2 Kurinthiyoṅ 13

āḵẖirī tambīh aur salām

1ab maiṅ tīsrī dafā āp ke pās ā rahā hūṅ. kalām-e-muqaddas ke mutābiq lāzim hai ki har ilzām kī tasdīq do yā tīn gavāhoṅ se kī jāe. 2jab maiṅ dūsrī dafā āp ke pās āyā thā to maiṅ ne pahale se āp ko āgāh kiyā thā. ab maiṅ āp se dūr yah bāt dubārā kahatā hūṅ ki jab maiṅ vāpas āūṅgā to na vah bacheṅge jinhoṅ ne pahale gunāh kiyā thā na dīgar log. 3jo bhī sabūt āp māṅg rahe haiṅ ki masīh mere zarīe boltā hai vah maiṅ āp ko dūṅgā. āp ke sāth sulūk meṅ masīh kamzor nahīṅ hai. nahīṅ, vah āp ke darmiyān hī apnī quvvat kā izhār kartā hai. 4kyūṅki agarchi use kamzor hālat meṅ maslūb kiyā gayā, lekin ab vah allāh kī qudrat se zindā hai. isī tarah ham bhī us meṅ kamzor haiṅ, lekin allāh kī qudrat se ham āp kī ḵẖidmat karte vaqt us ke sāth zindā haiṅ.

5apne āp ko jāṅch kar mālūm kareṅ ki kyā āp kā īmān qāim hai? ḵẖud apne āp ko parkheṅ. kyā āp nahīṅ jānte ki īsā masīh āp meṅ hai? agar nahīṅ to is kā matlab hotā ki āp kā īmān nāmaqbūl sābit hotā. 6lekin mujhe ummīd hai ki āp itnā pahachān leṅge ki jahāṅ tak hamārā tālluq hai ham nāmaqbūl sābit nahīṅ hue haiṅ. 7ham allāh se duā karte haiṅ ki āp se koī ġaltī na ho jāe. bāt yah nahīṅ ki logoṅ ke sāmne ham sahīh nikleṅ balki yah ki āp sahīh kām kareṅ, chāhe log hameṅ ḵẖud nākām kyūṅ na qarār deṅ. 8kyūṅki ham haqīqat ke ḵẖilāf khaṛe nahīṅ ho sakte balki sirf us ke haq meṅ. 9ham ḵẖush haiṅ jab āp tāqatvar haiṅ go ham ḵẖud kamzor haiṅ. aur hamārī duā yah hai ki āp kāmil ho jāeṅ. 10yahī vajah hai ki maiṅ āp se dūr rah kar likhtā hūṅ. phir jab maiṅ āūṅgā to mujhe apnā iḵẖtiyār istemāl karke āp par saḵẖtī nahīṅ karnī paṛegī. kyūṅki ḵẖudāvand ne mujhe yah iḵẖtiyār āp ko ḍhā dene ke liye nahīṅ balki āp ko tāmīr karne ke liye diyā hai.

11bhāiyo, āḵẖir meṅ maiṅ āp ko salām kahatā hūṅ. sudhar jāeṅ, ek dūsre kī hausalāafzāī kareṅ, ek hī soch rakheṅ aur sulah-salāmatī ke sāth zindagī guzāreṅ. phir muhabbat aur salāmatī kā ḵẖudā āp ke sāth hogā.

12ek dūsre ko muqaddas bosā denā. tamām muqaddasīn āp ko salām kahate haiṅ.

13ḵẖudāvand īsā masīh kā fazl, allāh kī muhabbat aur rūh-ul-quds kī rifāqat āp sab ke sāth hotī rahe.