Istisnā 15

qarzdāroṅ kī bahālī kā sāl

1har sāt sāl ke bād ek dūsre ke karze muāf kar denā. 2us vaqt jis ne bhī kisī isrāīlī bhāī ko qarz diyā hai vah use mansūḵẖ kare. vah apne paṛosī yā bhāī ko paise vāpas karne par majbūr na kare, kyūṅki rabb kī tāzīm meṅ qarz muāf karne ke sāl kā elān kiyā gayā hai. 3is sāl meṅ tū sirf ġairmulkī qarzdāroṅ ko paise vāpas karne par majbūr kar saktā hai. apne isrāīlī bhāī ke tamām qarz muāf kar denā.

4tere darmiyān koī bhī ġarīb nahīṅ honā chāhie, kyūṅki jab tū us mulk meṅ rahegā jo rabb terā ḵẖudā tujhe mīrās meṅ dene vālā hai to vah tujhe bahut barkat degā. 5lekin shart yah hai ki tū pūre taur par us kī sune aur ehatiyāt se us ke un tamām ahkām par amal kare jo maiṅ tujhe āj de rahā hūṅ. 6phir rabb tumhārā ḵẖudā tujhe apne vāde ke mutābiq barkat degā. tū kisī bhī qaum se udhār nahīṅ legā balki bahut sī qaumoṅ ko udhār degā. koī bhī qaum tujh par hukūmat nahīṅ karegī balki tū bahut sī qaumoṅ par hukūmat karegā.

7jab tū us mulk meṅ ābād hogā jo rabb terā ḵẖudā tujhe dene vālā hai to apne darmiyān rahane vāle ġarīb bhāī se saḵẖt sulūk na karnā, na kaṅjūs honā. 8khule dil se us kī madad kar. jitnī use zarūrat hai use udhār ke taur par de. 9ḵẖabardār, aisā mat soch ki qarz muāf karne kā sāl qarīb hai, is liye maiṅ use kuchh nahīṅ dūṅgā. agar tū aisī sharīr bāt apne dil meṅ sochte hue zarūratmand bhāī ko qarz dene se inkār kare aur vah rabb ke sāmne terī shikāyat kare to tū qusūrvār ṭhaharegā. 10use zarūr kuchh de balki ḵẖushī se de. phir rabb terā ḵẖudā tere har kām meṅ barkat degā. 11mulk meṅ hameshā ġarīb aur zarūratmand log pāe jāeṅge, is liye maiṅ tujhe hukm detā hūṅ ki khule dil se apne ġarīb aur zarūratmand bhāiyoṅ kī madad kar.

ġulāmoṅ ko āzād karne kā farz

12agar koī isrāīlī bhāī yā bahan apne āp ko bech kar terā ġulām ban jāe to vah chhah sāl terī ḵẖidmat kare. lekin lāzim hai ki sātveṅ sāl use āzād kar diyā jāe. 13āzād karte vaqt use ḵẖālī hāth fāriġ na karnā 14balki apnī bheṛ-bakriyoṅ, anāj, tel aur mai se use fayyāzī se kuchh de, yānī un chīzoṅ meṅ se jin se rabb tere ḵẖudā ne tujhe barkat dī hai. 15yād rakh ki tū bhī misr meṅ ġulām thā aur ki rabb tere ḵẖudā ne fidyā de kar tujhe chhuṛāyā. isī liye maiṅ āj tujhe yah hukm detā hūṅ.

16lekin mumkin hai ki terā ġulām tujhe chhoṛnā na chāhe, kyūṅki vah tujh se aur tere ḵẖāndān se muhabbat rakhtā hai, aur vah tere pās rah kar ḵẖushhāl hai. 17is sūrat meṅ use darvāze ke pās le jā aur us ke kān kī lau chaukhaṭ ke sāth lagā kar use sutālī yānī tez auzār se chhed de. tab vah zindagī bhar terā ġulām banā rahegā. apnī lauṅḍī ke sāth bhī aisā hī karnā.

18agar ġulām tujhe chhah sāl ke bād chhoṛnā chāhe to burā na mānnā. āḵẖir agar us kī jagah koī aur vahī kām tanḵẖwāh ke liye kartā to tere aḵẖrājāt dugne hote. use āzād karnā to rabb terā ḵẖudā tere har kām meṅ barkat degā.

jānvaroṅ ke pahalauṭhe maḵẖsūs haiṅ

19apnī gāiyoṅ aur bheṛ-bakriyoṅ ke nar pahalauṭhe rabb apne ḵẖudā ke liye maḵẖsūs karnā. na gāy ke pahalauṭhe ko kām ke liye istemāl karnā, na bheṛ ke pahalauṭhe ke bāl katarnā. 20har sāl aise bacche us jagah le jā jo rabb apne maqdis ke liye chunegā. vahāṅ unheṅ rabb apne ḵẖudā ke huzūr apne pūre ḵẖāndān samet khānā.

21agar aise jānvar meṅ koī ḵẖarābī ho, vah aṅdhā yā laṅgṛā ho yā us meṅ koī aur nuqs ho to use rabb apne ḵẖudā ke liye qurbān na karnā. 22aise jānvar tū ghar meṅ zabah karke khā saktā hai. vah hiran aur ġazāl kī mānind haiṅ jinheṅ tū khā to saktā hai lekin qurbānī ke taur par pesh nahīṅ kar saktā. pāk aur nāpāk shaḵẖs donoṅ use khā sakte haiṅ. 23lekin ḵẖūn na khānā. use pānī kī tarah zamīn par uṅḍel kar zāe kar denā.