2 Kurinthiyoṅ 8

yahūdiyā ke ġarīboṅ ke liye hadiyā

1bhāiyo, ham āp kī tavajjuh us fazl kī taraf dilānā chāhate haiṅ jo allāh ne sūbā makiduniyā kī jamāat par kiyā. 2jis musībat meṅ vah phaṅse hue haiṅ us se un kī saḵẖt āzmāish huī. to bhī un kī beintihā ḵẖushī aur shadīd ġurbat kā natījā yah niklā ki unhoṅ ne baṛī fayyāzdilī se hadiyā diyā. 3maiṅ gavāh hūṅ ki jitnā vah de sake utnā unhoṅ ne de diyā balki is se bhī ziyādā. apnī hī taraf se 4unhoṅ ne baṛe zor se ham se minnat kī ki hameṅ bhī yahūdiyā ke muqaddasīn kī ḵẖidmat karne kā mauqā deṅ, ham bhī dene ke fazl meṅ sharīk honā chāhate haiṅ. 5aur unhoṅ ne hamārī ummīd se kahīṅ ziyādā kiyā! allāh kī marzī se un kā pahalā qadam yah thā ki unhoṅ ne apne āp ko ḵẖudāvand ke liye maḵẖsūs kiyā. un kā dūsrā qadam yah thā ki unhoṅ ne apne āp ko hamāre liye maḵẖsūs kiyā. 6is par ham ne titus kī hausalāafzāī kī ki vah āp ke pās bhī hadiyā jamā karne kā vah silsilā anjām tak pahuṅchāe jo us ne shurū kiyā thā. 7āp ke pās sab kuchh kasrat se pāyā jātā hai, ḵẖwāh īmān ho, ḵẖwāh kalām, ilm, mukammal sargarmī yā ham se muhabbat ho. ab is bāt kā ḵẖayāl rakheṅ ki āp yah hadiyā dene meṅ bhī apnī kasīr daulat kā izhār kareṅ.

8merī taraf se yah koī hukm nahīṅ hai. lekin dūsroṅ kī sargarmī ke pesh-e-nazar maiṅ āp kī bhī muhabbat parakh rahā hūṅ ki vah kitnī haqīqī hai. 9āp to jānte haiṅ ki hamāre ḵẖudāvand īsā masīh ne āp par kaisā fazl kiyā hai, ki agarchi vah daulatmand thā to bhī vah āp kī ḵẖātir ġarīb ban gayā tāki āp us kī ġurbat se daulatmand ban jāeṅ.

10is muāmale meṅ merā mashvrā suneṅ, kyūṅki vah āp ke liye mufīd sābit hogā. pichhle sāl āp pahalī jamāat the jo na sirf hadiyā dene lagī balki ise denā bhī chāhatī thī. 11ab use takmīl tak pahuṅchāeṅ jo āp ne shurū kar rakhā hai. dene kā jo shauq āp rakhte haiṅ vah amal meṅ lāyā jāe. utnā deṅ jitnā āp de sakeṅ. 12kyūṅki agar āp dene kā shauq rakhte haiṅ to phir allāh āp kā hadiyā us binā par qabūl karegā jo āp de sakte haiṅ, us binā par nahīṅ jo āp nahīṅ de sakte.

13kahane kā matlab yah nahīṅ ki dūsroṅ ko ārām dilāne ke bāis āp ḵẖud musībat meṅ paṛ jāeṅ. bāt sirf yah hai ki logoṅ ke hālāt kuchh barābar hone chāhieṅ. 14is vaqt to āp ke pās bahut hai aur āp un kī zarūrat pūrī kar sakte haiṅ. bād meṅ kisī vaqt jab un ke pās bahut hogā to vah āp kī zarūrat bhī pūrī kar sakeṅge. yūṅ āp ke hālāt kuchh barābar raheṅge, 15jis tarah kalām-e-muqaddas meṅ bhī likhā hai, “jis ne ziyādā jamā kiyā thā us ke pās kuchh na bachā. lekin jis ne kam jamā kiyā thā us ke pās bhī kāfī thā.”

titus aur us ke sāthī

16ḵẖudā kā shukr hai jis ne titus ke dil meṅ vahī josh paidā kiyā hai jo maiṅ āp ke liye rakhtā hūṅ. 17jab ham ne us kī hausalāafzāī kī ki vah āp ke pās jāe to vah na sirf is ke liye tayyār huā balki baṛā sargarm ho kar ḵẖud-ba-ḵẖud āp ke pās jāne ke liye ravānā huā. 18ham ne us ke sāth us bhāī ko bhej diyā jis kī ḵẖidmat kī tārīf tamām jamāateṅ kartī haiṅ, kyūṅki use allāh kī ḵẖushḵẖabarī sunāne kī nemat milī hai. 19use na sirf āp ke pās jānā hai balki jamāatoṅ ne use muqarrar kiyā hai ki jab ham hadie ko yarūshalam le jāeṅge to vah hamāre sāth jāe. yūṅ ham yah ḵẖidmat adā karte vaqt ḵẖudāvand ko jalāl deṅge aur apnī sargarmī kā izhār kareṅge.

20kyūṅki us baṛe hadie ke pesh-e-nazar jo ham le jāeṅge ham is se bachnā chāhate haiṅ ki kisī ko ham par shak karne kā mauqā mile. 21hamārī pūrī koshish yah hai ki vahī kuchh kareṅ jo na sirf ḵẖudāvand kī nazar meṅ durust hai balki insān kī nazar meṅ bhī.

22un ke sāth ham ne ek aur bhāī ko bhī bhej diyā jis kī sargarmī ham ne kaī mauqoṅ par parkhī hai. ab vah mazīd sargarm ho gayā hai, kyūṅki vah āp par baṛā etimād kartā hai. 23jahāṅ tak titus kā tālluq hai, vah merā sāthī aur hamḵẖidmat hai. aur jo bhāī us ke sāth haiṅ unheṅ jamāatoṅ ne bhejā hai. vah masīh ke liye izzat kā bāis haiṅ. 24un par apnī muhabbat kā izhār karke yah zāhir kareṅ ki ham āp par kyūṅ faḵẖar karte haiṅ. phir yah bāt ḵẖudā kī dīgar jamāatoṅ ko bhī nazar āegī.