Vāiz 2

duniyā kī ḵẖushiyāṅ bātil haiṅ

1maiṅ ne apne āp se kahā, “ā, ḵẖushī ko āzmā kar acchhī chīzoṅ kā tajribā kar!” lekin yah bhī bātil hī niklā. 2maiṅ bolā, “haṅsnā behūdā hai, aur ḵẖushī se kyā hāsil hotā hai?” 3maiṅ ne dil meṅ apnā jism mai se tar-o-tāzā karne aur hamāqat apnāne ke tarīqe ḍhūṅḍ nikāle. is ke pīchhe bhī merī hikmat mālūm karne kī koshish thī, kyūṅki maiṅ dekhnā chāhatā thā ki jab tak insān āsmān tale jītā rahe us ke liye kyā kuchh karnā mufīd hai.

4maiṅ ne baṛe baṛe kām anjām die, apne liye makān tāmīr kie, tākistān lagāe, 5mut’addid bāġ aur pārk lagā kar un meṅ muḵẖtalif qism ke phaldār daraḵẖt lagāe. 6phalne phūlne vāle jaṅgal kī ābpāshī ke liye maiṅ ne tālāb tayyār karvāe. 7maiṅ ne ġulām aur lauṅḍiyāṅ ḵẖarīd līṅ. aise ġulām bhī bahut the jo ghar meṅ paidā hue the. mujhe utne gāy-bail aur bheṛ-bakriyāṅ milīṅ jitnī mujh se pahale yarūshalam meṅ kisī ko hāsil na thīṅ. 8maiṅ ne apne liye sonā-chāṅdī aur bādshāhoṅ aur sūboṅ ke ḵẖazāne jamā kie. maiṅ ne gulūkār mard-o-ḵẖavātīn hāsil kie, sāth sāth kasrat kī aisī chīzeṅ jin se insān apnā dil bahalātā hai.

9yūṅ maiṅ ne bahut taraqqī karke un sab par sabqat hāsil kī jo mujh se pahale yarūshalam meṅ the. aur har kām meṅ merī hikmat mere dil meṅ qāim rahī. 10jo kuchh bhī merī āṅkheṅ chāhatī thīṅ vah maiṅ ne un ke liye muhayyā kiyā, maiṅ ne apne dil se kisī bhī ḵẖushī kā inkār na kiyā. mere dil ne mere har kām se lutf uṭhāyā, aur yah merī tamām mehanat-mashaqqat kā ajr rahā.

11lekin jab maiṅ ne apne hāthoṅ ke tamām kāmoṅ kā jāizā liyā, us mehanat-mashaqqat kā jo maiṅ ne kī thī to natījā yahī niklā ki sab kuchh bātil aur havā ko pakaṛne ke barābar hai. sūraj tale kisī bhī kām kā fāidā nahīṅ hotā.

sab kā ek hī anjām hai

12phir maiṅ hikmat, behudgī aur hamāqat par ġaur karne lagā. maiṅ ne sochā, jo ādmī bādshāh kī vafāt par taḵẖtnashīn hogā vah kyā karegā? vahī kuchh jo pahale bhī kiyā jā chukā hai!

13maiṅ ne dekhā ki jis tarah raushnī aṅdhere se behatar hai usī tarah hikmat hamāqat se behatar hai. 14dānishmand ke sar meṅ āṅkheṅ haiṅ jabki ahamaq aṅdhere hī meṅ chaltā hai. lekin maiṅ ne yah bhī jān liyā ki donoṅ kā ek hī anjām hai. 15maiṅ ne dil meṅ kahā, “ahamaq kā sā anjām merā bhī hogā. to phir itnī ziyādā hikmat hāsil karne kā kyā fāidā hai? yah bhī bātil hai.” 16kyūṅki ahamaq kī tarah dānishmand kī yād bhī hameshā tak nahīṅ rahegī. āne vāle dinoṅ meṅ sab kī yād miṭ jāegī. ahamaq kī tarah dānishmand ko bhī marnā hī hai!

17yūṅ sochte sochte maiṅ zindagī se nafrat karne lagā. jo bhī kām sūraj tale kiyā jātā hai vah mujhe burā lagā, kyūṅki sab kuchh bātil aur havā ko pakaṛne ke barābar hai. 18sūraj tale maiṅ ne jo kuchh bhī mehanat-mashaqqat se hāsil kiyā thā us se mujhe nafrat ho gaī, kyūṅki mujhe yah sab kuchh us ke liye chhoṛnā hai jo mere bād merī jagah āegā. 19aur kyā mālūm ki vah dānishmand yā ahamaq hogā? lekin jo bhī ho, vah un tamām chīzoṅ kā mālik hogā jo hāsil karne ke liye maiṅ ne sūraj tale apnī pūrī tāqat aur hikmat sarf kī hai. yah bhī bātil hai.

20tab merā dil māyūs ho kar himmat hārne lagā, kyūṅki jo bhī mehanat-mashaqqat maiṅ ne sūraj tale kī thī vah bekār sī lagī. 21kyūṅki ḵẖwāh insān apnā kām hikmat, ilm aur mahārat se kyūṅ na kare, āḵẖirkār use sab kuchh kisī ke liye chhoṛnā hai jis ne us ke liye ek uṅglī bhī nahīṅ hilāī. yah bhī bātil aur baṛī musībat hai. 22kyūṅki āḵẖir meṅ insān ke liye kyā kuchh qāim rahatā hai, jabki us ne sūraj tale itnī mehanat-mashaqqat aur koshishoṅ ke sāth sab kuchh hāsil kar liyā hai? 23us ke tamām din dukh aur raṅjīdgī se bhare rahate haiṅ, rāt ko bhī us kā dil ārām nahīṅ pātā. yah bhī bātil hī hai.

24insān ke liye sab se acchhī bāt yah hai ki khāe pie aur apnī mehanat-mashaqqat ke phal se lutf’andoz ho. lekin maiṅ ne yah bhī jān liyā ki allāh hī yah sab kuchh muhayyā kartā hai. 25kyūṅki us ke baġair kaun khā kar ḵẖush ho saktā hai? koī nahīṅ! 26jo insān allāh ko manzūr ho use vah hikmat, ilm-o-irfān aur ḵẖushī atā kartā hai, lekin gunāhgār ko vah jamā karne aur zaḵẖīrā karne kī zimmādārī detā hai tāki bād meṅ yah daulat allāh ko manzūr shaḵẖs ke havāle kī jāe. yah bhī bātil aur havā ko pakaṛne ke barābar hai.