1 Tīmuthiyus 4

jhūṭe ustād

1rūh-ul-quds sāf farmātā hai ki āḵẖirī dinoṅ meṅ kuchh īmān se haṭ kar farebdih rūhoṅ aur shaitānī tālīmāt kī pairvī kareṅge. 2aisī tālīmāt jhūṭ bolne vāloṅ kī riyākār bātoṅ se ātī haiṅ, jin ke zamīr par iblīs ne apnā nishān lagā kar zāhir kar diyā hai ki yah us ke apne haiṅ. 3yah shādī karne kī ijāzat nahīṅ dete aur logoṅ ko kahate haiṅ ki vah muḵẖtalif khāne kī chīzoṅ se parhez kareṅ. lekin allāh ne yah chīzeṅ is liye banāī haiṅ ki jo īmān rakhte haiṅ aur sacchāī se vāqif haiṅ inheṅ shukrguzārī ke sāth khāeṅ. 4jo kuchh bhī allāh ne ḵẖalaq kiyā hai vah acchhā hai, aur hameṅ use radd nahīṅ karnā chāhie balki ḵẖudā kā shukr karke use khā lenā chāhie. 5kyūṅki use allāh ke kalām aur duā se maḵẖsūs-o-muqaddas kiyā gayā hai.

masīh īsā kā acchhā ḵẖādim

6agar āp bhāiyoṅ ko yah tālīm deṅ to āp masīh īsā ke acchhe ḵẖādim hoṅge. phir yah sābit ho jāegā ki āp ko īmān aur us acchhī tālīm kī sacchāiyoṅ meṅ tarbiyat dī gaī hai jis kī pairvī āp karte rahe haiṅ. 7lekin dādī-ammāṅ kī in bemānī farzī kahāniyoṅ se bāz raheṅ. in kī bajāy aisī tarbiyat hāsil kareṅ jis se āp kī ruhānī zindagī mazbūt ho jāe. 8kyūṅki jism kī tarbiyat kā thoṛā hī fāidā hai, lekin ruhānī tarbiyat har lihāz se mufīd hai, is liye ki agar ham is qism kī tarbiyat hāsil kareṅ to ham se hāl aur mustaqbil meṅ zindagī pāne kā vādā kiyā gayā hai. 9yah bāt qābil-e-etimād hai aur ise pūre taur par qabūl karnā chāhie. 10yahī vajah hai ki ham mehanat-mashaqqat aur jāṅfishānī karte rahate haiṅ, kyūṅki ham ne apnī ummīd zindā ḵẖudā par rakhī hai jo tamām insānoṅ kā najātadihandā hai, ḵẖāskar īmān rakhne vāloṅ kā.

11logoṅ ko yah hidāyāt deṅ aur sikhāeṅ. 12koī bhī āp ko is liye haqīr na jāne ki āp javān haiṅ. lekin zarūrī hai ki āp kalām meṅ, chāl-chalan meṅ, muhabbat meṅ, īmān meṅ aur pākīzgī meṅ īmāndāroṅ ke liye namūnā ban jāeṅ. 13jab tak maiṅ nahīṅ ātā is par ḵẖās dhyān deṅ ki jamāat meṅ bāqāidagī se kalām kī tilāvat kī jāe, logoṅ ko nasīhat kī jāe aur unheṅ tālīm dī jāe. 14apnī us nemat ko nazar’andāz na kareṅ jo āp ko us vaqt peshgoī ke zarīe milī jab buzurgoṅ ne āp par apne hāth rakhe. 15in bātoṅ ko faroġ deṅ aur in ke pīchhe lage raheṅ tāki āp kī taraqqī sab ko nazar āe. 16apnā aur tālīm kā ḵẖās ḵẖayāl rakheṅ. in meṅ sābitqadam raheṅ, kyūṅki aisā karne se āp apne āp ko aur apne sunne vāloṅ ko bachā leṅge.