Āmāl 3

laṅgṛe ādmī kī shifā

1ek dopahar patras aur yūhannā duā karne ke liye bait-ul-muqaddas kī taraf chal paṛe. tīn baj gae the. 2us vaqt log ek paidāishī laṅgṛe ko uṭhā kar vahāṅ lā rahe the. rozānā use sahan ke us darvāze ke pās lāyā jātā thā jo ‘ḵẖūbsūrat darvāzā’ kahalātā thā tāki vah bait-ul-muqaddas ke sahanoṅ meṅ dāḵẖil hone vāloṅ se bhīk māṅg sake. 3patras aur yūhannā bait-ul-muqaddas meṅ dāḵẖil hone vāle the to laṅgṛā un se bhīk māṅgne lagā. 4patras aur yūhannā ġaur se us kī taraf dekhne lage. phir patras ne kahā, “hamārī taraf dekheṅ.” 5is tavaqqo se ki use kuchh milegā laṅgṛā un kī taraf mutavajjih huā. 6lekin patras ne kahā, “mere pās na to chāṅdī hai, na sonā, lekin jo kuchh hai vah āp ko de detā hūṅ. nāsrat ke īsā masīh ke nām se uṭheṅ aur chaleṅ phireṅ!” 7us ne us kā dahanā hāth pakaṛ kar use khaṛā kiyā. usī vaqt laṅgṛe ke pāoṅ aur ṭaḵẖne mazbūt ho gae. 8vah uchhal kar khaṛā huā aur chalne phirne lagā. phir vah chalte, kūdte aur allāh kī tamjīd karte hue un ke sāth bait-ul-muqaddas meṅ dāḵẖil huā. 9aur tamām logoṅ ne use chalte phirte aur allāh kī tamjīd karte hue dekhā. 10jab unhoṅ ne jān liyā ki yah vahī ādmī hai jo ḵẖūbsūrat nāmī darvāze par baiṭhā bhīk māṅgā kartā thā to vah us kī tabdīlī dekh kar daṅg rah gae.

bait-ul-muqaddas meṅ patras kā paiġām

11vah sab dauṛ kar sulemān ke barāmde meṅ āe jahāṅ bhīk māṅgne vālā ab tak patras aur yūhannā se lipṭā huā thā. 12yah dekh kar patras un se muḵẖātib huā, “isrāīl ke hazrāt, āp yah dekh kar kyūṅ hairān haiṅ? āp kyūṅ ghūr ghūr kar hamārī taraf dekh rahe haiṅ goyā ham ne apnī zātī tāqat yā dīndārī ke bāis yah kiyā hai ki yah ādmī chal phir sake? 13yah hamāre bāpdādā ke ḵẖudā, ibrāhīm, ishāq aur yāqūb ke ḵẖudā kī taraf se hai jis ne apne bande īsā ko jalāl diyā hai. yah vahī īsā hai jise āp ne dushman ke havāle karke pīlātus ke sāmne radd kiyā, agarchi vah use rihā karne kā faislā kar chukā thā. 14āp ne us quddūs aur rāstbāz ko radd karke taqāzā kiyā ki pīlātus us ke ivz ek qātil ko rihā karke āp ko de de. 15āp ne zindagī ke sardār ko qatl kiyā, lekin allāh ne use murdoṅ meṅ se zindā kar diyā. ham is bāt ke gavāh haiṅ. 16āp to is ādmī se vāqif haiṅ jise dekh rahe haiṅ. ab vah īsā ke nām par īmān lāne se bahāl ho gayā hai, kyūṅki jo īmān īsā ke zarīe miltā hai usī ne is ādmī ko āp ke sāmne pūrī sehatmandī atā kī.

17mere bhāiyo, maiṅ jāntā hūṅ ki āp aur āp ke rāhanumāoṅ ko sahīh ilm nahīṅ thā, is liye āp ne aisā kiyā. 18lekin allāh ne vah kuchh pūrā kiyā jis kī peshgoī us ne tamām nabiyoṅ kī mārifat kī thī, yānī yah ki us kā masīh dukh uṭhāegā. 19ab taubā kareṅ aur allāh kī taraf rujū lāeṅ tāki āp ke gunāhoṅ ko miṭāyā jāe. 20phir āp ko rabb ke huzūr se tāzgī ke din muyassar āeṅge aur vah dubārā īsā yānī masīh ko bhej degā jise āp ke liye muqarrar kiyā gayā hai. 21lāzim hai ki vah us vaqt tak āsmān par rahe jab tak allāh sab kuchh bahāl na kar de, jis tarah vah ibtidā se apne muqaddas nabiyoṅ kī zabānī farmātā āyā hai. 22kyūṅki mūsā ne kahā, ‘rabb tumhārā ḵẖudā tumhāre vāste tumhāre bhāiyoṅ meṅ se mujh jaise nabī ko barpā karegā. jo bhī bāt vah kahe us kī sunnā. 23jo nahīṅ sunegā use miṭā kar qaum se nikāl diyā jāegā.’ 24aur samūel se le kar har nabī ne in dinoṅ kī peshgoī kī hai. 25āp to in nabiyoṅ kī aulād aur us ahd ke vāris haiṅ jo allāh ne āp ke bāpdādā se qāim kiyā thā, kyūṅki us ne ibrāhīm se kahā thā, ‘terī aulād se duniyā kī tamām qaumeṅ barkat pāeṅgī.’ 26jab allāh ne apne bande īsā ko barpā kiyā to pahale use āp ke pās bhej diyā tāki vah āp meṅ se har ek ko us kī burī rāhoṅ se pher kar barkat de.”