2 Tīmuthiyus 4

1maiṅ allāh aur masīh īsā ke sāmne jo zindoṅ aur murdoṅ kī adālat karegā aur us kī āmad aur bādshāhī kī yād dilā kar sanjīdgī se is kī tākīd kartā hūṅ, 2ki vaqt bevaqt kalām-e-muqaddas kī munādī karne ke liye tayyār raheṅ. baṛe sabr se īmāndāroṅ ko tālīm de kar unheṅ samjhāeṅ, malāmat kareṅ aur un kī hausalāafzāī bhī kareṅ. 3kyūṅki ek vaqt āegā jab log sehatabaḵẖsh tālīm bardāsht nahīṅ kareṅge balki apne pās apnī burī ḵẖwāhishāt se mutābiqat rakhne vāle ustādoṅ kā ḍher lagā leṅge. yah ustād unheṅ sirf dil bahalāne vālī bāteṅ sunāeṅge, sirf vah kuchh jo vah sunnā chāhate haiṅ. 4vah sacchāī ko sunne se bāz ā kar farzī kahāniyoṅ ke pīchhe paṛ jāeṅge. 5lekin āp ḵẖud har hālat meṅ hosh meṅ raheṅ. dukh ko bardāsht kareṅ, allāh kī ḵẖushḵẖabarī sunāte raheṅ aur apnī ḵẖidmat ke tamām farāiz adā kareṅ.

6jahāṅ tak merā tālluq hai, vah vaqt ā chukā hai ki mujhe mai kī nazar kī tarah qurbāngāh par uṅḍelā jāe. mere kūch kā vaqt ā gayā hai. 7maiṅ ne acchhī kushtī laṛī hai, maiṅ dauṛ ke iḵẖtitām tak pahuṅch gayā hūṅ, maiṅ ne īmān ko mahfūz rakhā hai. 8aur ab ek in’ām tayyār paṛā hai, rāstbāzī kā vah tāj jo ḵẖudāvand hamārā rāst munsif mujhe apnī āmad ke din degā. aur na sirf mujhe balki un sab ko jo us kī āmad ke ārzūmand rahe haiṅ.

kuchh shaḵẖsī bāteṅ

9mere pās āne meṅ jaldī kareṅ. 10kyūṅki demās ne is duniyā ko piyār karke mujhe chhoṛ diyā hai. vah thissalunīke chalā gayā. kreskens galtiyā aur titus dalmatiyā chale gae haiṅ. 11sirf lūqā mere pās hai. marqus ko apne sāth le ānā, kyūṅki vah ḵẖidmat ke liye mufīd sābit hogā. 12tuḵẖikus ko maiṅ ne ifisus bhej diyā hai. 13āte vaqt merā vah koṭ apne sāth le āeṅ jo maiṅ troās meṅ karpus ke pās chhoṛ āyā thā. merī kitābeṅ bhī le āeṅ, ḵẖāskar charmī kāġaz vālī.

14sikandar lohār ne mujhe bahut nuqsān pahuṅchāyā hai. ḵẖudāvand use us ke kām kā badlā degā. 15us se muhtāt raheṅ kyūṅki us ne baṛī shiddat se hamārī bātoṅ kī muḵẖālafat kī.

16jab mujhe pahalī dafā apne difā ke liye adālat meṅ pesh kiyā gayā to sab ne mujhe tark kar diyā. allāh un se is bāt kā hisāb na le balki ise nazar’andāz kar de. 17lekin ḵẖudāvand mere sāth thā. usī ne mujhe taqviyat dī, kyūṅki us kī marzī thī ki mere vasīle se us kā pūrā paiġām sunāyā jāe aur tamām ġairyahūdī use suneṅ. yūṅ allāh ne mujhe sherbabar ke muṅh se nikāl kar bachā liyā. 18aur āge bhī ḵẖudāvand mujhe har sharīr hamle se bachāegā aur apnī āsmānī bādshāhī meṅ lā kar najāt degā. us kā jalāl azal se abad tak hotā rahe. āmīn.

āḵẖirī salām

19priskillā, akvilā aur unesifurus ke gharāne ko hamārā salām kahanā. 20irāstus kurinthus meṅ rahā, aur mujhe trufimus ko mīletus meṅ chhoṛnā paṛā, kyūṅki vah bīmār thā. 21jaldī kareṅ tāki sardiyoṅ ke mausam se pahale yahāṅ pahuṅcheṅ.

yūbūlus, pūdens, līnus, klaudiyā aur tamām bhāī āp ko salām kahate haiṅ.

22ḵẖudāvand āp kī rūh ke sāth ho. allāh kā fazl āp ke sāth hotā rahe.