Istisnā 33

mūsā qabīloṅ ko barkat detā hai

1marne se peshtar mard-e-ḵẖudā mūsā ne isrāīliyoṅ ko barkat de kar 2kahā,

“rabb sīnā se āyā, saīr [a] adom. se us kā nūr un par tulū huā. vah koh-e-fārān se raushnī phailā kar ribbot-qādis se āyā, vah apne junūbī ilāqe se ravānā ho kar un kī ḵẖātir pahāṛī ḍhalānoṅ ke pās āyā.

3yaqīnan vah qaumoṅ se muhabbat kartā hai, tamām muqaddasīn tere hāth meṅ haiṅ. vah tere pāoṅ ke sāmne jhuk kar tujh se hidāyat pāte haiṅ.

4mūsā ne hameṅ sharīat dī yānī vah chīz jo yāqūb kī jamāat kī maurūsī milkiyat hai.

5isrāīl ke rāhanumā apne qabīloṅ samet jamā hue to rabb yasūrūn [b] isrāīl. kā bādshāh ban gayā.

6rūbin kī barkat :

rūbin mar na jāe balki jītā rahe. vah tādād meṅ baṛh jāe.

7yahūdāh kī barkat :

ai rabb, yahūdāh kī pukār sun kar use dubārā us kī qaum meṅ shāmil kar. us ke hāth us ke liye laṛeṅ. muḵẖālifoṅ kā sāmnā karte vaqt us kī madad kar.

8lāvī kī barkat :

terī marzī mālūm karne ke qurae banām ūrīm aur tummīm tere vafādār ḵẖādim lāvī ke pās hote haiṅ. tū ne use massā meṅ āzmāyā aur marībā meṅ us se laṛā. 9us ne terā kalām saṁbhāl kar terā ahd qāim rakhā, yahāṅ tak ki us ne na apne māṅ-bāp kā, na apne sage bhāiyoṅ yā bacchoṅ kā lihāz kiyā.

10vah yāqūb ko terī hidāyāt aur isrāīl ko terī sharīat sikhā kar tere sāmne baḵẖūr aur terī qurbāngāh par bhasm hone vālī qurbāniyāṅ chaṛhātā hai.

11ai rabb, us kī tāqat ko baṛhā kar us ke hāthoṅ kā kām pasand kar. us ke muḵẖālifoṅ kī kamar toṛ aur us se nafrat rakhne vāloṅ ko aisā mār ki āindā kabhī na uṭheṅ.

12binyamīn kī barkat :

binyamīn rabb ko piyārā hai. vah salāmatī se us ke pās rahatā hai, kyūṅki rabb din rāt use panāh detā hai. binyamīn us kī pahāṛī ḍhalānoṅ ke darmiyān mahfūz rahatā hai.

13yūsuf kī barkat :

rabb us kī zamīn ko barkat de. āsmān se qīmtī os ṭapke aur zamīn ke nīche se chashme phūṭ nikleṅ.

14yūsuf ko sūraj kī behtarīn paidāvār aur har mahīne kā lazīztarīn phal hāsil ho.

15use qadīm pahāṛoṅ aur abdī vādiyoṅ kī behtarīn chīzoṅ se navāzā jāe.

16zamīn ke tamām zaḵẖīre us ke liye khul jāeṅ. vah us ko pasand ho jo jaltī huī jhāṛī meṅ sukūnat kartā thā. yah tamām barkateṅ yūsuf ke sar par ṭhahareṅ, us ke sar par jo apne bhāiyoṅ meṅ shahzādā hai.

17yūsuf sāṅḍ ke pahalauṭhe jaisā azīm hai, aur us ke sīṅg jaṅglī bail ke sīṅg haiṅ jin se vah duniyā kī intihā tak sab qaumoṅ ko māregā. ifrāīm ke beshumār afrād aise hī haiṅ, manassī ke hazāroṅ afrād aise hī haiṅ.

18zabūlūn aur ishkār kī barkat :

ai zabūlūn, ghar se nikalte vaqt ḵẖushī manā. ai ishkār, apne ḵẖaimoṅ meṅ rahate hue ḵẖush ho.

19vah dīgar qaumoṅ ko apne pahāṛ par āne kī dāvat deṅge aur vahāṅ rāstī kī qurbāniyāṅ pesh kareṅge. vah samundar kī kasrat aur samundar kī ret meṅ chhupe hue ḵẖazānoṅ ko jazab kar leṅge.

20jad kī barkat :

mubārak hai vah jo jad kā ilāqā vasī kar de. jad sherbabar kī tarah dabak kar kisī kā bāzū yā sar phāṛ ḍālne ke liye tayyār rahatā hai.

21us ne apne liye sab se acchhī zamīn chun lī, rāhanumā kā hissā usī ke liye mahfūz rakhā gayā. jab qaum ke rāhanumā jamā hue to us ne rabb kī rāst marzī pūrī kī aur isrāīl ke bāre meṅ us ke faisle amal meṅ lāyā.

22dān kī barkat :

dān sherbabar kā bacchā hai jo basan se nikal kar chhalāṅg lagātā hai.

23naftālī kī barkat :

naftālī rabb kī manzūrī se ser hai, use us kī pūrī barkat hāsil hai. vah galīl kī jhīl aur us ke junūb kā ilāqā mīrās meṅ pāegā.

24āshar kī barkat :

āshar beṭoṅ meṅ sab se mubārak hai. vah apne bhāiyoṅ ko pasand ho. us ke pās zaitūn kā itnā tel ho ki vah apne pāoṅ us meṅ ḍubo sake.

25tere shaharoṅ ke darvāzoṅ ke kuṅḍe lohe aur pītal ke hoṅ, terī tāqat umr bhar qāim rahe.

26yasūrūn ke ḵẖudā kī mānind koī nahīṅ hai, jo āsmān par savār ho kar, hāṅ apne jalāl meṅ bādloṅ par baiṭh kar terī madad karne ke liye ātā hai.

27azlī ḵẖudā terī panāhgāh hai, vah apne azlī bāzū tere nīche phailāe rakhtā hai. vah dushman ko tere sāmne se bhagā kar use halāk karne ko kahatā hai.

28chunāṅche isrāīl salāmatī se zindagī guzāregā, yāqūb kā chashmā alag aur mahfūz rahegā. us kī zamīn anāj aur aṅgūr kī kasrat paidā karegī, aur us ke ūpar āsmān zamīn par os paṛne degā.

29ai isrāīl, tū kitnā mubārak hai. kaun terī mānind hai, jise rabb ne bachāyā hai. vah terī madad kī ḍhāl aur terī shān kī talvār hai. tere dushman shikast khā kar terī ḵẖushāmad kareṅge, aur tū un kī kamreṅ pāoṅ tale kuchlegā.”

[a] adom.
[b] isrāīl.