1 Patras 5

allāh kā gallā

1ab maiṅ āp ko jo jamāatoṅ ke buzurg haiṅ nasīhat karnā chāhatā hūṅ. maiṅ ḵẖud bhī buzurg hūṅ balki masīh ke dukhoṅ kā gavāh bhī hūṅ, aur maiṅ āp ke sāth us āne vāle jalāl meṅ sharīk ho jāūṅgā jo zāhir ho jāegā. is haisiyat se maiṅ āp se apīl kartā hūṅ, 2gallābān hote hue allāh ke us galle kī dekh-bhāl kareṅ jo āp ke sapurd kiyā gayā hai. yah ḵẖidmat majbūran na kareṅ balki ḵẖushī se, kyūṅki yah allāh kī marzī hai. lālach ke baġair pūrī lagan se yah ḵẖidmat sar’anjām deṅ. 3jinheṅ āp ke sapurd kiyā gayā hai un par hukūmat mat karnā balki galle ke liye acchhā namūnā baneṅ. 4phir jab hamārā sardār gallābān zāhir hogā to āp ko jalāl kā ġairfānī tāj milegā.

5isī tarah lāzim hai ki āp jo javān haiṅ buzurgoṅ ke tābe raheṅ. sab inkisārī kā libās pahan kar ek dūsre kī ḵẖidmat kareṅ, kyūṅki allāh maġrūroṅ kā muqāblā kartā lekin farotanoṅ par meharbānī kartā hai. 6chunāṅche allāh ke qādir hāth ke nīche jhuk jāeṅ tāki vah mauzūṅ vaqt par āp ko sarfarāz kare. 7apnī tamām pareshāniyāṅ us par ḍāl deṅ, kyūṅki vah āp kī fikr kartā hai.

8hoshmand raheṅ, jāgte raheṅ. āp kā dushman iblīs garajte hue sherbabar kī tarah ghūmtā phirtā aur kisī ko haṛap kar lene kī talāsh meṅ rahatā hai. 9īmān meṅ mazbūt rah kar us kā muqāblā kareṅ. āp ko to mālūm hai ki pūrī duniyā meṅ āp ke bhāī isī qism kā dukh uṭhā rahe haiṅ. 10lekin āp ko ziyādā der ke liye dukh uṭhānā nahīṅ paṛegā. kyūṅki har tarah ke fazl kā ḵẖudā jis ne āp ko masīh meṅ apne abdī jalāl meṅ sharīk hone ke liye bulāyā hai vah ḵẖud āp ko kāmiliyat tak pahuṅchāegā, mazbūt banāegā, taqviyat degā aur ek ṭhos bunyād par khaṛā karegā. 11abad tak qudrat usī ko hāsil rahe. āmīn.

āḵẖirī salām

12maiṅ āp ko yah muḵẖtasar ḵẖat silvānus kī madad se likh rahā hūṅ jise maiṅ vafādār bhāī samajhtā hūṅ. maiṅ is se āp kī hausalāafzāī aur is kī tasdīq karnā chāhatā hūṅ ki yahī allāh kā haqīqī fazl hai. is par qāim raheṅ.

13bābal meṅ jo jamāat allāh ne āp kī tarah chunī hai vah āp ko salām kahatī hai, aur isī tarah merā beṭā marqus bhī. 14ek dūsre ko muhabbat kā bosā denā.

āp sab kī jo masīh meṅ haiṅ salāmatī ho.