2 Kurinthiyoṅ 1

1yah ḵẖat paulus kī taraf se hai, jo allāh kī marzī se masīh īsā kā rasūl hai. sāth hī yah bhāī tīmuthiyus kī taraf se bhī hai.

maiṅ kurinthus meṅ allāh kī jamāat aur sūbā aḵẖyā meṅ maujūd tamām muqaddasīn ko yah likh rahā hūṅ.

2ḵẖudā hamārā bāp aur ḵẖudāvand īsā masīh āp ko fazl aur salāmatī atā kareṅ.

allāh kī hamd-o-sanā

3hamāre ḵẖudāvand īsā masīh ke ḵẖudā aur bāp kī tamjīd ho, jo raham kā bāp aur tamām tarah kī tasallī kā ḵẖudā hai. 4jab bhī ham musībat meṅ phaṅs jāte haiṅ to vah hameṅ tasallī detā hai tāki ham auroṅ ko bhī tasallī de sakeṅ. phir jab vah kisī musībat se dochār hote haiṅ to ham bhī un ko usī tarah tasallī de sakte haiṅ jis tarah allāh ne hameṅ tasallī dī hai. 5kyūṅki jitnī kasrat se masīh kī sī musībateṅ ham par ā jātī haiṅ utnī kasrat se allāh masīh ke zarīe hameṅ tasallī detā hai. 6jab ham musībatoṅ se dochār hote haiṅ to yah bāt āp kī tasallī aur najāt kā bāis bantī hai. jab hamārī tasallī hotī hai to yah āp kī bhī tasallī kā bāis bantī hai. yūṅ āp bhī sabr se vah kuchh bardāsht karne ke qābil ban jāte haiṅ jo ham bardāsht kar rahe haiṅ. 7chunāṅche hamārī āp ke bāre meṅ ummīd puḵẖtā rahatī hai. kyūṅki ham jānte haiṅ ki jis tarah āp hamārī musībatoṅ meṅ sharīk haiṅ usī tarah āp us tasallī meṅ bhī sharīk haiṅ jo hameṅ hāsil hotī hai.

8bhāiyo, ham āp ko us musībat se āgāh karnā chāhate haiṅ jis meṅ ham sūbā āsiyā meṅ phaṅs gae. ham par dabāo itnā shadīd thā ki use bardāsht karnā nāmumkin sā ho gayā aur ham jān se hāth dho baiṭhe. 9ham ne mahsūs kiyā ki hameṅ sazā-e-maut dī gaī hai. lekin yah is liye huā tāki ham apne āp par bharosā na kareṅ balki allāh par jo murdoṅ ko zindā kar detā hai. 10usī ne hameṅ aisī haibtanāk maut se bachāyā aur vah āindā bhī hameṅ bachāegā. aur ham ne us par ummīd rakhī hai ki vah hameṅ ek bār phir bachāegā. 11āp bhī apnī duāoṅ se hamārī madad kar rahe haiṅ. yah kitnī ḵẖūbsūrat bāt hai ki allāh bahutoṅ kī duāoṅ ko sun kar ham par meharbānī karegā aur natīje meṅ bahutere hamāre liye shukr kareṅge.

paulus ke mansūboṅ meṅ tabdīlī

12yah bāt hamāre liye faḵẖar kā bāis hai ki hamārā zamīr sāf hai. kyūṅki ham ne allāh ke sāmne sādādilī aur ḵẖulūs se zindagī guzārī hai, aur ham ne apnī insānī hikmat par inhisār nahīṅ kiyā balki allāh ke fazl par. duniyā meṅ aur ḵẖāskar āp ke sāth hamārā ravayyā aisā hī rahā hai. 13ham to āp ko aisī koī bāt nahīṅ likhte jo āp paṛh yā samajh nahīṅ sakte. aur mujhe ummīd hai ki āp ko pūre taur par samajh āegī, 14agarchi āp filahāl sab kuchh nahīṅ samajhte. kyūṅki jab āp ko sab kuchh samajh āegā tab āp ḵẖudāvand īsā ke din ham par utnā faḵẖar kar sakeṅge jitnā ham āp par.

15chūṅki mujhe is kā pūrā yaqīn thā is liye maiṅ pahale āp ke pās ānā chāhatā thā tāki āp ko dugnī barkat mil jāe. 16ḵẖayāl yah thā ki maiṅ āp ke hāṅ se ho kar makiduniyā jāūṅ aur vahāṅ se āp ke pās vāpas āūṅ. phir āp sūbā yahūdiyā ke safar ke liye tayyāriyāṅ karne meṅ merī madad karke mujhe āge bhej sakte the. 17āp mujhe batāeṅ ki kyā maiṅ ne yah mansūbā yūṅ hī banāyā thā? kyā maiṅ duniyāvī logoṅ kī tarah mansūbe banā letā hūṅ jo ek hī lamhe meṅ “jī hāṅ” aur “jī nahīṅ” kahate haiṅ? 18lekin allāh vafādār hai aur vah merā gavāh hai ki ham āp ke sāth bāt karte vaqt “nahīṅ” ko “hāṅ” ke sāth nahīṅ milāte. 19kyūṅki allāh kā farzand īsā masīh jis kī munādī maiṅ, sīlās aur tīmuthiyus ne kī vah bhī aisā nahīṅ hai. us ne kabhī bhī “hāṅ” ko “nahīṅ” ke sāth nahīṅ milāyā balki us meṅ allāh kī hatmī “jī hāṅ” vujūd meṅ āī. 20kyūṅki vahī allāh ke tamām vādoṅ kī “hāṅ” hai. is liye ham usī ke vasīle se “āmīn” (jī hāṅ) kah kar allāh ko jalāl dete haiṅ. 21aur allāh ḵẖud hameṅ aur āp ko masīh meṅ mazbūt kar detā hai. usī ne hameṅ masah karke maḵẖsūs kiyā hai. 22usī ne ham par apnī muhar lagā kar zāhir kiyā hai ki ham us kī milkiyat haiṅ aur usī ne hameṅ rūh-ul-quds de kar apne vādoṅ kā baiānā adā kiyā hai.

23agar maiṅ jhūṭ bolūṅ to allāh mere ḵẖilāf gavāhī de. bāt yah hai ki maiṅ āp ko bachāne ke liye kurinthus vāpas na āyā. 24matlab yah nahīṅ ki ham īmān ke muāmale meṅ āp par hukūmat karnā chāhate haiṅ. nahīṅ, ham āp ke sāth mil kar ḵẖidmat karte haiṅ tāki āp ḵẖushī se bhar jāeṅ, kyūṅki āp to īmān kī mārifat qāim haiṅ.