2 Patras 3

ḵẖudāvand kī āmad kā vādā

1azīzo, yah ab dūsrā ḵẖat hai jo maiṅ ne āp ko likh diyā hai. donoṅ ḵẖatoṅ meṅ maiṅ ne kaī bātoṅ kī yād dilā kar āp ke zahanoṅ meṅ pāk soch ubhārne kī koshish kī. 2maiṅ chāhatā hūṅ ki āp vah kuchh yād rakheṅ jis kī peshgoī muqaddas nabiyoṅ ne kī thī aur sāth sāth hamāre ḵẖudāvand aur najātadihandā kā vah hukm bhī jo āp ko apne rasūloṅ kī mārifat milā. 3avval āp ko yah bāt samajhne kī zarūrat hai ki in āḵẖirī dinoṅ meṅ aise log āeṅge jo mazāq uṛā kar apnī shahavatoṅ ke qabze meṅ raheṅge. 4vah pūchheṅge, “īsā ne āne kā vādā to kiyā, lekin vah kahāṅ hai? hamāre bāpdādā to mar chuke haiṅ, aur duniyā kī taḵẖlīq se le kar āj tak sab kuchh vaise kā vaisā hī hai.” 5lekin yah log nazar’andāz karte haiṅ ki qadīm zamāne meṅ allāh ke hukm par āsmānoṅ kī taḵẖlīq huī aur zamīn pānī meṅ se aur pānī ke zarīe vujūd meṅ āī. 6isī pānī ke zarīe qadīm zamāne kī duniyā par sailāb āyā aur sab kuchh tabāh huā. 7aur allāh ke isī hukm ne maujūdā āsmān aur zamīn ko āg ke liye mahfūz kar rakhā hai, us din ke liye jab bedīn logoṅ kī adālat kī jāegī aur vah halāk ho jāeṅge.

8lekin mere azīzo, ek bāt āp se poshīdā na rahe. ḵẖudāvand ke nazdīk ek din hazār sāl ke barābar hai aur hazār sāl ek din ke barābar. 9ḵẖudāvand apnā vādā pūrā karne meṅ der nahīṅ kartā jis tarah kuchh log samajhte haiṅ balki vah to āp kī ḵẖātir sabr kar rahā hai. kyūṅki vah nahīṅ chāhatā ki koī halāk ho jāe balki yah ki sab taubā kī naubat tak pahuṅcheṅ.

10lekin ḵẖudāvand kā din chor kī tarah āegā. āsmān baṛe shor ke sāth ḵẖatm ho jāeṅge, ajrām-e-falkī āg meṅ pighal jāeṅge aur zamīn us ke kāmoṅ samet zāhir ho kar adālat meṅ pesh kī jāegī. 11ab socheṅ, agar sab kuchh is tarah ḵẖatm ho jāegā to phir āp kis qism ke log hone chāhieṅ? āp ko muqaddas aur ḵẖudātaras zindagī guzārte hue 12allāh ke din kī rāh dekhnī chāhie. hāṅ, āp ko yah koshish karnī chāhie ki vah din jaldī āe jab āsmān jal jāeṅge aur ajrām-e-falkī āg meṅ pighal jāeṅge. 13lekin ham un nae āsmānoṅ aur naī zamīn ke intizār meṅ haiṅ jis kā vādā allāh ne kiyā hai. aur vahāṅ rāstī sukūnat karegī.

14chunāṅche azīzo, chūṅki āp is intizār meṅ haiṅ is liye pūrī lagan ke sāth koshāṅ raheṅ ki āp allāh ke nazdīk bedāġ aur beilzām ṭhahareṅ aur āp kī us ke sāth sulah ho. 15yād rakheṅ ki hamāre ḵẖudāvand kā sabr logoṅ ko najāt pāne kā mauqā detā hai. hamāre azīz bhāī paulus ne bhī us hikmat ke mutābiq jo allāh ne use atā kī hai āp ko yahī kuchh likhā hai. 16vah yahī kuchh apne tamām ḵẖatoṅ meṅ likhtā hai jab vah is mazmūn kā zikr kartā hai. us ke ḵẖatoṅ meṅ kuchh aisī bāteṅ haiṅ jo samajhne meṅ mushkil haiṅ aur jinheṅ jāhil aur kamzor log toṛ-maroṛ kar bayān karte haiṅ, bilkul usī tarah jis tarah vah bāqī sahīfoṅ ke sāth bhī karte haiṅ. lekin is se vah apne āp ko hī halāk kar rahe haiṅ.

17mere azīzo, maiṅ āp ko vaqt se pahale in bātoṅ se āgāh kar rahā hūṅ. is liye ḵẖabardār raheṅ tāki beusūl logoṅ kī ġalat soch āp ko bahakā kar āp ko mahfūz maqām se haṭā na de. 18is ke bajāy hamāre ḵẖudāvand aur najātadihandā īsā masīh ke fazl aur ilm meṅ taraqqī karte raheṅ. use ab aur abad tak jalāl hāsil hotā rahe! āmīn.