1 Tīmuthiyus 5

īmāndāroṅ se sulūk

1buzurg bhāiyoṅ ko saḵẖtī se na ḍāṅṭnā balki unheṅ yūṅ samjhānā jis tarah ki vah āp ke bāp hoṅ. isī tarah javān ādmiyoṅ ko yūṅ samjhānā jaise vah āp ke bhāī hoṅ, 2buzurg bahanoṅ ko yūṅ jaise vah āp kī māeṅ hoṅ aur javān ḵẖavātīn ko tamām pākīzgī ke sāth yūṅ jaise vah āp kī bahaneṅ hoṅ.

3un bevāoṅ kī madad karke un kī izzat kareṅ jo vāqaī zarūratmand haiṅ. 4agar kisī bevā ke bacche yā pote-navāse hoṅ to us kī madad karnā un hī kā farz hai. hāṅ, vah sīkheṅ ki ḵẖudātaras hone kā pahalā farz yah hai ki ham apne ghar vāloṅ kī fikr kareṅ aur yūṅ apne māṅ-bāp, dādā-dādī aur nānā-nānī ko vah kuchh vāpas kareṅ jo hameṅ un se milā hai, kyūṅki aisā amal allāh ko pasand hai. 5jo aurat vāqaī zarūratmand bevā aur tanhā rah gaī hai vah apnī ummīd allāh par rakh kar din rāt apnī iltijāoṅ aur duāoṅ meṅ lagī rahatī hai. 6lekin jo bevā aish-o-ishrat meṅ zindagī guzārtī hai vah zindā hālat meṅ hī murdā hai. 7yah hidāyāt logoṅ tak pahuṅchāeṅ tāki un par ilzām na lagāyā jā sake. 8kyūṅki agar koī apnoṅ aur ḵẖāskar apne ghar vāloṅ kī fikr na kare to us ne apne īmān kā inkār kar diyā. aisā shaḵẖs ġairīmāndāroṅ se badtar hai.

9jis bevā kī umr 60 sāl se kam hai use bevāoṅ kī faharist meṅ darj na kiyā jāe. shart yah bhī hai ki jab us kā shauhar zindā thā to vah us kī vafādār rahī ho 10aur ki log us ke nek kāmoṅ kī acchhī gavāhī de sakeṅ, maslan kyā us ne apne bacchoṅ ko acchhī tarah pālā hai? kyā us ne mehamān-navāzī kī aur muqaddasīn ke pāoṅ dho kar un kī ḵẖidmat kī hai? kyā vah musībat meṅ phaṅse huoṅ kī madad kartī rahī hai? kyā vah har nek kām ke liye koshāṅ rahī hai?

11lekin javān bevāeṅ is faharist meṅ shāmil mat karnā, kyūṅki jab un kī jismānī ḵẖwāhishāt un par ġālib ātī haiṅ to vah masīh se dūr ho kar shādī karnā chāhatī haiṅ. 12yūṅ vah apnā pahalā īmān chhoṛ kar mujrim ṭhahartī haiṅ. 13is ke ilāvā vah sust hone aur idhar udhar gharoṅ meṅ phirne kī ādī ban jātī haiṅ. na sirf yah balki vah bātūnī bhī ban jātī haiṅ aur dūsroṅ ke muāmalāt meṅ daḵẖal de kar nāmunāsib bāteṅ kartī haiṅ. 14is liye maiṅ chāhatā hūṅ ki javān bevāeṅ dubārā shādī karke bacchoṅ ko janm deṅ aur apne gharoṅ ko saṁbhāleṅ. phir vah dushman ko badgoī karne kā mauqā nahīṅ deṅgī. 15kyūṅki bāz to sahīh rāh se haṭ kar iblīs ke pīchhe lag chukī haiṅ. 16lekin jis īmāndār aurat ke ḵẖāndān meṅ bevāeṅ haiṅ us kā farz hai ki vah un kī madad kare tāki vah ḵẖudā kī jamāat ke liye bojh na baneṅ. varnā jamāat un bevāoṅ kī sahīh madad nahīṅ kar sakegī jo vāqaī zarūratmand haiṅ.

17jo buzurg jamāat ko acchhī tarah saṁbhālte haiṅ unheṅ dugnī izzat ke lāiq samjhā jāe [a] yahāṅ matlab hai ki un kī izzat ḵẖāskar mālī lihāz se kī jāe. . maiṅ ḵẖāskar un kī bāt kar rahā hūṅ jo pāk kalām sunāne aur tālīm dene meṅ mehanat-mashaqqat karte haiṅ. 18kyūṅki kalām-e-muqaddas farmātā hai, “jab tū fasal gāhane ke liye us par bail chalne detā hai to us kā muṅh bāṅdh kar na rakhnā.” yah bhī likhā hai, “mazdūr apnī mazdūrī kā haqdār hai.” 19jab kisī buzurg par ilzām lagāyā jāe to yah bāt sirf is sūrat meṅ māneṅ ki do yā is se ziyādā gavāh is kī tasdīq kareṅ. 20lekin jinhoṅ ne vāqaī gunāh kiyā ho unheṅ pūrī jamāat ke sāmne samjhāeṅ tāki dūsre aisī harkateṅ karne se ḍar jāeṅ.

21allāh aur masīh īsā aur us ke chunīdā farishtoṅ ke sāmne maiṅ sanjīdgī se tākīd kartā hūṅ ki in hidāyāt kī yūṅ pairvī kareṅ ki āp kisī muāmale se sahīh taur par vāqif hone se peshtar faislā na kareṅ, na jānibdārī kā shikār ho jāeṅ. 22jaldī se kisī par hāth rakh kar use kisī ḵẖidmat ke liye maḵẖsūs mat karnā, na dūsroṅ ke gunāhoṅ meṅ sharīk honā. apne āp ko pāk rakheṅ.

23chūṅki āp aksar bīmār rahate haiṅ is liye apne mede kā lihāz karke na sirf pānī hī piyā kareṅ balki sāth sāth kuchh mai bhī istemāl kareṅ.

24kuchh logoṅ ke gunāh sāf sāf nazar āte haiṅ, aur vah un se pahale hī adālat ke taḵẖt ke sāmne ā pahuṅchte haiṅ. lekin kuchh aise bhī haiṅ jin ke gunāh goyā un ke pīchhe chal kar bād meṅ zāhir hote haiṅ. 25isī tarah kuchh logoṅ ke acchhe kām sāf nazar āte haiṅ jabki bāz ke acchhe kām abhī nazar nahīṅ āte. lekin yah bhī poshīdā nahīṅ raheṅge balki kisī vaqt zāhir ho jāeṅge.

[a] yahāṅ matlab hai ki un kī izzat ḵẖāskar mālī lihāz se kī jāe.