1 Thissalunīkiyoṅ 1

1yah ḵẖat paulus, silvānus aur tīmuthiyus kī taraf se hai.

ham thissalunīkiyoṅ kī jamāat ko likh hai haiṅ, unheṅ jo ḵẖudā bāp aur ḵẖudāvand īsā masīh par īmān lāe haiṅ.

allāh āp ko fazl aur salāmatī baḵẖshe.

thissalunīkiyoṅ kī zindagī aur īmān

2ham har vaqt āp sab ke liye ḵẖudā kā shukr karte aur apnī duāoṅ meṅ āp ko yād karte rahate haiṅ. 3hameṅ apne ḵẖudā bāp ke huzūr ḵẖāskar āp kā amal, mehanat-mashaqqat aur sābitqadmī yād ātī rahatī hai. āp apnā īmān kitnī acchhī tarah amal meṅ lāe, āp ne muhabbat kī rūh meṅ kitnī mehanat-mashaqqat kī aur āp ne kitnī sābitqadmī dikhāī, aisī sābitqadmī jo sirf hamāre ḵẖudāvand īsā masīh par ummīd hī dilā saktī hai. 4bhāiyo, allāh āp se muhabbat rakhtā hai, aur hameṅ pūrā ilm hai ki us ne āp ko vāqaī chun liyā hai. 5kyūṅki jab ham ne allāh kī ḵẖushḵẖabarī āp tak pahuṅchāī to na sirf bāteṅ karke balki quvvat ke sāth, rūh-ul-qūdas meṅ aur pūre etimād ke sāth. āp jānte haiṅ ki jab ham āp ke pās the to ham ne kis tarah kī zindagī guzārī. jo kuchh ham ne kiyā vah āp kī ḵẖātir kiyā. 6us vaqt āp hamāre aur ḵẖudāvand ke namūne par chalne lage. agarchi āp baṛī musībat meṅ paṛ gae to bhī āp ne hamāre paiġām ko us ḵẖushī ke sāth qabūl kiyā jo sirf rūh-ul-quds de saktā hai. 7yūṅ āp sūbā makiduniyā aur sūbā aḵẖyā ke tamām īmāndāroṅ ke liye namūnā ban gae. 8ḵẖudāvand ke paiġām kī āvāz āp meṅ se nikal kar na sirf makiduniyā aur aḵẖyā meṅ sunāī dī, balki yah ḵẖabar ki āp allāh par īmān rakhte haiṅ har jagah tak pahuṅch gaī hai. natīje meṅ hameṅ kuchh kahane kī zarūrat nahīṅ rahī, 9kyūṅki log har jagah bāt kar rahe haiṅ ki āp ne hameṅ kis tarah ḵẖush’āmadīd kahā hai, ki āp ne kis tarah butoṅ se muṅh pher kar allāh kī taraf rujū kiyā tāki zindā aur haqīqī ḵẖudā kī ḵẖidmat kareṅ. 10log yah bhī kah rahe haiṅ ki ab āp is intizār meṅ haiṅ ki allāh kā farzand āsmān par se āe yānī īsā jise allāh ne murdoṅ meṅ se zindā kar diyā aur jo hameṅ āne vāle ġazab se bachāegā.