Vāiz 8

1kaun dānishmand kī mānind hai? kaun bātoṅ kī sahīh tashrīh karne kā ilm rakhtā hai? hikmat insān kā chiharā raushan aur us ke muṅh kā saḵẖt andāz narm kar detī hai.

hukmarān kā iḵẖtiyār

2maiṅ kahatā hūṅ, bādshāh ke hukm par chal, kyūṅki tū ne allāh ke sāmne halaf uṭhāyā hai. 3bādshāh ke huzūr se dūr hone meṅ jaldbāzī na kar. kisī bure muāmale meṅ mubtalā na ho jā, kyūṅki usī kī marzī chaltī hai. 4bādshāh ke farmān ke pīchhe us kā iḵẖtiyār hai, is liye kaun us se pūchhe, “tū kyā kar rahā hai?” 5jo us ke hukm par chale us kā kisī bure muāmale se vāstā nahīṅ paṛegā, kyūṅki dānishmand dil munāsib vaqt aur insāf kī rāh jāntā hai.

6kyūṅki har muāmale ke liye munāsib vaqt aur insāf kī rāh hotī hai. lekin musībat insān ko dabāe rakhtī hai, 7kyūṅki vah nahīṅ jāntā ki mustaqbil kaisā hogā. koī use yah nahīṅ batā saktā hai. 8koī bhī insān havā ko band rakhne ke qābil nahīṅ [a] ek aur mumkinā tarjumā : koī bhī insān apnī jān ko nikalne se nahīṅ rok saktā. . isī tarah kisī ko bhī apnī maut kā din muqarrar karne kā iḵẖtiyār nahīṅ. yah utnā yaqīnī hai jitnā yah ki faujiyoṅ ko jaṅg ke daurān fāriġ nahīṅ kiyā jātā aur bedīnī bedīn ko nahīṅ bachātī.

9maiṅ ne yah sab kuchh dekhā jab pūre dil se un tamām bātoṅ par dhyān diyā jo sūraj tale hotī haiṅ, jahāṅ is vaqt ek ādmī dūsre ko nuqsān pahuṅchāne kā iḵẖtiyār rakhtā hai.

duniyā meṅ nāinsāfī

10phir maiṅ ne dekhā ki bedīnoṅ ko izzat ke sāth dafnāyā gayā. yah log maqdis ke pās āte jāte the! lekin jo rāstbāz the un kī yād shahar meṅ miṭ gaī. yah bhī bātil hī hai.

11mujrimoṅ ko jaldī se sazā nahīṅ dī jātī, is liye logoṅ ke dil bure kām karne ke mansūboṅ se bhar jāte haiṅ. 12gunāhgār se sau gunāh sarzad hote haiṅ, to bhī umrrasīdā ho jātā hai.

beshak maiṅ yah bhī jāntā hūṅ ki ḵẖudātaras logoṅ kī ḵẖair hogī, un kī jo allāh ke chihare se ḍarte haiṅ. 13bedīn kī ḵẖair nahīṅ hogī, kyūṅki vah allāh kā ḵẖauf nahīṅ māntā. us kī zindagī ke din ziyādā nahīṅ balki sāy jaise ārizī hoṅge. 14to bhī ek aur bāt duniyā meṅ pesh ātī hai jo bātil hai, rāstbāzoṅ ko vah sazā miltī hai jo bedīnoṅ ko milnī chāhie, aur bedīnoṅ ko vah ajr miltā hai jo rāstbāzoṅ ko milnā chāhie. yah dekh kar maiṅ bolā, “yah bhī bātil hī hai.”

15chunāṅche maiṅ ne ḵẖushī kī tārīf kī, kyūṅki sūraj tale insān ke liye is se behatar kuchh nahīṅ hai ki vah khāe pie aur ḵẖush rahe. phir mehanat-mashaqqat karte vaqt ḵẖushī utne hī din us ke sāth rahegī jitne allāh ne sūraj tale us ke liye muqarrar kie haiṅ.

jo kuchh allāh kartā hai vah nāqābil-e-faham hai

16maiṅ ne apnī pūrī zahanī tāqat is par lagāī ki hikmat jān lūṅ aur zamīn par insān kī mehanatoṅ kā muāinā kar lūṅ, aisī mehanateṅ ki use din rāt nīṅd nahīṅ ātī. 17tab maiṅ ne allāh kā sārā kām dekh kar jān liyā ki insān us tamām kām kī tah tak nahīṅ pahuṅch saktā jo sūraj tale hotā hai. ḵẖwāh vah us kī kitnī tahqīq kyūṅ na kare to bhī vah tah tak nahīṅ pahuṅch saktā. ho saktā hai koī dānishmand dāvā kare, “mujhe is kī pūrī samajh āī hai,” lekin aisā nahīṅ hai, vah tah tak nahīṅ pahuṅch saktā.

[a] ek aur mumkinā tarjumā : koī bhī insān apnī jān ko nikalne se nahīṅ rok saktā.