Kulussiyoṅ 1

1yah ḵẖat paulus kī taraf se hai jo allāh kī marzī se masīh īsā kā rasūl hai. sāth hī yah bhāī tīmuthiyus kī taraf se bhī hai.

2maiṅ kulusse shahar ke muqaddas bhāiyoṅ ko likh rahā hūṅ jo masīh par īmān lāe haiṅ :

ḵẖudā hamārā bāp āp ko fazl aur salāmatī baḵẖshe.

shukrguzārī kī duā

3jab ham āp ke liye duā karte haiṅ to har vaqt ḵẖudā apne ḵẖudāvand īsā masīh ke bāp kā shukr karte haiṅ, 4kyūṅki ham ne āp ke masīh īsā par īmān aur āp kī tamām muqaddasīn se muhabbat ke bāre meṅ sun liyā hai. 5āp kā yah īmān aur muhabbat vah kuchh zāhir karte haiṅ jis kī āp ummīd rakhte haiṅ aur jo āsmān par āp ke liye mahfūz rakhā gayā hai. aur āp ne yah ummīd us vaqt se rakhī hai jab se āp ne pahalī martabā sacchāī kā kalām yānī allāh kī ḵẖushḵẖabarī sunī. 6yah paiġām jo āp ke pās pahuṅch gayā pūrī duniyā meṅ phal lā rahā aur baṛh rahā hai, bilkul usī tarah jis tarah yah āp meṅ bhī us din se kām kar rahā hai jab āp ne pahalī bār ise sun kar allāh ke fazl kī pūrī haqīqat samajh lī. 7āp ne hamāre azīz hamḵẖidmat ipafrās se is ḵẖushḵẖabarī kī tālīm pā lī thī. masīh kā yah vafādār ḵẖādim hamārī jagah āp kī ḵẖidmat kar rahā hai. 8usī ne hameṅ āp kī us muhabbat ke bāre meṅ batāyā jo rūh-ul-quds ne āp ke diloṅ meṅ ḍāl dī hai.

9is vajah se ham āp ke liye duā karne se bāz nahīṅ āe balki yah māṅgte rahate haiṅ ki allāh āp ko har ruhānī hikmat aur samajh se navāz kar apnī marzī ke ilm se bhar de. 10kyūṅki phir hī āp apnī zindagī ḵẖudāvand ke lāiq guzār sakeṅge aur har tarah se use pasand āeṅge. hāṅ, āp har qism kā acchhā kām karke phal lāeṅge aur allāh ke ilm-o-irfān meṅ taraqqī kareṅge. 11aur āp us kī jalālī qudrat se milne vālī har qism kī quvvat se taqviyat pā kar har vaqt sābitqadmī aur sabr se chal sakeṅge. āp ḵẖushī se 12bāp kā shukr kareṅge jis ne āp ko us mīrās meṅ hissā lene ke lāiq banā diyā jo us ke raushnī meṅ rahane vāle muqaddasīn ko hāsil hai. 13kyūṅki vahī hameṅ tārīkī ke iḵẖtiyār se rihāī de kar apne piyāre farzand kī bādshāhī meṅ lāyā, 14us vāhid shaḵẖs ke iḵẖtiyār meṅ jis ne hamārā fidyā de kar hamāre gunāhoṅ ko muāf kar diyā.

masīh kī shaḵẖsiyat aur kām

15allāh ko dekhā nahīṅ jā saktā, lekin ham masīh ko dekh sakte haiṅ jo allāh kī sūrat aur kāināt kā pahalauṭhā hai. 16kyūṅki allāh ne usī meṅ sab kuchh ḵẖalaq kiyā, ḵẖwāh āsmān par ho yā zamīn par, āṅkhoṅ ko nazar āe yā na, ḵẖwāh shāhī taḵẖt, quvvateṅ, hukmarān yā iḵẖtiyār vāle hūṅ. sab kuchh masīh ke zarīe aur usī ke liye ḵẖalaq huā. 17vahī sab chīzoṅ se pahale hai aur usī meṅ sab kuchh qāim rahatā hai. 18aur vah badan yānī apnī jamāat kā sar bhī hai. vahī ibtidā hai, aur chūṅki pahale vahī murdoṅ meṅ se jī uṭhā is liye vahī un meṅ se pahalauṭhā bhī hai tāki vah sab bātoṅ meṅ avval ho. 19kyūṅki allāh ko pasand āyā ki masīh meṅ us kī pūrī māmūrī sukūnat kare 20aur vah masīh ke zarīe sab bātoṅ kī apne sāth sulah karā le, ḵẖwāh vah zamīn kī hūṅ ḵẖwāh āsmān kī. kyūṅki us ne masīh ke salīb par bahāe gae ḵẖūn ke vasīle se sulah-salāmatī qāim kī.

21āp bhī pahale allāh ke sāmne ajnabī the aur dushman kī sī soch rakh kar bure kām karte the. 22lekin ab us ne masīh ke insānī badan kī maut se āp ke sāth sulah kar lī hai tāki vah āp ko muqaddas, bedāġ aur beilzām hālat meṅ apne huzūr khaṛā kare. 23beshak ab zarūrī hai ki āp īmān meṅ qāim raheṅ, ki āp ṭhos bunyād par mazbūtī se khaṛe raheṅ aur us ḵẖushḵẖabarī kī ummīd se haṭ na jāeṅ jo āp ne sun lī hai. yah vahī paiġām hai jis kī munādī duniyā meṅ har maḵẖlūq ke sāmne kar dī gaī hai aur jis kā ḵẖādim maiṅ paulus ban gayā hūṅ.

jamāat ke ḵẖādim kī haisiyat se paulus kī ḵẖidmat

24ab maiṅ un dukhoṅ ke bāis ḵẖushī manātā hūṅ jo maiṅ āp kī ḵẖātir uṭhā rahā hūṅ. kyūṅki maiṅ apne jism meṅ masīh ke badan yānī us kī jamāat kī ḵẖātir masīh kī musībatoṅ kī vah kamiyāṅ pūrī kar rahā hūṅ jo ab tak rah gaī haiṅ. 25hāṅ, allāh ne mujhe apnī jamāat kā ḵẖādim banā kar yah zimmādārī dī ki maiṅ āp ko allāh kā pūrā kalām sunā dūṅ, 26vah rāz jo azal se tamām guzrī nasloṅ se poshīdā rahā thā lekin ab muqaddasīn par zāhir kiyā gayā hai. 27kyūṅki allāh chāhatā thā ki vah jān leṅ ki ġairyahūdiyoṅ meṅ yah rāz kitnā beshaqīmat aur jalālī hai. aur yah rāz hai kyā? yah ki masīh āp meṅ hai. vahī āp meṅ hai jis ke bāis ham allāh ke jalāl meṅ sharīk hone kī ummīd rakhte haiṅ. 28yūṅ ham sab ko masīh kā paiġām sunāte haiṅ. har mumkinā hikmat se ham unheṅ samjhāte aur tālīm dete haiṅ tāki har ek ko masīh meṅ kāmil hālat meṅ allāh ke huzūr pesh kareṅ. 29yahī maqsad pūrā karne ke liye maiṅ saḵẖt mehanat kartā hūṅ. hāṅ, maiṅ pūrī jidd-o-jahd karke masīh kī us quvvat kā sahārā letā hūṅ jo baṛe zor se mere andar kām kar rahī hai.