1 Thissalunīkiyoṅ 3

1āḵẖirkār ham yah hālat mazīd bardāsht na kar sake. ham ne faislā kiyā ki akele hī athene meṅ rah kar 2tīmuthiyus ko bhej deṅge jo hamārā bhāī aur masīh kī ḵẖushḵẖabarī phailāne meṅ hamāre sāth allāh kī ḵẖidmat kartā hai. ham ne use bhej diyā tāki vah āp ko mazbūt kare aur īmān meṅ āp kī hausalāafzāī kare 3tāki koī in musībatoṅ se bechain na ho jāe. kyūṅki āp ḵẖud jānte haiṅ ki in kā sāmnā karnā hamāre liye allāh kī marzī hai. 4balki jab ham āp ke pās the to ham ne is kī peshgoī kī ki hameṅ musībat bardāsht karnī paṛegī. aur aisā hī huā jaisā ki āp ḵẖūb jānte haiṅ. 5yahī vajah thī ki maiṅ ne tīmuthiyus ko bhej diyā. maiṅ yah hālāt bardāsht na kar sakā, is liye maiṅ ne use āp ke īmān ko mālūm karne ke liye bhej diyā. aisā na ho ki āzmāne vāle ne āp ko yūṅ āzmāish meṅ ḍāl diyā ho ki hamārī āp par mehanat zāe jāe.

6lekin ab tīmuthiyus lauṭ āyā hai, aur vah āp ke īmān aur muhabbat ke bāre meṅ acchhī ḵẖabar le kar āyā hai. us ne hameṅ batāyā ki āp hameṅ bahut yād karte haiṅ aur ham se utnā hī milne ke ārzūmand haiṅ jitnā ki ham āp se. 7bhāiyo, āp aur āp ke īmān ke bāre meṅ yah sun kar hamārī hausalāafzāī huī, hālāṅki ham ḵẖud tarah tarah ke dabāo aur musībatoṅ meṅ phaṅse hue haiṅ. 8ab hamārī jān meṅ jān ā gaī hai, kyūṅki āp mazbūtī se ḵẖudāvand meṅ qāim haiṅ. 9ham āp kī vajah se allāh ke kitne shukrguzār haiṅ! yah ḵẖushī nāqābil-e-bayān hai jo ham āp kī vajah se allāh ke huzūr mahsūs karte haiṅ. 10din rāt ham baṛī sanjīdgī se duā karte rahate haiṅ ki āp se dubārā mil kar vah kamiyāṅ pūrī kareṅ jo āp ke īmān meṅ ab tak rah gaī haiṅ.

11ab hamārā ḵẖudā aur bāp ḵẖud aur hamārā ḵẖudāvand īsā rāstā khole tāki ham āp tak pahuṅch sakeṅ. 12ḵẖudāvand kare ki āp kī ek dūsre aur dīgar tamām logoṅ se muhabbat itnī baṛh jāe ki vah yūṅ dil se chhalak uṭhe jis tarah āp ke liye hamārī muhabbat bhī chhalak rahī hai. 13kyūṅki is tarah allāh āp ke diloṅ ko mazbūt karegā aur āp us vaqt hamāre ḵẖudā aur bāp ke huzūr beilzām aur muqaddas sābit hoṅge jab hamārā ḵẖudāvand īsā apne tamām muqaddasīn ke sāth āegā. āmīn.