Dānyāl 9
dānyāl apnī qaum kī shafāat kartā hai
1dārā bin aḵẖasverus bābal ke taḵẖt par baiṭh gayā thā. is mādī bādshāh 2kī hukūmat ke pahale sāl meṅ maiṅ, dānyāl ne pāk navishtoṅ kī tahqīq kī. maiṅ ne ḵẖāskar us par ġaur kiyā jo rabb ne yaramiyāh nabī kī mārifat farmāyā thā. us ke mutābiq yarūshalam kī tabāhashudā hālat 70 sāl tak qāim rahegī. 3chunāṅche maiṅ ne rabb apne ḵẖudā kī taraf rujū kiyā tāki apnī duā aur iltijāoṅ se us kī marzī darayāft karūṅ. sāth sāth maiṅ ne rozā rakhā, ṭāṭ kā libās oṛh liyā aur apne sar par rākh ḍāl lī. 4maiṅ ne rabb apne ḵẖudā se duā karke iqrār kiyā,
“ai rabb, tū kitnā azīm aur mahīb ḵẖudā hai! jo bhī tujhe piyār kartā aur tere ahkām ke tābe rahatā hai us ke sāth tū apnā ahd qāim rakhtā aur us par meharbānī kartā hai. 5lekin ham ne gunāh aur badī kī hai. ham bedīn aur bāġī ho kar tere ahkām aur hidāyāt se bhaṭak gae haiṅ. 6ham ne nabiyoṅ kī nahīṅ sunī, hālāṅki tere ḵẖādim terā nām le kar hamāre bādshāhoṅ, buzurgoṅ, bāpdādā balki mulk ke tamām bāshindoṅ se muḵẖātib hue. 7ai rabb, tū haq-ba-jānib hai jabki is din ham sab sharmasār haiṅ, ḵẖwāh yahūdāh, yarūshalam yā isrāīl ke hoṅ, ḵẖwāh qarīb yā un tamām dūrdarāz mamālik meṅ rahate hoṅ jahāṅ tū ne hameṅ hamārī bevafāī ke sabab se muntashir kar diyā hai. kyūṅki ham tere hī sāth bevafā rahe haiṅ. 8ai rabb, ham apne bādshāhoṅ, buzurgoṅ aur bāpdādā samet bahut sharmasār haiṅ, kyūṅki ham ne terā hī gunāh kiyā hai.
9lekin rabb hamārā ḵẖudā rahīm hai aur ḵẖushī se muāf kartā hai, go ham us se sarkash hue haiṅ. 10na ham rabb apne ḵẖudā ke tābe rahe, na us ke un ahkām ke mutābiq zindagī guzārī jo us ne hameṅ apne ḵẖādimoṅ yānī nabiyoṅ kī mārifat die the. 11tamām isrāīl terī sharīat kī ḵẖilāfvarzī karke sahīh rāh se bhaṭak gayā hai, koī terī sunne ke liye tayyār nahīṅ thā.
allāh ke ḵẖādim mūsā ne sharīat meṅ qasam khā kar lānteṅ bhejī thīṅ, aur ab yah lānteṅ ham par nāzil huī haiṅ, is liye ki ham ne terā gunāh kiyā. 12jo kuchh tū ne hamāre aur hamāre hukmarānoṅ ke ḵẖilāf farmāyā thā vah pūrā huā, aur ham par baṛī āfat āī. āsmān tale kahīṅ bhī aisī musībat nahīṅ āī jis tarah yarūshalam ko pesh āī hai. 13mūsā kī sharīat meṅ mazkūr har vah lānat ham par nāzil huī jo nāfaramānoṅ par bhejī gaī hai. to bhī na ham ne apne gunāhoṅ ko chhoṛā, na terī sacchāī par dhyān diyā, hālāṅki is se ham rabb apne ḵẖudā kā ġazab ṭhaṅḍā kar sakte the. 14isī liye rabb ham par āfat lāne se na jhijkā. kyūṅki jo kuchh bhī rabb hamārā ḵẖudā kartā hai us meṅ vah haq-ba-jānib hotā hai. lekin ham ne us kī na sunī.
