1 Thissalunīkiyoṅ 1

1yah ḵẖat paulus, silvānus aur tīmuthiyus kī taraf se hai.

ham thissalunīkiyoṅ kī jamāat ko likh rahe haiṅ, unheṅ jo allāh hamāre bāp aur ḵẖudāvand īsā masīh par īmān lāe haiṅ.

2ḵẖudā hamārā bāp aur ḵẖudāvand īsā masīh āp ko fazl aur salāmatī baḵẖsheṅ.

masīh kī āmad par adālat

3bhāiyo, vājib hai ki ham har vaqt āp ke liye ḵẖudā kā shukr kareṅ. hāṅ, yah mauzūṅ hai, kyūṅki āp kā īmān hairat’aṅgez taraqqī kar rahā hai aur āp sab kī ek dūsre se muhabbat baṛh rahī hai. 4yahī vajah hai ki ham allāh kī dīgar jamāatoṅ meṅ āp par faḵẖar karte haiṅ. hāṅ, ham faḵẖar karte haiṅ ki āp in dinoṅ meṅ kitnī sābitqadmī aur īmān dikhā rahe haiṅ hālāṅki āp bahut īzārasāniyāṅ aur musībateṅ bardāsht kar rahe haiṅ.

5yah sab kuchh sābit kartā hai ki allāh kī adālat rāst hai, aur natīje meṅ āp us kī bādshāhī ke lāiq ṭhahareṅge, jis ke liye āp ab dukh uṭhā rahe haiṅ. 6allāh vahī kuchh karegā jo rāst hai. vah unheṅ musībatoṅ meṅ ḍāl degā jo āp ko musībat meṅ ḍāl rahe haiṅ, 7aur āp ko jo musībat meṅ haiṅ hamāre samet ārām degā. vah yah us vaqt karegā jab ḵẖudāvand īsā apne qavī farishtoṅ ke sāth āsmān par se ā kar zāhir hogā 8aur bhaṛaktī huī āg meṅ unheṅ sazā degā jo na allāh ko jānte haiṅ, na hamāre ḵẖudāvand īsā kī ḵẖushḵẖabarī ke tābe haiṅ. 9aise log abdī halākat kī sazā pāeṅge, vah hameshā tak ḵẖudāvand kī huzūrī aur us kī jalālī qudrat se dūr ho jāeṅge. 10lekin us din ḵẖudāvand is liye bhī āegā ki apne muqaddasīn meṅ jalāl pāe aur tamām īmāndāroṅ meṅ hairat kā bāis ho. āp bhī un meṅ shāmil hoṅge, kyūṅki āp us par īmān lāe jis kī gavāhī ham ne āp ko dī.

11yah pesh-e-nazar rakh kar ham lagātār āp ke liye duā karte haiṅ. hamārā ḵẖudā āp ko us bulāve ke lāiq ṭhaharāe jis ke liye āp ko bulāyā gayā hai. aur vah apnī qudrat se āp kī nekī karne kī har ḵẖwāhish aur āp ke īmān kā har kām takmīl tak pahuṅchāe. 12kyūṅki is tarah hī hamāre ḵẖudāvand īsā kā nām āp meṅ jalāl pāegā aur āp bhī us meṅ jalāl pāeṅge, us fazl ke mutābiq jo hamāre ḵẖudā aur ḵẖudāvand īsā masīh ne āp ko diyā hai.