Istisnā 26

zamīn kī pahalī paidāvār rabb ko pesh karnā

1jab tū us mulk meṅ dāḵẖil hogā jo rabb terā ḵẖudā tujhe mīrās meṅ de rahā hai aur tū us par qabzā karke us meṅ ābād ho jāegā 2to jo bhī fasal tū kāṭegā us ke pahale phal meṅ se kuchh ṭokre meṅ rakh kar us jagah le jā jo rabb terā ḵẖudā apne nām kī sukūnat ke liye chunegā. 3vahāṅ ḵẖidmat karne vāle imām se kah, “āj maiṅ rabb apne ḵẖudā ke huzūr elān kartā hūṅ ki us mulk meṅ pahuṅch gayā hūṅ jis kā hameṅ dene kā vādā rabb ne qasam khā kar hamāre bāpdādā se kiyā thā.”

4tab imām terā ṭokrā le kar use rabb tere ḵẖudā kī qurbāngāh ke sāmne rakh de. 5phir rabb apne ḵẖudā ke huzūr kah, “merā bāp āvārā phirne vālā arāmī thā jo apne logoṅ ko le kar misr meṅ ābād huā. vahāṅ pahuṅchte vaqt un kī tādād kam thī, lekin hote hote vah baṛī aur tāqatvar qaum ban gae. 6lekin misriyoṅ ne hamāre sāth burā sulūk kiyā aur hameṅ dabā kar saḵẖt ġulāmī meṅ phaṅsā diyā. 7phir ham ne chillā kar rabb apne bāpdādā ke ḵẖudā se faryād kī, aur rabb ne hamārī sunī. us ne hamārā dukh, hamārī musībat aur dabī huī hālat dekhī 8aur baṛe iḵẖtiyār aur qudrat kā izhār karke hameṅ misr se nikāl lāyā. us vaqt us ne misriyoṅ meṅ dahshat phailā kar baṛe mojize dikhāe. 9vah hameṅ yahāṅ le āyā aur yah mulk diyā jis meṅ dūdh aur shahad kī kasrat hai. 10ai rabb, ab maiṅ tujhe us zamīn kā pahalā phal pesh kartā hūṅ jo tū ne hameṅ baḵẖshī hai.”

apnī paidāvār kā ṭokrā rabb apne ḵẖudā ke sāmne rakh kar use sijdā karnā. 11ḵẖushī manānā ki rabb mere ḵẖudā ne mujhe aur mere gharāne ko itnī acchhī chīzoṅ se navāzā hai. is ḵẖushī meṅ apne darmiyān rahane vāle lāviyoṅ aur pardesiyoṅ ko bhī shāmil karnā.

fazl kā zarūratmandoṅ ke liye hissā

12har tīsre sāl apnī tamām fasloṅ kā dasvāṅ hissā lāviyoṅ, pardesiyoṅ, yatīmoṅ aur bevāoṅ ko denā tāki vah tere shaharoṅ meṅ khānā khā kar ser ho jāeṅ. 13phir rabb apne ḵẖudā se kah, “maiṅ ne vaisā hī kiyā hai jaisā tū ne mujhe hukm diyā. maiṅ ne apne ghar se tere liye maḵẖsūs-o-muqaddas hissā nikāl kar use lāviyoṅ, pardesiyoṅ, yatīmoṅ aur bevāoṅ ko diyā hai. maiṅ ne sab kuchh terī hidāyāt ke ain mutābiq kiyā hai aur kuchh nahīṅ bhūlā. 14mātam karte vaqt maiṅ ne is maḵẖsūs-o-muqaddas hisse se kuchh nahīṅ khāyā. maiṅ ise uṭhā kar ghar se bāhar lāte vaqt nāpāk nahīṅ thā. maiṅ ne is meṅ se murdoṅ ko bhī kuchh pesh nahīṅ kiyā. maiṅ ne rabb apne ḵẖudā kī itāat karke vah sab kuchh kiyā hai jo tū ne mujhe karne ko farmāyā thā. 15chunāṅche āsmān par apne maqdis se nigāh karke apnī qaum isrāīl ko barkat de. us mulk ko bhī barkat de jis kā vādā tū ne qasam khā kar hamāre bāpdādā se kiyā aur jo tū ne hameṅ baḵẖsh bhī diyā hai, us mulk ko jis meṅ dūdh aur shahad kī kasrat hai.”

tum rabb kī qaum ho

16āj rabb terā ḵẖudā farmātā hai ki in ahkām aur hidāyāt kī pairvī kar. pūre dil-o-jān se aur baṛī ehatiyāt se in par amal kar.

17āj tū ne elān kiyā hai, “rabb merā ḵẖudā hai. maiṅ us kī rāhoṅ par chaltā rahūṅgā, us ke ahkām ke tābe rahūṅgā aur us kī sunūṅgā.” 18aur āj rabb ne elān kiyā hai, “tū merī qaum aur merī apnī milkiyat hai jis tarah maiṅ ne tujh se vādā kiyā hai. ab mere tamām ahkām ke mutābiq zindagī guzār. 19jitnī bhī qaumeṅ maiṅ ne ḵẖalaq kī haiṅ un sab par maiṅ tujhe sarfarāz karūṅgā aur tujhe tārīf, shuharat aur izzat atā karūṅgā. tū rabb apne ḵẖudā ke liye maḵẖsūs-o-muqaddas qaum hogā jis tarah maiṅ ne vādā kiyā hai.”