15ai rabb hamāre ḵẖudā, tū baṛī qudrat kā izhār karke apnī qaum ko misr se nikāl lāyā. yūṅ tere nām ko vah izzat-o-jalāl milā jo āj tak qāim rahā hai. is ke bāvujūd ham ne gunāh kiyā, ham se bedīn harkateṅ sarzad huī haiṅ. 16ai rabb, tū apne munsifānā kāmoṅ meṅ vafādār rahā hai! ab bhī is kā lihāz kar aur apne saḵẖt ġazab ko apne shahar aur muqaddas pahāṛ yarūshalam se dūr kar! yarūshalam aur terī qaum gird-o-navāh kī qaumoṅ ke liye mazāq kā nishānā ban gaī hai, go ham mānte haiṅ ki yah hamāre gunāhoṅ aur hamāre bāpdādā kī ḵẖatāoṅ kī vajah se ho rahā hai.
17ai hamāre ḵẖudā, ab apne ḵẖādim kī duāoṅ aur iltijāoṅ ko sun! ai rabb, apnī hī ḵẖātir apne tabāhashudā maqdis par apne chihare kā meharbān nūr chamkā. 18ai mere ḵẖudā, kān lagā kar merī sun! apnī āṅkheṅ khol! us shahar ke khaṅḍarāt par nazar kar jis par tere hī nām kā ṭhappā lagā hai. ham is liye tujh se iltijāeṅ nahīṅ kar rahe ki ham rāstbāz haiṅ balki is liye ki tū nihāyat meharbān hai. 19ai rabb, hamārī sun! ai rabb, hameṅ muāf kar! ai mere ḵẖudā, apnī ḵẖātir der na kar, kyūṅki tere shahar aur qaum par tere hī nām kā ṭhappā lagā hai.”
70 haftoṅ kā bhed
20yūṅ maiṅ duā kartā aur apne aur apnī qaum isrāīl ke gunāhoṅ kā iqrār kartā gayā. maiṅ ḵẖāskar apne ḵẖudā ke muqaddas pahāṛ yarūshalam ke liye rabb apne ḵẖudā ke huzūr faryād kar rahā thā.
21maiṅ duā kar hī rahā thā ki jibrāīl jise maiṅ ne dūsrī royā meṅ dekhā thā mere pās ā pahuṅchā. rabb ke ghar meṅ shām kī qurbānī pesh karne kā vaqt thā. maiṅ bahut hī thak gayā thā. 22us ne mujhe samjhā kar kahā, “ai dānyāl, ab maiṅ tujhe samajh aur basīrat dene ke liye āyā hūṅ. 23jūṅ hī tū duā karne lagā to allāh ne javāb diyā, kyūṅki tū us kī nazar meṅ girāṅqdar hai. maiṅ tujhe yah javāb sunāne āyā hūṅ. ab dhyān se royā ko samajh le! 24terī qaum aur tere muqaddas shahar ke liye 70 hafte muqarrar kie gae haiṅ tāki utne meṅ jarāim aur gunāhoṅ kā silsilā ḵẖatm kiyā jāe, qusūr kā kaffārā diyā jāe, abdī rāstī qāim kī jāe, royā aur peshgoī kī tasdīq kī jāe aur muqaddastarīn jagah ko masah karke maḵẖsūs-o-muqaddas kiyā jāe.
25ab jān le aur samajh le ki yarūshalam ko dubārā tāmīr karne kā hukm diyā jāegā, lekin mazīd sāt hafte guzareṅge, phir hī allāh ek hukmarān ko is kām ke liye chun kar masah karegā. tab shahar ko 62 haftoṅ ke andar chaukoṅ aur ḵẖandaqoṅ samet nae sire se tāmīr kiyā jāegā, go is daurān vah kāfī musībat se dochār hogā. 26in 62 haftoṅ ke bād allāh ke masah kie gae bande ko qatl kiyā jāegā, aur us ke pās kuchh bhī nahīṅ hogā. us vaqt ek aur hukmarān kī qaum ā kar shahar aur maqdis ko tabāh karegī. iḵẖtitām sailāb kī sūrat meṅ āegā, aur āḵẖir tak jaṅg jārī rahegī, aisī tabāhī hogī jis kā faislā ho chukā hai. 27ek hafte tak yah hukmarān mut’addid logoṅ ko ek ahd ke tahat rahane par majbūr karegā. is hafte ke bīch meṅ vah zabah aur ġallā kī qurbāniyoṅ kā intizām band karegā aur maqdis ke ek taraf vah kuchh khaṛā karegā jo behuramtī aur tabāhī kā bāis hai. lekin tabāh karne vāle kā ḵẖātmā bhī muqarrar kiyā gayā hai, aur āḵẖirkār vah bhī tabāh ho jāegā.”