1 Thissalunīkiyoṅ 2

“bedīnī kā ādmī”

1bhāiyo, yah savāl uṭhā hai ki hamāre ḵẖudāvand īsā masīh kī āmad kaisī hogī? ham kis tarah us ke sāth jamā ho jāeṅge? is nāte se hamārī āp se daraḵẖwāst hai 2ki jab log kahate haiṅ ki ḵẖudāvand kā din ā chukā hai to āp jaldī se bechain yā pareshān na ho jāeṅ. un kī bāt na māneṅ, chāhe vah yah dāvā bhī kareṅ ki un ke pās hamārī taraf se koī nubuvvat, paiġām yā ḵẖat hai. 3koī bhī āp ko kisī bhī chāl se fareb na de, kyūṅki yah din us vaqt tak nahīṅ āegā jab tak āḵẖirī baġāvat pesh na āe aur “bedīnī kā ādmī” zāhir na ho jāe, vah jis kā anjām halākat hogā. 4vah har ek kī muḵẖālafat karegā jo allāh aur mābūd kahalātā hai aur apne āp ko un sab se baṛā ṭhaharāegā. hāṅ, vah allāh ke ghar meṅ baiṭh kar elān karegā, “maiṅ allāh hūṅ.”

5kyā āp ko yād nahīṅ ki maiṅ āp ko yah batātā rahā jab abhī āp ke pās thā? 6aur ab āp jānte haiṅ ki kyā kuchh use rok rahā hai tāki vah apne muqarrarā vaqt par zāhir ho jāe. 7kyūṅki yah pur’asrār bedīnī ab bhī asar kar rahī hai. lekin yah us vaqt tak zāhir nahīṅ hogī jab tak vah shaḵẖs haṭ na jāe jo ab tak use rok rahā hai. 8phir hī “bedīnī kā ādmī” zāhir hogā. lekin jab ḵẖudāvand īsā āegā to vah use apne muṅh kī phūṅk se mār ḍālegā, zāhir hone par hī vah use halāk kar degā. 9“bedīnī ke ādmī” meṅ iblīs kām karegā. jab vah āegā to har qism kī tāqat kā izhār karegā. vah jhūṭe nishān aur mojize pesh karegā. 10yūṅ vah unheṅ har tarah ke sharīr fareb meṅ phaṅsāegā jo halāk hone vāle haiṅ. log is liye halāk ho jāeṅge ki unhoṅ ne sacchāī se muhabbat karne se inkār kiyā, varnā vah bach jāte. 11is vajah se allāh unheṅ burī tarah se fareb meṅ phaṅsne detā hai tāki vah is jhūṭ par īmān lāeṅ. 12natīje meṅ sab jo sacchāī par īmān na lāe balki nārāstī se lutf’andoz hue mujrim ṭhahareṅge.

āp ko najāt ke liye chun liyā gayā hai

13mere bhāiyo, vājib hai ki ham har vaqt āp ke liye ḵẖudā kā shukr kareṅ jinheṅ ḵẖudāvand piyār kartā hai. kyūṅki allāh ne āp ko shurū hī se najāt pāne ke liye chun liyā, aisī najāt ke liye jo rūh-ul-quds se pākīzgī pā kar sacchāī par īmān lāne se hāsil hotī hai. 14allāh ne āp ko us vaqt yah najāt pāne ke liye bulā liyā jab ham ne āp ko us kī ḵẖushḵẖabarī sunāī. aur ab āp hamāre ḵẖudāvand īsā masīh ke jalāl meṅ sharīk ho sakte haiṅ. 15bhāiyo, is liye sābitqadam raheṅ aur un rivāyāt ko thāme rakheṅ jo ham ne āp ko sikhāī haiṅ, ḵẖwāh zabānī yā ḵẖat ke zarīe.

16hamārā ḵẖudāvand īsā masīh ḵẖud aur ḵẖudā hamārā bāp jis ne ham se muhabbat rakhī aur apne fazl se hameṅ abdī tasallī aur ṭhos ummīd baḵẖshī 17āp kī hausalāafzāī kare aur yūṅ mazbūt kare ki āp hameshā vah kuchh boleṅ aur kareṅ jo acchhā hai.