Istisnā 8

rabb ko na bhūlnā

1ehatiyāt se un tamām ahkām par amal karo jo maiṅ āj tujhe de rahā hūṅ. kyūṅki aisā karne se tum jīte rahoge, tādād meṅ baṛhoge aur jā kar us mulk par qabzā karoge jis kā vādā rabb ne tumhāre bāpdādā se qasam khā kar kiyā thā.

2vah pūrā vaqt yād rakh jab rabb terā ḵẖudā registān meṅ 40 sāl tak terī rāhanumāī kartā rahā tāki tujhe ājiz karke āzmāe aur mālūm kare ki kyā tū us ke ahkām par chalegā ki nahīṅ. 3us ne tujhe ājiz karke bhūke hone diyā, phir tujhe mann khilāyā jis se na tū aur na tere bāpdādā vāqif the. kyūṅki vah tujhe sikhānā chāhatā thā ki insān kī zindagī sirf roṭī par munhasir nahīṅ hotī balki har us bāt par jo rabb ke muṅh se nikaltī hai.

4in 40 sāloṅ ke daurān tere kapṛe na ghise na phaṭe, na tere pāoṅ sūje. 5chunāṅche dil meṅ jān le ki jis tarah bāp apne beṭe kī tarbīyat kartā hai usī tarah rabb hamārā ḵẖudā hamārī tarbiyat kartā hai.

6rabb apne ḵẖudā ke ahkām par amal karke us kī rāhoṅ par chal aur us kā ḵẖauf mān. 7kyūṅki vah tujhe ek behtarīn mulk meṅ le jā rahā hai jis meṅ nahareṅ aur aise chashme haiṅ jo pahāṛiyoṅ aur vādiyoṅ kī zamīn se phūṭ nikalte haiṅ. 8us kī paidāvār anāj, jau, aṅgūr, anjīr, anār, zaitūn aur shahad hai. 9us meṅ roṭī kī kamī nahīṅ hogī, aur tū kisī chīz se maharūm nahīṅ rahegā. us ke pattharoṅ meṅ lohā pāyā jātā hai, aur khudāī se tū us kī pahāṛiyoṅ se tāṁbā hāsil kar sakegā.

10jab tū kasrat kā khānā khā kar ser ho jāegā to phir rabb apne ḵẖudā kī tamjīd karnā jis ne tujhe yah shāndār mulk diyā hai. 11ḵẖabardār, rabb apne ḵẖudā ko na bhūl aur us ke un ahkām par amal karne se gurez na kar jo maiṅ āj tujhe de rahā hūṅ. 12kyūṅki jab tū kasrat kā khānā khā kar ser ho jāegā, tū shāndār ghar banā kar un meṅ rahegā 13aur tere revaṛ, sone-chāṅdī aur bāqī tamām māl meṅ izāfā hogā 14to kahīṅ tū maġrūr ho kar rabb apne ḵẖudā ko bhūl na jāe jo tujhe misr kī ġulāmī se nikāl lāyā. 15jab tū us vasī aur haulnāk registān meṅ safar kar rahā thā jis meṅ zaharīle sāṁp aur bicchhū the to vahī terī rāhanumāī kartā rahā. pānī se maharūm us ilāqe meṅ vahī saḵẖt patthar meṅ se pānī nikāl lāyā. 16registān meṅ vahī tujhe mann khilātā rahā, jis se tere bāpdādā vāqif na the. in mushkilāt se vah tujhe ājiz karke āzmātā rahā tāki āḵẖirkār tū kāmyāb ho jāe.

17jab tujhe kāmyābī hāsil hogī to yah na kahanā ki maiṅ ne apnī hī quvvat aur tāqat se yah sab kuchh hāsil kiyā hai. 18balki rabb apne ḵẖudā ko yād karnā jis ne tujhe daulat hāsil karne kī qābiliyat dī hai. kyūṅki vah āj bhī usī ahd par qāim hai jo us ne tere bāpdādā se kiyā thā.

19rabb apne ḵẖudā ko na bhūlnā, aur na dīgar mābūdoṅ ke pīchhe paṛ kar unheṅ sijdā aur un kī ḵẖidmat karnā. varnā maiṅ ḵẖud gavāh hūṅ ki tum yaqīnan halāk ho jāoge. 20agar tum rabb apne ḵẖudā kī itāat nahīṅ karoge to phir vah tumheṅ un qaumoṅ kī tarah tabāh kar degā jo tum se pahale is mulk meṅ rahatī thīṅ.