2 Kurinthiyoṅ 6

1allāh ke hamḵẖidmat hote hue ham āp se minnat karte haiṅ ki jo fazl āp ko milā hai vah zāe na jāe. 2kyūṅki allāh farmātā hai, “qabūliyat ke vaqt maiṅ ne terī sunī, najāt ke din terī madad kī.” suneṅ! ab qabūliyat kā vaqt ā gayā hai, ab najāt kā din hai.

3ham kisī ke liye bhī ṭhokar kā bāis nahīṅ bante tāki log hamārī ḵẖidmat meṅ nuqs na nikāl sakeṅ. 4hāṅ, hameṅ sifārish kī zarūrat hī nahīṅ, kyūṅki allāh ke ḵẖādim hote hue ham har hālat meṅ apnī neknāmī zāhir karte haiṅ : jab ham sabr se musībateṅ, mushkilāt aur āfteṅ bardāsht karte haiṅ, 5jab log hameṅ mārte aur qaid meṅ ḍālte haiṅ, jab ham bekābū hujūmoṅ kā sāmnā karte haiṅ, jab ham mehanat-mashaqqat karte, rāt ke vaqt jāgte aur bhūke rahate haiṅ, 6jab ham apnī pākīzgī, ilm, sabr aur meharbān sulūk kā izhār karte haiṅ, jab ham rūh-ul-quds ke vasīle se haqīqī muhabbat rakhte, 7sacchī bāteṅ karte aur allāh kī qudrat se logoṅ kī ḵẖidmat karte haiṅ. ham apnī neknāmī is meṅ bhī zāhir karte haiṅ ki ham donoṅ hāthoṅ se rāstbāzī ke hathiyār thāme rakhte haiṅ. 8ham apnī ḵẖidmat jārī rakhte haiṅ, chāhe log hamārī izzat kareṅ chāhe beizzatī, chāhe vah hamārī burī riporṭ deṅ chāhe acchhī. agarchi hamārī ḵẖidmat sacchī hai, lekin log hameṅ daġābāz qarār dete haiṅ. 9agarchi log hameṅ jānte haiṅ to bhī hameṅ nazar’andāz kiyā jātā hai. ham marte marte zindā rahate haiṅ aur log hameṅ mār mār kar qatl nahīṅ kar sakte. 10ham ġam khā khā kar har vaqt ḵẖush rahate haiṅ, ham ġarīb hālat meṅ bahutoṅ ko daulatmand banā dete haiṅ. hamāre pās kuchh nahīṅ hai, to bhī hameṅ sab kuchh hāsil hai.

11kurinthus ke azīzo, ham ne khul kar āp se bāt kī hai, hamārā dil āp ke liye kushādā ho gayā hai. 12jo jagah ham ne dil meṅ āp ko dī hai vah ab tak kam nahīṅ huī. lekin āp ke diloṅ meṅ hamāre liye koī jagah nahīṅ rahī. 13ab maiṅ āp se jo mere bacche haiṅ daraḵẖwāst kartā hūṅ ki javāb meṅ hameṅ bhī apne diloṅ meṅ jagah deṅ.

ġairmasīhī asrāt se ḵẖabardār

14ġairīmāndāroṅ ke sāth mil kar ek jūe tale zindagī na guzāreṅ, kyūṅki rāstī kā nārāstī se kyā vāstā hai? yā raushnī tārīkī ke sāth kyā tālluq rakh saktī hai? 15masīh aur iblīs ke darmiyān kyā mutābiqat ho saktī hai? īmāndār kā ġairīmāndār ke sāth kyā vāstā hai? 16allāh ke maqdis aur butoṅ meṅ kyā ittifāq ho saktā hai? ham to zindā ḵẖudā kā ghar haiṅ. allāh ne yūṅ farmāyā hai,

“maiṅ un ke darmiyān sukūnat karūṅgā

aur un meṅ phirūṅgā.

maiṅ un kā ḵẖudā hūṅgā,

aur vah merī qaum hoṅge.”

17chunāṅche rabb farmātā hai,

“is liye un meṅ se nikal āo

aur un se alag ho jāo.

kisī nāpāk chīz ko na chhūnā,

to phir maiṅ tumheṅ qabūl karūṅgā.

18maiṅ tumhārā bāp hūṅgā

aur tum mere beṭe-beṭiyāṅ hoge,

rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai.”