1 Patras 2

zindā patthar aur muqaddas qaum

1chunāṅche apnī zindagī se tamām tarah kī burāī, dhokebāzī, riyākārī, hasad aur buhtān nikāleṅ. 2chūṅki āp naumaulūd bacche haiṅ is liye ḵẖālis ruhānī dūdh pīne ke ārzūmand raheṅ, kyūṅki ise pīne se hī āp baṛhte baṛhte najāt kī naubat tak pahuṅcheṅge. 3jinhoṅ ne ḵẖudāvand kī bhalāī kā tajribā kiyā hai un ke liye aisā karnā zarūrī hai.

4ḵẖudāvand ke pās āeṅ, us zindā patthar ke pās jise insānoṅ ne radd kiyā hai, lekin jo allāh ke nazdīk chunīdā aur qīmtī hai. 5aur āp bhī zindā patthar haiṅ jin ko allāh apne ruhānī maqdis ko tāmīr karne ke liye istemāl kar rahā hai. na sirf yah balki āp us ke maḵẖsūs-o-muqaddas imām haiṅ. īsā masīh ke vasīle se āp aisī ruhānī qurbāniyāṅ pesh kar rahe haiṅ jo allāh ko pasand haiṅ. 6kyūṅki kalām-e-muqaddas farmātā hai,

“dekho, maiṅ siyyūn meṅ ek patthar rakh detā hūṅ,

kone kā ek chunīdā aur qīmtī patthar.

jo us par īmān lāegā

use sharmindā nahīṅ kiyā jāegā.”

7yah patthar āp ke nazdīk jo īmān rakhte haiṅ beshaqīmat hai. lekin jo īmān nahīṅ lāe unhoṅ ne use radd kiyā.

“jis patthar ko makān banāne vāloṅ ne radd kiyā

vah kone kā bunyādī patthar ban gayā.”

8nīz vah ek aisā patthar hai

“jo ṭhokar kā bāis banegā,

ek chaṭān jo ṭhes lagne kā sabab hogī.”

vah is liye ṭhokar khāte haiṅ kyūṅki vah kalām-e-muqaddas ke tābe nahīṅ hote. yahī kuchh allāh kī un ke liye marzī thī.

9lekin āp allāh kī chunī huī nasal haiṅ, āp āsmānī bādshāh ke imām aur us kī maḵẖsūs-o-muqaddas qaum haiṅ. āp us kī milkiyat ban gae haiṅ tāki allāh ke qavī kāmoṅ kā elān kareṅ, kyūṅki vah āp ko tārīkī se apnī hairat’aṅgez raushnī meṅ lāyā hai. 10ek vaqt thā jab āp us kī qaum nahīṅ the, lekin ab āp allāh kī qaum haiṅ. pahale āp par raham nahīṅ huā thā, lekin ab allāh ne āp par apne raham kā izhār kiyā hai.

allāh ke ḵẖādim

11azīzo, āp is duniyā meṅ ajnabī aur mehamān haiṅ. is liye maiṅ āp ko tākīd kartā hūṅ ki āp jismānī ḵẖwāhishāt kā inkār kareṅ. kyūṅki yah āp kī jān se laṛtī haiṅ. 12ġairīmāndāroṅ ke darmiyān rahate hue itnī acchhī zindagī guzāreṅ ki go vah āp par ġalat kām karne kī tuhamat bhī lagāeṅ to bhī unheṅ āp ke nek kām nazar āeṅ aur unheṅ allāh kī āmad ke din us kī tamjīd karnī paṛe.

13ḵẖudāvand kī ḵẖātir har insānī iḵẖtiyār ke tābe raheṅ, ḵẖwāh bādshāh ho jo sab se ālā iḵẖtiyār rakhne vālā hai, 14ḵẖwāh us ke vazīr jinheṅ us ne is liye muqarrar kiyā hai ki vah ġalat kām karne vāloṅ ko sazā aur acchhā kām karne vāloṅ ko shābāsh deṅ. 15kyūṅki allāh kī marzī hai ki āp acchhā kām karne se nāsamajh logoṅ kī jāhil bātoṅ ko band kareṅ. 16āp āzād haiṅ, is liye āzādānā zindagī guzāreṅ. lekin apnī āzādī ko ġalat kām chhupāne ke liye istemāl na kareṅ, kyūṅki āp allāh ke ḵẖādim haiṅ. 17har ek kā munāsib ehatirām kareṅ, apne bahan-bhāiyoṅ se muhabbat rakheṅ, ḵẖudā kā ḵẖauf māneṅ, bādshāh kā ehatirām kareṅ.

masīh ke dukh kā namūnā

18ai ġulāmo, har lihāz se apne mālikoṅ kā ehatirām karke un ke tābe raheṅ. aur yah sulūk na sirf un ke sāth ho jo nek aur narmdil haiṅ balki un ke sāth bhī jo zālim haiṅ. 19kyūṅki agar koī allāh kī marzī kā ḵẖayāl karke beinsāf taklīf kā ġam sabr se bardāsht kare to yah allāh kā fazl hai. 20beshak is meṅ faḵẖar kī koī bāt nahīṅ agar āp sabr se piṭāī kī vah sazā bardāsht kareṅ jo āp ko ġalat kām karne kī vajah se milī ho. lekin agar āp ko acchhā kām karne kī vajah se dukh sahanā paṛe aur āp yah sazā sabr se bardāsht kareṅ to yah allāh kā fazl hai. 21āp ko isī ke liye bulāyā gayā hai. kyūṅki masīh ne āp kī ḵẖātir dukh sahane meṅ āp ke liye ek namūnā chhoṛā hai. aur vah chāhatā hai ki āp us ke naqsh-e-qadam par chaleṅ. 22us ne to koī gunāh na kiyā, aur na koī fareb kī bāt us ke muṅh se niklī. 23jab logoṅ ne use gāliyāṅ dīṅ to us ne javāb meṅ gāliyāṅ na dīṅ. jab use dukh sahanā paṛā to us ne kisī ko dhamkī na dī balki us ne apne āp ko allāh ke havāle kar diyā jo insāf se adālat kartā hai. 24masīh ḵẖud apne badan par hamāre gunāhoṅ ko salīb par le gayā tāki ham gunāhoṅ ke etibār se mar jāeṅ aur yūṅ hamārā gunāh se tālluq ḵẖatm ho jāe. ab vah chāhatā hai ki ham rāstbāzī kī zindagī guzāreṅ. kyūṅki āp ko usī ke zaḵẖmoṅ ke vasīle se shifā milī hai. 25pahale āp āvārā bheṛoṅ kī tarah āvārā phir rahe the, lekin ab āp apnī jānoṅ ke charvāhe aur nigrān ke pās lauṭ āe haiṅ.