Dānyāl 10
dānyāl kī āḵẖirī royā
1fārs ke bādshāh ḵẖoras kī hukūmat ke tīsre sāl meṅ beltashazzar yānī dānyāl par ek bāt zāhir huī jo yaqīnī hai aur jis kā tālluq ek baṛī musībat se hai. use royā meṅ is paiġām kī samajh hāsil huī.
2un dinoṅ meṅ maiṅ, dānyāl tīn pūre hafte mātam kar rahā thā. 3na maiṅ ne umdā khānā khāyā, na gosht yā mai mere hoṅṭoṅ tak pahuṅchī. tīn pūre hafte maiṅ ne har ḵẖushbūdār tel se parhez kiyā. 4pahale mahīne ke 24veṅ din [a] 23 aprail. maiṅ baṛe daryā dijlā ke kināre par khaṛā thā. 5maiṅ ne nigāh uṭhāī to kyā dekhtā hūṅ ki mere sāmne katān se mulabbas ādmī khaṛā hai jis kī kamar meṅ ḵẖālis sone kā paṭkā baṅdhā huā hai. 6us kā jism pukhrāj [b] topas jaisā thā, us kā chiharā āsmānī bijlī kī tarah chamak rahā thā, aur us kī āṅkheṅ bhaṛaktī mash’aloṅ kī mānind thīṅ. us ke bāzū aur pāoṅ pālish kie hue pītal kī tarah damak rahe the. bolte vaqt yūṅ lag rahā thā ki baṛā hujūm shor machā rahā hai.
7sirf maiṅ, dānyāl ne yah royā dekhī. mere sāthiyoṅ ne use na dekhā. to bhī achānak un par itnī dahshat tārī huī ki vah bhāg kar chhup gae. 8chunāṅche maiṅ akelā hī rah gayā. lekin yah azīm royā dekh kar merī sārī tāqat jātī rahī. mere chihare kā raṅg māṅd paṛ gayā aur maiṅ bebas huā. 9phir vah bolne lagā. use sunte hī maiṅ muṅh ke bal gir kar madahosh hālat meṅ zamīn par paṛā rahā. 10tab ek hāth ne mujhe chhū kar hilāyā. us kī madad se maiṅ apne hāthoṅ aur ghuṭnoṅ ke bal ho sakā.
11vah ādmī bolā, “ai dānyāl, tū allāh ke nazdīk bahut girāṅqdar hai! jo bāteṅ maiṅ tujh se karūṅgā un par ġaur kar. khaṛā ho jā, kyūṅki is vaqt mujhe tere hī pās bhejā gayā hai.” tab maiṅ thartharāte hue khaṛā ho gayā. 12us ne apnī bāt jārī rakhī, “ai dānyāl, mat ḍarnā! jab se tū ne samajh hāsil karne aur apne ḵẖudā ke sāmne jhukne kā pūrā irādā kar rakhā hai, usī din se terī sunī gaī hai. maiṅ terī duāoṅ ke javāb meṅ ā gayā hūṅ. 13lekin fārsī bādshāhī kā sardār 21 din tak mere rāste meṅ khaṛā rahā. phir mīkāel jo allāh ke sardār farishtoṅ meṅ se ek hai merī madad karne āyā, aur merī jān fārsī bādshāhī ke us sardār ke sāth laṛne se chhūṭ gaī. 14maiṅ tujhe vah kuchh sunāne ko āyā hūṅ jo āḵẖirī dinoṅ meṅ terī qaum ko pesh āegā. kyūṅki royā kā tālluq āne vāle vaqt se hai.”
15jab vah mere sāth yah bāteṅ kar rahā thā to maiṅ ḵẖāmoshī se nīche zamīn kī taraf dekhtā rahā. 16phir jo ādmī sā lag rahā thā us ne mere hoṅṭoṅ ko chhū diyā, aur maiṅ muṅh khol kar bolne lagā. maiṅ ne apne sāmne khaṛe farishte se kahā, “ai mere āqā, yah royā dekh kar maiṅ dard-e-zah meṅ mubtalā aurat kī tarah pech-o-tāb khāne lagā hūṅ. merī tāqat jātī rahī hai. 17ai mere āqā, āp kā ḵẖādim kis tarah āp se bāt kar saktā hai? merī tāqat to javāb de gaī hai, sāṅs lenā bhī mushkil ho gayā hai.”
18jo ādmī sā lag rahā thā us ne mujhe ek bār phir chhū kar taqviyat dī 19aur bolā, “ai tū jo allāh kī nazar meṅ girāṅqdar hai, mat ḍarnā! terī salāmatī ho. hauslā rakh, mazbūt ho jā!” jūṅ hī us ne mujh se bāt kī mujhe taqviyat milī, aur maiṅ bolā, “ab mere āqā bāt kareṅ, kyūṅki āp ne mujhe taqviyat dī hai.”
20us ne kahā, “kyā tū mere āne kā maqsad jāntā hai? jald hī maiṅ dubārā fārs ke sardār se laṛne chalā jāūṅgā. aur us se nipaṭne ke bād yūnān kā sardār āegā. 21lekin pahale maiṅ tere sāmne vah kuchh bayān kartā hūṅ jo ‘sacchāī kī kitāb’ meṅ likhā hai. (in sardāroṅ se laṛne meṅ merī madad koī nahīṅ kartā sivā-e-tumhāre sardār farishte mīkāel ke.