḵẖātir masīh īsā kā qaidī hūṅ allāh se duā kartā hūṅ. 2āp ne to sun liyā hai ki mujhe āp meṅ allāh ke fazl kā intizām chalāne [a] yānī ḵẖushḵẖabarī sunāne. kī ḵẖās zimmādārī dī gaī hai. 3jis tarah maiṅ ne pahale hī muḵẖtasar taur par likhā hai, allāh ne ḵẖud mujh par yah rāz zāhir kar diyā. 4jab āp vah paṛheṅge jo maiṅ ne likhā to āp jān leṅge ki mujhe masīh ke rāz ke bāre meṅ kyā kyā samajh āī hai. 5guzre zamānoṅ meṅ allāh ne yah bāt zāhir nahīṅ kī, lekin ab us ne ise rūh-ul-quds ke zarīe apne muqaddas rasūloṅ aur nabiyoṅ par zāhir kar diyā. 6aur allāh kā rāz yah hai ki us kī ḵẖushḵẖabarī ke zarīe ġairyahūdī isrāīl ke sāth āsmānī bādshāhī ke vāris, ek hī badan ke āzā aur usī vāde meṅ sharīk haiṅ jo allāh ne masīh īsā meṅ kiyā hai.

7maiṅ allāh ke muft fazl aur us kī qudrat ke izhār se ḵẖushḵẖabarī kā ḵẖādim ban gayā. 8agarchi maiṅ allāh ke tamām muqaddasīn se kamtar hūṅ to bhī us ne mujhe yah fazl baḵẖshā ki maiṅ ġairyahūdiyoṅ ko us lā-mahdūd daulat kī ḵẖushḵẖabarī sunāūṅ jo masīh meṅ dastayāb hai. 9yahī merī zimmādārī ban gaī ki maiṅ sab par us rāz kā intizām zāhir karūṅ jo guzre zamānoṅ meṅ sab chīzoṅ ke ḵẖāliq ḵẖudā meṅ poshīdā rahā. 10kyūṅki allāh chāhatā thā ki ab masīh kī jamāat hī āsmānī hukmarānoṅ aur kuvvatoṅ ko allāh kī vasī hikmat ke bāre meṅ ilm pahuṅchāe. 11yahī us kā azlī mansūbā thā jo us ne hamāre ḵẖudāvand masīh īsā ke vasīle se takmīl tak pahuṅchāyā. 12us meṅ aur us par īmān rakh kar ham pūrī āzādī aur etimād ke sāth allāh ke huzūr ā sakte haiṅ. 13is liye merī āp se guzārish hai ki āp merī musībateṅ dekh kar bedil na ho jāeṅ. yah maiṅ āp kī ḵẖātir bardāsht kar rahā hūṅ, aur yah āp kī izzat kā bāis haiṅ.

masīh kī muhabbat

14is vajah se maiṅ bāp ke huzūr apne ghuṭne ṭektā hūṅ, 15us bāp ke sāmne jis se āsmān-o-zamīn kā har ḵẖāndān nāmzad hai. 16merī duā hai ki vah apne jalāl kī daulat ke muvāfiq yah baḵẖshe ki āp us ke rūh ke vasīle se bātinī taur par zabardast taqviyat pāeṅ, 17ki masīh īmān ke zarīe āp ke diloṅ meṅ sukūnat kare. hāṅ, merī duā hai ki āp muhabbat meṅ jaṛ pakṛeṅ aur is bunyād par zindagī yūṅ guzāreṅ 18ki āp bāqī tamām muqaddasīn ke sāth yah samajhne ke qābil ban jāeṅ ki masīh kī muhabbat kitnī chauṛī, kitnī lambī, kitnī ūṅchī aur kitnī gaharī hai. 19ḵẖudā kare ki āp masīh kī yah muhabbat jān leṅ jo har ilm se kahīṅ afzal hai aur yūṅ allāh kī pūrī māmūrī se bhar jāeṅ.

20allāh kī tamjīd ho jo apnī us qudrat ke muvāfiq jo ham meṅ kām kar rahī hai aisā zabardast kām kar saktā hai jo hamārī har soch aur duā se kahīṅ bāhar hai. 21hāṅ, masīh īsā aur us kī jamāat meṅ allāh kī tamjīd pusht-dar-pusht aur azal se abad tak hotī rahe. āmīn.

[a] yānī ḵẖushḵẖabarī sunāne.