Istisnā 13

devtāoṅ kī taraf lejāne vāloṅ se sulūk

1tere darmiyān aise log uṭh khaṛe hoṅge jo apne āp ko nabī yā ḵẖwāb dekhne vāle kaheṅge. ho saktā hai ki vah kisī ilāhī nishān yā mojize kā elān kareṅ 2jo vāqaī vujūd meṅ āe. sāth sāth vah kaheṅ, “ā, ham dīgar mābūdoṅ kī pūjā kareṅ, ham un kī ḵẖidmat kareṅ jin se tū ab tak vāqif nahīṅ hai.” 3aise logoṅ kī na sun. is se rabb tumhārā ḵẖudā tumheṅ āzmā kar mālūm kar rahā hai ki kyā tum vāqaī apne pūre dil-o-jān se us se piyār karte ho. 4tumheṅ rabb apne ḵẖudā kī pairvī karnā aur usī kā ḵẖauf mānnā hai. us ke ahkām ke mutābiq zindagī guzāro, us kī suno, us kī ḵẖidmat karo, us ke sāth lipṭe raho. 5aise nabiyoṅ yā ḵẖwāb dekhne vāloṅ ko sazā-e-maut denā, kyūṅki vah tujhe rabb tumhāre ḵẖudā se baġāvat karne par uksānā chāhate haiṅ, usī se jis ne fidyā de kar tumheṅ misr kī ġulāmī se bachāyā aur vahāṅ se nikāl lāyā. chūṅki vah tujhe us rāh se haṭānā chāhate haiṅ jise rabb tere ḵẖudā ne tere liye muqarrar kiyā hai is liye lāzim hai ki unheṅ sazā-e-maut dī jāe. aisī burāī apne darmiyān se miṭā denā.

6ho saktā hai ki terā sagā bhāī, terā beṭā yā beṭī, terī bīvī yā terā qarībī dost tujhe chupke se varġalāne kī koshish kare ki ā, ham jā kar dīgar mābūdoṅ kī pūjā kareṅ, aise devtāoṅ kī jin se na tū aur na tere bāpdādā vāqif the. 7ḵẖwāh ird-gird kī yā dūrdarāz kī qaumoṅ ke devtā hoṅ, ḵẖwāh duniyā ke ek sire ke yā dūsre sire ke mābūd hoṅ, 8kisī sūrat meṅ apnī razāmandī kā izhār na kar, na us kī sun. us par raham na kar. na use bachāe rakh, na use panāh de 9balki use sazā-e-maut de. aur use saṅgasār karte vaqt pahale terā hāth us par patthar phaiṅke, phir hī bāqī tamām log hissā leṅ. 10use zarūr pattharoṅ se sazā-e-maut denā, kyūṅki us ne tujhe rabb tere ḵẖudā se dūr karne kī koshish kī, usī se jo tujhe misr kī ġulāmī se nikāl lāyā. 11phir tamām isrāīl yah sun kar ḍar jāegā aur āindā tere darmiyān aisī sharīr harkat karne kī jur’at nahīṅ karegā.

12jab tū un shaharoṅ meṅ rahane lagegā jo rabb terā ḵẖudā tujhe de rahā hai to shāyad tujhe ḵẖabar mil jāe 13ki sharīr log tere darmiyān se ubhar āe haiṅ jo apne shahar ke bāshindoṅ ko yah kah kar ġalat rāh par lāe haiṅ ki āo, ham dīgar mābūdoṅ kī pūjā kareṅ, aise mābūdoṅ kī jin se tum vāqif nahīṅ ho. 14lāzim hai ki tū darayāft karke is kī taftīsh kare aur ḵẖūb mālūm kare ki kyā huā hai. agar sābit ho jāe ki yah ghinaunī bāt vāqaī huī hai 15to phir lāzim hai ki tū shahar ke tamām bāshindoṅ ko halāk kare. use rabb ke sapurd karke sarāsar tabāh karnā, na sirf us ke log balki us ke maveshī bhī. 16shahar kā pūrā māl-e-ġanīmat chauk meṅ ikaṭṭhā kar. phir pūre shahar ko us ke māl samet rabb ke liye maḵẖsūs karke jalā denā. use dubārā kabhī na tāmīr kiyā jāe balki us ke khaṅḍarāt hameshā tak raheṅ.

17pūrā shahar rabb ke liye maḵẖsūs kiyā gayā hai, is liye us kī koī bhī chīz tere pās na pāī jāe. sirf is sūrat meṅ rabb kā ġazab ṭhaṅḍā ho jāegā, aur vah tujh par raham karke apnī meharbānī kā izhār karegā aur terī tādād baṛhāegā, jis tarah us ne qasam khā kar tere bāpdādā se vādā kiyā hai. 18lekin yah sab kuchh is par mabnī hai ki tū rabb apne ḵẖudā kī sune aur us ke un tamām ahkām par amal kare jo maiṅ tujhe āj de rahā hūṅ. vahī kuchh kar jo us kī nazar meṅ durust hai.