Vāiz 4

murdoṅ kā hāl behatar hai

1maiṅ ne ek bār phir nazar ḍālī to mujhe vah tamām zulm nazar āyā jo sūraj tale hotā hai. mazlūmoṅ ke āṅsū bahate haiṅ, aur tasallī dene vālā koī nahīṅ hotā. zālim un se ziyādtī karte haiṅ, aur tasallī dene vālā koī nahīṅ hotā. 2yah dekh kar maiṅ ne murdoṅ ko mubārak kahā, hālāṅki vah arse se vafāt pā chuke the. maiṅ ne kahā, “vah hāl ke zindā logoṅ se kahīṅ mubārak haiṅ. 3lekin in se ziyādā mubārak vah hai jo ab tak vujūd meṅ nahīṅ āyā, jis ne vah tamām burāiyāṅ nahīṅ dekhīṅ jo sūraj tale hotī haiṅ.”

ġurbat meṅ sukūn behatar hai

4maiṅ ne yah bhī dekhā ki sab log is liye mehanat-mashaqqat aur mahārat se kām karte haiṅ ki ek dūsre se hasad karte haiṅ. yah bhī bātil aur havā ko pakaṛne ke barābar hai. 5ek taraf to ahamaq hāth par hāth dhare baiṭhne ke bāis apne āp ko tabāhī tak pahuṅchātā hai. 6lekin dūsrī taraf agar koī muṭṭhī bhar rozī kamā kar sukūn ke sāth zindagī guzār sake to yah is se behatar hai ki donoṅ muṭṭhiyāṅ sirtoṛ mehanat aur havā ko pakaṛne kī koshishoṅ ke bād hī bhareṅ.

tanhāī kī nisbat mil kar rahanā behatar hai

7maiṅ ne sūraj tale mazīd kuchh dekhā jo bātil hai. 8ek ādmī akelā hī thā. na us ke beṭā thā, na bhāī. vah behad mehanat-mashaqqat kartā rahā, lekin us kī āṅkheṅ kabhī apnī daulat se mutmain na thīṅ. savāl yah rahā, “maiṅ itnī sirtoṛ koshish kis ke liye kar rahā hūṅ? maiṅ apnī jān ko zindagī ke maze lene se kyūṅ maharūm rakh rahā hūṅ?” yah bhī bātil aur nāgvār muāmalā hai.

9do ek se behatar haiṅ, kyūṅki unheṅ apne kām-kāj kā acchhā ajr milegā. 10agar ek gir jāe to us kā sāthī use dubārā khaṛā karegā. lekin us par afsos jo gir jāe aur koī sāthī na ho jo use dubārā khaṛā kare. 11nīz, jab do sardiyoṅ ke mausam meṅ mil kar bistar par leṭ jāeṅ to vah garm rahate haiṅ. jo tanhā hai vah kis tarah garm ho jāegā? 12ek shaḵẖs par qābū pāyā jā saktā hai jabki do mil kar apnā difā kar sakte haiṅ. tīn laṛiyoṅ vālī rassī jaldī se nahīṅ ṭūṭtī.

qaum kī qabūliyat fuzūl hai

13jo laṛkā ġarīb lekin dānishmand hai vah us buzurg lekin ahamaq bādshāh se kahīṅ behatar hai jo tambīh mānne se inkār kare. 14kyūṅki go vah būṛhe bādshāh kī hukūmat ke daurān ġurbat meṅ paidā huā thā to bhī vah jel se nikal kar bādshāh ban gayā. 15lekin phir maiṅ ne dekhā ki sūraj tale tamām log ek aur laṛke ke pīchhe ho liye jise pahale kī jagah taḵẖtnashīn honā thā. 16un tamām logoṅ kī intihā nahīṅ thī jin kī qiyādat vah kartā thā. to bhī jo bād meṅ āeṅge vah us se ḵẖush nahīṅ hoṅge. yah bhī bātil aur havā ko pakaṛne ke barābar hai.