1 Thissalunīkiyoṅ 3

hamāre liye duā karnā

1bhāiyo, ek āḵẖirī bāt, hamāre liye duā kareṅ ki ḵẖudāvand kā paiġām jaldī se phail jāe aur izzat pāe, bilkul usī tarah jis tarah āp ke darmiyān huā. 2is ke liye bhī duā kareṅ ki allāh hameṅ ġalat aur sharīr logoṅ se bachāe rakhe, kyūṅki sab to īmān nahīṅ rakhte.

3lekin ḵẖudāvand vafādār hai, aur vahī āp ko mazbūt karke iblīs se mahfūz rakhegā. 4ham ḵẖudāvand meṅ āp par etimād rakhte haiṅ ki āp vah kuchh kar rahe haiṅ balki karte raheṅge jo ham ne āp ko karne ko kahā thā.

5ḵẖudāvand āp ke diloṅ ko allāh kī muhabbat aur masīh kī sābitqadmī kī taraf māil kartā rahe.

kām karne kā farz

6bhāiyo, apne ḵẖudāvand īsā masīh ke nām meṅ ham āp ko hukm dete haiṅ ki har us bhāī se kinārā kareṅ jo beqāidā chaltā aur jo ham se pāī huī rivāyat ke mutābiq zindagī nahīṅ guzārtā. 7āp ḵẖud jānte haiṅ ki āp ko kis tarah hamāre namūne par chalnā chāhie. jab ham āp ke pās the to hamārī zindagī meṅ betartībī nahīṅ pāī jātī thī. 8ham ne kisī kā khānā bhī paise die baġair na khāyā, balki din rāt saḵẖt mehanat-mashaqqat karte rahe tāki āp meṅ se kisī ke liye bojh na baneṅ. 9bāt yah nahīṅ ki hameṅ āp se muāvazā milne kā haq nahīṅ thā. nahīṅ, ham ne aisā kiyā tāki ham āp ke liye acchhā namūnā baneṅ aur āp is namūne par chaleṅ. 10jab ham abhī āp ke pās the to ham ne āp ko hukm diyā, “jo kām nahīṅ karnā chāhatā vah khānā bhī na khāe.”

11ab hameṅ yah ḵẖabar milī hai ki āp meṅ se bāz beqāidā zindagī guzārte haiṅ. vah kām nahīṅ karte balki dūsroṅ ke kāmoṅ meṅ ḵẖwāh-m-ḵẖwāh daḵẖal dete haiṅ. 12ḵẖudāvand īsā masīh ke nām meṅ ham aise logoṅ ko hukm dete aur samjhāte haiṅ ki ārām se kām karke apnī rozī kamāeṅ.

13bhāiyo, āp bhalāī karne se kabhī himmat na hāreṅ. 14agar koī is ḵẖat meṅ darj hamārī hidāyat par amal na kare to us se tālluq na rakhnā tāki use sharm āe. 15lekin use dushman mat samajhnā balki use bhāī jān kar samjhānā.

āḵẖirī alfāz

16ḵẖudāvand ḵẖud jo salāmatī kā sarchashmā hai āp ko har vaqt aur har tarah se salāmatī baḵẖshe. ḵẖudāvand āp sab ke sāth ho.

17maiṅ, paulus apne hāth se yah likh rahā hūṅ. merī taraf se salām. maiṅ isī tarīqe se apne har ḵẖat par dastaḵẖat kartā aur isī tarah likhtā hūṅ.

18hamāre ḵẖudāvand īsā masīh kā fazl āp sab ke sāth rahe.