2 Kurinthiyoṅ 5

1ham to jānte haiṅ ki jab hamārī duniyāvī jhoṁpṛī jis meṅ ham rahate haiṅ girāī jāegī to allāh hameṅ āsmān par ek makān degā, ek aisā abdī ghar jise insānī hāthoṅ ne nahīṅ banāyā hogā. 2is liye ham is jhoṁpṛī meṅ karāhate haiṅ aur āsmānī ghar pahan lene kī shadīd ārzū rakhte haiṅ, 3kyūṅki jab ham use pahan leṅge to ham naṅge nahīṅ pāe jāeṅge. 4is jhoṁpṛī meṅ rahate hue ham bojh tale karāhate haiṅ. kyūṅki ham apnā fānī libās utārnā nahīṅ chāhate balki us par āsmānī ghar kā libās pahan lenā chāhate haiṅ tāki zindagī vah kuchh nigal jāe jo fānī hai. 5allāh ne ḵẖud hameṅ is maqsad ke liye tayyār kiyā hai aur usī ne hameṅ rūh-ul-quds ko āne vāle jalāl ke baiāne ke taur par de diyā hai.

6chunāṅche ham hameshā hauslā rakhte haiṅ. ham jānte haiṅ ki jab tak apne badan meṅ rihāishpazīr haiṅ us vaqt tak ḵẖudāvand ke ghar se dūr haiṅ. 7ham zāhirī chīzoṅ par bharosā nahīṅ karte balki īmān par chalte haiṅ. 8hāṅ, hamārā hauslā buland hai balki ham ziyādā yah chāhate haiṅ ki apne jismānī ghar se ravānā ho kar ḵẖudāvand ke ghar meṅ raheṅ. 9lekin ḵẖwāh ham apne badan meṅ hoṅ yā na, ham isī koshish meṅ rahate haiṅ ki ḵẖudāvand ko pasand āeṅ. 10kyūṅki lāzim hai ki ham sab masīh ke taḵẖt-e-adālat ke sāmne hāzir ho jāeṅ. vahāṅ har ek ko us kām kā ajr milegā jo us ne apne badan meṅ rahate hue kiyā hai, ḵẖwāh vah acchhā thā yā burā.

masīh ke vasīle se hamārī allāh ke sāth dostī

11ab ham ḵẖudāvand ke ḵẖauf ko jān kar logoṅ ko samjhāne kī koshish karte haiṅ. ham to allāh ke sāmne pūre taur par zāhir haiṅ. aur maiṅ ummīd rakhtā hūṅ ki ham āp ke zamīr ke sāmne bhī zāhir haiṅ. 12kyā ham yah bāt karke dubārā apnī sifārish kar rahe haiṅ? nahīṅ, āp ko ham par faḵẖar karne kā mauqā de rahe haiṅ tāki āp un ke javāb meṅ kuchh kah sakeṅ jo zāhirī bātoṅ par sheḵẖī mārte aur dilī bāteṅ nazar’andāz karte haiṅ. 13kyūṅki agar ham beḵẖud hue to allāh kī ḵẖātir, aur agar hosh meṅ haiṅ to āp kī ḵẖātir. 14bāt yah hai ki masīh kī muhabbat hameṅ majbūr kar detī hai, kyūṅki ham is natīje par pahuṅch gae haiṅ ki ek sab ke liye muā. is kā matlab hai ki sab hī mar gae haiṅ. 15aur vah sab ke liye is liye muā tāki jo zindā haiṅ vah apne liye na jieṅ balki us ke liye jo un kī ḵẖātir muā aur phir jī uṭhā.

16is vajah se ham ab se kisī ko bhī duniyāvī nigāh se nahīṅ dekhte. pahale to ham masīh ko bhī is zāvīe se dekhte the, lekin yah vaqt guzar gayā hai. 17chunāṅche jo masīh meṅ hai vah nayā maḵẖlūq hai. purānī zindagī jātī rahī aur naī zindagī shurū ho gaī hai. 18yah sab kuchh allāh kī taraf se hai jis ne masīh ke vasīle se apne sāth hamārā mel-milāp kar liyā hai. aur usī ne hameṅ mel-milāp karāne kī ḵẖidmat kī zimmādārī dī hai. 19is ḵẖidmat ke tahat ham yah paiġām sunāte haiṅ ki allāh ne masīh ke vasīle se apne sāth duniyā kī sulah karāī aur logoṅ ke gunāhoṅ ko un ke zimme na lagāyā. sulah karāne kā yah paiġām us ne hamāre sapurd kar diyā.

20pas ham masīh ke elchī haiṅ aur allāh hamāre vasīle se logoṅ ko samjhātā hai. ham masīh ke vāste āp se minnat karte haiṅ ki allāh kī sulah kī peshkash ko qabūl kareṅ tāki us kī āp ke sāth sulah ho jāe. 21masīh begunāh thā, lekin allāh ne use hamārī ḵẖātir gunāh ṭhaharāyā tāki hameṅ us meṅ rāstbāz qarār diyā jāe.