Istisnā 27

aibāl pahāṛ par qurbāngāh banānā hai

1phir mūsā ne buzurgoṅ se mil kar qaum se kahā, “tamām hidāyāt ke tābe raho jo maiṅ tumheṅ āj de rahā hūṅ. 2jab tum daryā-e-yardan ko pār karke us mulk meṅ dāḵẖil hoge jo rabb terā ḵẖudā tujhe de rahā hai to vahāṅ baṛe patthar khaṛe karke un par saphedī kar. 3un par lafz-ba-lafz pūrī sharīat likh. daryā ko pār karne ke bād yahī kuchh kar tāki tū us mulk meṅ dāḵẖil ho jo rabb terā ḵẖudā tujhe degā aur jis meṅ dūdh aur shahad kī kasrat hai. kyūṅki rabb tere bāpdādā ke ḵẖudā ne yah dene kā tujh se vādā kiyā hai. 4chunāṅche yardan ko pār karke pattharoṅ ko aibāl pahāṛ par khaṛā karo aur un par saphedī kar.

5vahāṅ rabb apne ḵẖudā ke liye qurbāngāh banānā. jo patthar tū us ke liye istemāl kare unheṅ lohe ke kisī auzār se na tarāshnā. 6sirf sālim patthar istemāl kar. qurbāngāh par rabb apne ḵẖudā ko bhasm hone vālī qurbāniyāṅ pesh kar. 7salāmatī kī qurbāniyāṅ bhī us par chaṛhā. unheṅ vahāṅ rabb apne ḵẖudā ke huzūr khā kar ḵẖushī manā. 8vahāṅ khaṛe kie gae pattharoṅ par sharīat ke tamām alfāz sāf sāf likhe jāeṅ.”

aibāl pahāṛ par se lānat

9phir mūsā ne lāvī ke qabīle ke imāmoṅ se mil kar tamām isrāīliyoṅ se kahā, “ai isrāīl, ḵẖāmoshī se sun. ab tū rabb apne ḵẖudā kī qaum ban gayā hai, 10is liye us kā faramāṁbardār rah aur us ke un ahkām par amal kar jo maiṅ tujhe āj de rahā hūṅ.”

11usī din mūsā ne isrāīliyoṅ ko hukm de kar kahā, 12“daryā-e-yardan ko pār karne ke bād shamāūn, lāvī, yahūdāh, ishkār, yūsuf aur binyamīn ke qabīle garizīm pahāṛ par khaṛe ho jāeṅ. vahāṅ vah barkat ke alfāz boleṅ. 13bāqī qabīle yānī rūbin, jad, āshar, zabūlūn, dān aur naftālī aibāl pahāṛ par khaṛe ho kar lānat ke alfāz boleṅ.

14phir lāvī tamām logoṅ se muḵẖātib ho kar ūṅchī āvāz se kaheṅ,

15‘us par lānat jo but tarāsh kar yā ḍhāl kar chupke se khaṛā kare. rabb ko kārīgar ke hāthoṅ se banī huī aisī chīz se ghin hai.’

javāb meṅ sab log kaheṅ, ‘āmīn!’

16phir lāvī kaheṅ, ‘us par lānat jo apne bāp yā māṅ kī tahqīr kare.’

sab log kaheṅ, ‘āmīn!’

17‘us par lānat jo apne paṛosī kī zamīn kī hudūd āge pīchhe kare.’

sab log kaheṅ, ‘āmīn!’

18‘us par lānat jo kisī aṅdhe kī rāhanumāī karke use ġalat rāste par le jāe.’

sab log kaheṅ, ‘āmīn!’

19‘us par lānat jo pardesiyoṅ, yatīmoṅ yā bevāoṅ ke huqūq qāim na rakhe.’

sab log kaheṅ, ‘āmīn!’

20‘us par lānat jo apne bāp kī bīvī se hambistar ho jāe, kyūṅki vah apne bāp kī behuramtī kartā hai.’

sab log kaheṅ, ‘āmīn!’

21‘us par lānat jo jānvar se jinsī tālluq rakhe.’

sab log kaheṅ, ‘āmīn!’

22‘us par lānat jo apnī sagī bahan, apne bāp kī beṭī yā apnī māṅ kī beṭī se hambistar ho jāe.’

sab log kaheṅ, ‘āmīn!’

23‘us par lānat jo apnī sās se hambistar ho jāe.’

sab log kaheṅ, ‘āmīn!’

24‘us par lānat jo chupke se apne hamvatan ko qatl kar de.’

sab log kaheṅ, ‘āmīn!’

25‘us par lānat jo paise le kar kisī bequsūr shaḵẖs ko qatl kare.’

sab log kaheṅ, ‘āmīn!’

26‘us par lānat jo is sharīat kī bāteṅ qāim na rakhe, na in par amal kare.’

sab log kaheṅ, ‘āmīn!’