Āmāl 6

rasūloṅ ke sāt madadgār

1un dinoṅ meṅ jab īsā ke shāgirdoṅ kī tādād baṛhtī gaī to yūnānī zabān bolne vāle īmāndār ibrānī bolne vāle īmāndāroṅ ke bāre meṅ buṛbuṛāne lage. unhoṅ ne kahā, “jab rozmarrā kā khānā taqsīm hotā hai to hamārī bevāoṅ ko nazar’andāz kiyā jātā hai.” 2tab bārah rasūloṅ ne shāgirdoṅ kī pūrī jamāat ko ikaṭṭhā karke kahā, “yah ṭhīk nahīṅ ki ham allāh kā kalām sikhāne kī ḵẖidmat ko chhoṛ kar khānā taqsīm karne meṅ masrūf raheṅ. 3bhāiyo, yah bāt pesh-e-nazar rakh kar apne meṅ se sāt ādmī chun leṅ, jin ke nek kirdār kī āp tasdīq kar sakte haiṅ aur jo rūh-ul-quds aur hikmat se māmūr haiṅ. phir ham unheṅ khānā taqsīm karne kī yah zimmādārī de kar 4apnā pūrā vaqt duā aur kalām kī ḵẖidmat meṅ sarf kar sakeṅge.”

5yah bāt pūrī jamāat ko pasand āī aur unhoṅ ne sāt ādmī chun liye : stifanus (jo īmān aur rūh-ul-quds se māmūr thā), filippus, pruḵẖurus, nīkānor, tīmon, parminās aur antākiyā kā nīkulāus. (nīkalāos ġairyahūdī thā jis ne īsā par īmān lāne se pahale yahūdī mazhab ko apnā liyā thā.) 6in sāt ādmiyoṅ ko rasūloṅ ke sāmne pesh kiyā gayā to unhoṅ ne in par hāth rakh kar duā kī.

7yūṅ allāh kā paiġām phailtā gayā. yarūshalam meṅ īmāndāroṅ kī tādād nihāyat baṛhtī gaī aur bait-ul-muqaddas ke bahut se imām bhī īmān le āe.

stifanus kī giriftārī

8stifanus allāh ke fazl aur quvvat se māmūr thā aur logoṅ ke darmiyān baṛe baṛe mojize aur ilāhī nishān dikhātā thā. 9ek din kuchh yahūdī stifanus se bahs karne lage. (vah kuren, iskandariyā, kilikiyā aur sūbā āsiyā ke rahane vāle the aur un ke ibādatḵẖāne kā nām labaratīniyoṅ yānī āzād kie gae ġulāmoṅ kā ibādatḵẖānā thā.) 10lekin vah na us kī hikmat kā sāmnā kar sake, na us rūh kā jo kalām karte vaqt us kī madad kartā thā. 11is liye unhoṅ ne bāz ādmiyoṅ ko yah kahane ko uksāyā ki “is ne mūsā aur allāh ke bāre meṅ kufr bakā hai. ham ḵẖud is ke gavāh haiṅ.” 12yūṅ ām logoṅ, buzurgoṅ aur sharīat ke ulmā meṅ halchal mach gaī. vah stifanus par chaṛh āe aur use ghasīṭ kar yahūdī adālat-e-āliyā ke pās lāe. 13vahāṅ unhoṅ ne jhūṭe gavāh khaṛe kie jinhoṅ ne kahā, “yah ādmī bait-ul-muqaddas aur sharīat ke ḵẖilāf bāteṅ karne se bāz nahīṅ ātā. 14ham ne is ke muṅh se sunā hai ki īsā nāsrī yah maqām tabāh karegā aur vah rasm-o-rivāj badal degā jo mūsā ne hamāre sapurd kie haiṅ.” 15jab ijlās meṅ baiṭhe tamām log ghūr ghūr kar stifanus kī taraf dekhne lage to us kā chiharā farishte kā sā nazar āyā.