2 Yūhannā 1

1yah ḵẖat buzurg yūhannā kī taraf se hai.

maiṅ chunīdā ḵẖātūn aur us ke bacchoṅ ko likh rahā hūṅ jinheṅ maiṅ sacchāī se piyār kartā hūṅ, aur na sirf maiṅ balki sab jo sacchāī ko jānte haiṅ. 2kyūṅki sacchāī ham meṅ rahatī hai aur abad tak hamāre sāth rahegī.

3ḵẖudā bāp aur bāp kā farzand īsā masīh hameṅ fazl, raham aur salāmatī atā kare. aur yah chīzeṅ sacchāī aur muhabbat kī rūh meṅ hameṅ hāsil hoṅ.

sacchāī aur muhabbat

4maiṅ nihāyat hī ḵẖush huā ki maiṅ ne āp ke bacchoṅ meṅ se bāz aise pāe jo usī tarah sacchāī meṅ chalte haiṅ jis tarah ḵẖudā bāp ne hameṅ hukm diyā thā. 5aur ab azīz ḵẖātūn, maiṅ āp se daraḵẖwāst kartā hūṅ ki āeṅ, ham sab ek dūsre se muhabbat rakheṅ. yah koī nayā hukm nahīṅ hai jo maiṅ āp ko likh rahā hūṅ balki vahī jo hameṅ shurū hī se milā hai. 6muhabbat kā matlab yah hai ki ham us ke ahkām ke mutābiq zindagī guzāreṅ. jis tarah āp ne shurū hī se sunā hai, us kā hukm yah hai ki āp muhabbat kī rūh meṅ chaleṅ.

7kyūṅki bahut se aise log duniyā meṅ nikal khaṛe hue haiṅ jo āp ko sahīh rāh se haṭāne kī koshish meṅ lage rahate haiṅ. yah log nahīṅ mānte ki īsā masīh mujassam ho kar āyā hai. har aisā shaḵẖs fareb dene vālā aur muḵẖālif-e-masīh hai. 8chunāṅche ḵẖabardār raheṅ. aisā na ho ki āp ne jo kuchh mehanat karke hāsil kiyā hai vah jātā rahe balki ḵẖudā kare ki āp ko is kā pūrā ajr mil jāe.

9jo bhī masīh kī tālīm par qāim nahīṅ rahatā balki is se āge nikal jātā hai us ke pās allāh nahīṅ. jo masīh kī tālīm par qāim rahatā hai us ke pās bāp bhī hai aur farzand bhī. 10chunāṅche agar koī āp ke pās ā kar yah tālīm pesh nahīṅ kartā to na use apne gharoṅ meṅ āne deṅ, na us ko salām kareṅ. 11kyūṅki jo us ke liye salāmatī kī duā kartā hai vah us ke sharīr kāmoṅ meṅ sharīk ho jātā hai.

āḵẖirī bāteṅ

12maiṅ āp ko bahut kuchh batānā chāhatā hūṅ, lekin kāġaz aur siyāhī ke zarīe nahīṅ. is ke bajāy maiṅ āp se milne aur āp ke rū-ba-rū bāt karne kī ummīd rakhtā hūṅ. phir hamārī ḵẖushī mukammal ho jāegī.

13āp kī chunīdā bahan ke bacche āp ko salām kahate haiṅ.