Istisnā 23

muqaddas ijtimā meṅ sharīk hone kī sharāit

1jab isrāīlī rabb ke maqdis ke pās jamā hote haiṅ to use hāzir hone kī ijāzat nahīṅ jo kāṭne yā kuchalne se ḵẖojā ban gayā hai. 2isī tarah vah bhī muqaddas ijtimā se dūr rahe jo nājāiz tālluqāt ke natīje meṅ paidā huā hai. us kī aulād bhī dasvīṅ pusht tak us meṅ nahīṅ ā saktī.

3koī bhī ammonī yā moābī muqaddas ijtimā meṅ sharīk nahīṅ ho saktā. in qaumoṅ kī aulād dasvīṅ pusht tak bhī is jamāat meṅ hāzir nahīṅ ho saktī, 4kyūṅki jab tum misr se nikal āe to vah roṭī aur pānī le kar tum se milne na āe. na sirf yah balki unhoṅ ne masoputāmiyā ke shahar fator meṅ jā kar bal’ām bin baor ko paise die tāki vah tujh par lānat bheje. 5lekin rabb tere ḵẖudā ne bal’ām kī na sunī balki us kī lānat barkat meṅ badal dī. kyūṅki rabb terā ḵẖudā tujh se piyār kartā hai. 6umr bhar kuchh na karnā jis se in qaumoṅ kī salāmatī aur ḵẖushhālī baṛh jāe.

7lekin adomiyoṅ ko makrūh na samajhnā, kyūṅki vah tumhāre bhāī haiṅ. isī tarah misriyoṅ ko bhī makrūh na samajhnā, kyūṅki tū un ke mulk meṅ pardesī mehamān thā. 8un kī tīsrī nasal ke log rabb ke muqaddas ijtimā meṅ sharīk ho sakte haiṅ.

ḵẖaimāgāh meṅ nāpākī

9apne dushmanoṅ se jaṅg karte vaqt apnī lashkargāh meṅ har nāpāk chīz se dūr rahanā. 10maslan agar koī ādmī rāt ke vaqt ehatilām ke bāis nāpāk ho jāe to vah lashkargāh ke bāhar jā kar shām tak vahāṅ ṭhahare. 11din ḍhalte vaqt vah nahā le to sūraj ḍūbne par lashkargāh meṅ vāpas ā saktā hai.

12apnī hājat rafā karne ke liye lashkargāh se bāhar koī jagah muqarrar kar. 13jab kisī ko hājat ke liye baiṭhnā ho to vah is ke liye gaṛhā khode aur bād meṅ use miṭṭī se bhar de. is liye apne sāmān meṅ khudāī kā koī ālā rakhnā zarūrī hai.

14rabb terā ḵẖudā terī lashkargāh meṅ tere darmiyān hī ghūmtā phirtā hai tāki tū mahfūz rahe aur dushman tere sāmne shikast khāe. is liye lāzim hai ki terī lashkargāh us ke liye maḵẖsūs-o-muqaddas ho. aisā na ho ki allāh vahāṅ koī sharmanāk bāt dekh kar tujh se dūr ho jāe.

farār hue ġulāmoṅ kī madad karnā

15agar koī ġulām tere pās panāh le to use mālik ko vāpas na karnā. 16vah tere sāth aur tere darmiyān hī rahe, vahāṅ jahāṅ vah basnā chāhe, us shahar meṅ jo use pasand āe. use na dabānā.

mandir meṅ ismatafaroshī manā hai

17kisī devtā kī ḵẖidmat meṅ ismatafaroshī karnā har isrāīlī aurat aur mard ke liye manā hai. 18mannat mānte vaqt na kasbī kā ajr, na kutte ke paise [a] yaqīn se nahīṅ kahā jā saktā ki kutte ke paise se kyā murād hai. ġāliban is ke pīchhe butparastī kā koī dastūr hai. rabb ke maqdis meṅ lānā, kyūṅki rabb tere ḵẖudā ko donoṅ chīzoṅ se ghin hai.

apne hamvatanoṅ se sūd na lenā

19agar koī isrāīlī bhāī tujh se qarz le to us se sūd na lenā, ḵẖwāh tū ne use paise, khānā yā koī aur chīz dī ho. 20apne isrāīlī bhāī se sūd na le balki sirf pardesī se. phir jab tū mulk par qabzā karke us meṅ rahegā to rabb terā ḵẖudā tere har kām meṅ barkat degā.

apnī mannat pūrī karnā

21jab tū rabb apne ḵẖudā ke huzūr mannat māne to use pūrā karne meṅ der na karnā. rabb terā ḵẖudā yaqīnan tujh se is kā mutālbā karegā. agar tū use pūrā na kare to qusūrvār ṭhaharegā. 22agar tū mannat mānne se bāz rahe to qusūrvār nahīṅ ṭhaharegā, 23lekin agar tū apnī dilī ḵẖushī se rabb ke huzūr mannat māne to har sūrat meṅ use pūrā kar.

dūsre ke bāġ meṅ se guzarne kā ravayyā

24kisī hamvatan ke aṅgūr ke bāġ meṅ se guzarte vaqt tujhe jitnā jī chāhe us ke aṅgūr khāne kī ijāzat hai. lekin apne kisī bartan meṅ phal jamā na karnā. 25isī tarah kisī hamvatan ke anāj ke khet meṅ se guzarte vaqt tujhe apne hāthoṅ se anāj kī bāliyāṅ toṛne kī ijāzat hai. lekin darāntī istemāl na karnā.

[a] yaqīn se nahīṅ kahā jā saktā ki kutte ke paise se kyā murād hai. ġāliban is ke pīchhe butparastī kā koī dastūr hai.