Vāiz 10

muḵẖtalif hidāyāt

1marī huī makkhiyāṅ ḵẖushbūdār tel ḵẖarāb kartī haiṅ, aur hikmat aur izzat kī nisbat thoṛī sī hamāqat kā ziyādā asar hotā hai.

2dānishmand kā dil sahīh rāh chun letā hai jabki ahamaq kā dil ġalat rāh par ā jātā hai. 3rāste par chalte vaqt bhī ahamaq samajh se ḵẖālī hai, jis se bhī mile use batātā hai ki vah bevuqūf hai [a] ibrānī zūmānī hai. dūsrā matlab ki maiṅ bevuqūf hūṅ ho saktā hai. .

4agar hukmarān tujh se nārāz ho jāe to apnī jagah mat chhoṛ, kyūṅki pursukūn ravayyā baṛī baṛī ġaltiyāṅ dūr kar detā hai.

5mujhe sūraj tale ek aisī burī bāt nazar āī jo aksar hukmarānoṅ se sarzad hotī hai. 6ahamaq ko baṛe uhdoṅ par fāiz kiyā jātā hai jabki amīr chhoṭe uhdoṅ par hī rahate haiṅ. 7maiṅ ne ġulāmoṅ ko ghoṛe par savār aur hukmarānoṅ ko ġulāmoṅ kī tarah paidal chalte dekhā hai.

8jo gaṛhā khode vah ḵẖud us meṅ gir saktā hai, jo dīvār girā de ho saktā hai ki sāṁp use ḍase. 9jo kān se patthar nikāle use choṭ lag saktī hai, jo lakṛī chīr ḍāle vah zaḵẖmī ho jāne ke ḵẖatre meṅ hai.

10agar kulhāṛī kund ho aur koī use tez na kare to ziyādā tāqat darkār hai. lihāzā hikmat ko sahīh taur se amal meṅ lā, tab hī kāmyābī hāsil hogī.

11agar is se pahale ki saperā sāṁp par qābū pāe vah use ḍase to phir saperā hone kā kyā fāidā?

12dānishmand apne muṅh kī bātoṅ se dūsroṅ kī meharbānī hāsil kartā hai, lekin ahamaq ke apne hī hoṅṭ use haṛap kar lete haiṅ. 13us kā bayān ahamaqānā bātoṅ se shurū aur ḵẖatarnāk bevuqūfiyoṅ se ḵẖatm hotā hai. 14aisā shaḵẖs bāteṅ karne se bāz nahīṅ ātā, go insān mustaqbil ke bāre meṅ kuchh nahīṅ jāntā. kaun use batā saktā hai ki us ke bād kyā kuchh hogā? 15ahamaq kā kām use thakā detā hai, aur vah shahar kā rāstā bhī nahīṅ jāntā.

16us mulk par afsos jis kā bādshāh bacchā hai aur jis ke buzurg subah hī ziyāfat karne lagte haiṅ. 17mubārak hai vah mulk jis kā bādshāh sharīf hai aur jis ke buzurg nashe meṅ dhut nahīṅ rahate balki munāsib vaqt par aur nazm-o-zabt ke sāth khānā khāte haiṅ.

18jo sust hai us ke ghar ke shahatīr jhukne lagte haiṅ, jis ke hāth ḍhīle haiṅ us kī chhat se pānī ṭapakne lagtā hai.

19ziyāfat karne se haṅsī-ḵẖushī aur mai pīne se zindādilī paidā hotī hai, lekin paisā hī sab kuchh muhayyā kartā hai.

20ḵẖayāloṅ meṅ bhī bādshāh par lānat na kar, apne sone ke kamre meṅ bhī amīr par lānat na bhej, aisā na ho ki koī parindā tere alfāz le kar us tak pahuṅchāe.

[a] ibrānī zūmānī hai. dūsrā matlab ki maiṅ bevuqūf hūṅ ho saktā hai.