Istisnā 16

fasah kī īd

1abīb ke mahīne [a] mārch tā aprail. meṅ rabb apne ḵẖudā kī tāzīm meṅ fasah kī īd manānā, kyūṅki is mahīne meṅ vah tujhe rāt ke vaqt misr se nikāl lāyā. 2us jagah jamā ho jā jo rabb apne nām kī sukūnat ke liye chunegā. use qurbānī ke liye bheṛ-bakriyāṅ yā gāy-bail pesh karnā. 3gosht ke sāth beḵẖamīrī roṭī khānā. sāt din tak yahī roṭī khā, bilkul usī tarah jis tarah tū ne kiyā jab jaldī jaldī misr se niklā. musībat kī yah roṭī is liye khā tāki vah din tere jīte jī yād rahe jab tū misr se ravānā huā. 4lāzim hai ki īd ke hafte ke daurān tere pūre mulk meṅ ḵẖamīr na pāyā jāe.

jo qurbānī tū īd ke pahale din kī shām ko pesh kare us kā gosht usī vaqt khā le. aglī subah tak kuchh bāqī na rah jāe. 5fasah kī qurbānī kisī bhī shahar meṅ jo rabb terā ḵẖudā tujhe degā na chaṛhānā 6balki sirf us jagah jo vah apne nām kī sukūnat ke liye chunegā. misr se nikalte vaqt kī tarah qurbānī ke jānvar ko sūraj ḍūbte vaqt zabah kar. 7phir use bhūn kar us jagah khānā jo rabb terā ḵẖudā chunegā. aglī subah apne ghar vāpas chalā jā. 8īd ke pahale chhah din beḵẖamīrī roṭī khātā rah. sātveṅ din kām na karnā balki rabb apne ḵẖudā kī ibādat ke liye jamā ho jānā.

fasal kī kaṭāī kī īd

9jab anāj kī fasal kī kaṭāī shurū hogī to pahale din ke sāt hafte bād 10fasal kī kaṭāī kī īd manānā. rabb apne ḵẖudā ko utnā pesh kar jitnā jī chāhe. vah us barkat ke mutābiq ho jo us ne tujhe dī hai. 11is ke liye bhī us jagah jamā ho jā jo rabb apne nām kī sukūnat ke liye chunegā. vahāṅ us ke huzūr ḵẖushī manā. tere bāl-bacche, tere ġulām aur lauṅḍiyāṅ aur tere shaharoṅ meṅ rahane vāle lāvī, pardesī, yatīm aur bevāeṅ sab terī ḵẖushī meṅ sharīk hoṅ. 12in ahkām par zarūr amal karnā aur mat bhūlnā ki tū misr meṅ ġulām thā.

jhoṁpaṛiyoṅ kī īd

13anāj gāhane aur aṅgūr kā ras nikālne ke bād jhoṁpaṛiyoṅ kī īd manānā jis kā daurāniyā sāt din ho. 14īd ke mauqe par ḵẖushī manānā. tere bāl-bacche, tere ġulām aur lauṅḍiyāṅ aur tere shaharoṅ meṅ basne vāle lāvī, pardesī, yatīm aur bevāeṅ sab terī ḵẖushī meṅ sharīk hoṅ. 15jo jagah rabb terā ḵẖudā maqdis ke liye chunegā vahāṅ us kī tāzīm meṅ sāt din tak yah īd manānā. kyūṅki rabb terā ḵẖudā terī tamām fasloṅ aur mehanat ko barkat degā, is liye ḵẖūb ḵẖushī manānā.

16isrāīl ke tamām mard sāl meṅ tīn martabā us maqdis par hāzir ho jāeṅ jo rabb terā ḵẖudā chunegā yānī beḵẖamīrī roṭī kī īd, fasal kī kaṭāī kī īd aur jhoṁpaṛiyoṅ kī īd par. koī bhī rabb ke huzūr ḵẖālī hāth na āe. 17har koī us barkat ke mutābiq de jo rabb tere ḵẖudā ne use dī hai.

qāzī muqarrar karnā

18apne apne qabāilī ilāqe meṅ qāzī aur nigahbān muqarrar kar. vah har us shahar meṅ hoṅ jo rabb terā ḵẖudā tujhe degā. vah insāf se logoṅ kī adālat kareṅ. 19na kisī ke huqūq mārnā, na jānibdārī dikhānā. rishvat qabūl na karnā, kyūṅki rishvat dānishmandoṅ ko aṅdhā kar detī aur rāstbāz kī bāteṅ palaṭ detī hai. 20sirf aur sirf insāf ke mutābiq chal tāki tū jītā rahe aur us mulk par qabzā kare jo rabb terā ḵẖudā tujhe degā.

butparastī kī sazā

21jahāṅ tū rabb apne ḵẖudā ke liye qurbāngāh banāegā vahāṅ na yasīrat devī kī pūjā ke liye lakṛī kā khambā 22aur na koī aisā patthar khaṛā karnā jis kī pūjā log karte haiṅ. rabb terā ḵẖudā in chīzoṅ se nafrat rakhtā hai.

[a] mārch tā aprail.