1 Thissalunīkiyoṅ 4

allāh ko pasandīdā zindagī

1bhāiyo, ek āḵẖirī bāt, āp ne ham se sīkh liyā thā ki hamārī zindagī kis tarah honī chāhie tāki vah allāh ko pasand āe. aur āp is ke mutābiq zindagī guzārte bhī haiṅ. ab ham ḵẖudāvand īsā meṅ āp se daraḵẖwāst aur āp kī hausalāafzāī karte haiṅ ki āp is meṅ mazīd taraqqī karte jāeṅ. 2āp to un hidāyāt se vāqif haiṅ jo ham ne āp ko ḵẖudāvand īsā ke vasīle se dī thīṅ. 3kyūṅki allāh kī marzī hai ki āp us ke liye maḵẖsūs-o-muqaddas hoṅ, ki āp zinākārī se bāz raheṅ. 4har ek apne badan par yūṅ qābū pānā sīkh le ki vah muqaddas aur sharīf zindagī guzār sake. 5vah ġairīmāndāroṅ kī tarah jo allāh se nāvāqif haiṅ shahavatparastī kā shikār na ho. 6is muāmale meṅ koī apne bhāī kā gunāh na kare, na us se ġalat fāidā uṭhāe. ḵẖudāvand aise gunāhoṅ kī sazā detā hai. ham yah sab kuchh batā chuke aur āp ko āgāh kar chuke haiṅ. 7kyūṅki allāh ne hameṅ nāpāk zindagī guzārne ke liye nahīṅ bulāyā balki maḵẖsūs-o-muqaddas zindagī guzārne ke liye. 8is liye jo yah hidāyāt radd kartā hai vah insān ko nahīṅ balki allāh ko radd kartā hai jo āp ko apnā muqaddas rūh de detā hai.

9yah likhne kī zarūrat nahīṅ ki āp dūsre īmāndāroṅ se muhabbat rakheṅ. allāh ne ḵẖud āp ko ek dūsre se muhabbat rakhnā sikhāyā hai. 10aur haqīqatan āp makiduniyā ke tamām bhāiyoṅ se aisī hī muhabbat rakhte haiṅ. to bhī bhāiyo, ham āp kī hausalāafzāī karnā chāhate haiṅ ki āp is meṅ mazīd taraqqī karte jāeṅ. 11apnī izzat is meṅ barqarār rakheṅ ki āp sukūn se zindagī guzāreṅ, apne farāiz adā kareṅ aur apne hāthoṅ se kām kareṅ, jis tarah ham ne āp ko kah diyā thā. 12jab āp aisā kareṅge to ġairīmāndār āp kī qadar kareṅge aur āp kisī bhī chīz ke muhtāj nahīṅ raheṅge.

ḵẖudāvand kī āmad

13bhāiyo, ham chāhate haiṅ ki āp un ke bāre meṅ haqīqat jān leṅ jo so gae haiṅ tāki āp dūsroṅ kī tarah jin kī koī ummīd nahīṅ mātam na kareṅ. 14hamārā īmān hai ki īsā mar gayā aur dubārā jī uṭhā, is liye hamārā yah bhī īmān hai ki jab īsā vāpas āegā to allāh us ke sāth un īmāndāroṅ ko bhī vāpas lāegā jo maut kī nīṅd so gae haiṅ.

15jo kuchh ham ab āp ko batā rahe haiṅ vah ḵẖudāvand kī tālīm hai. ḵẖudāvand kī āmad par ham jo zindā hoṅge soe hue logoṅ se pahale ḵẖudāvand se nahīṅ mileṅge. 16us vaqt ūṅchī āvāz se hukm diyā jāegā, farishtā-e-āzam kī āvāz sunāī degī, allāh kā turam bajegā aur ḵẖudāvand ḵẖud āsmān par se utar āegā. tab pahale vah jī uṭheṅge jo masīh meṅ mar gae the. 17in ke bād hī hameṅ jo zindā hoṅge bādloṅ par uṭhā liyā jāegā tāki havā meṅ ḵẖudāvand se mileṅ. phir ham hameshā ḵẖudāvand ke sāth raheṅge. 18chunāṅche in alfāz se ek dūsre ko tasallī diyā kareṅ.