1 Yūhannā 5

duniyā par hamārī fatah

1jo bhī īmān rakhtā hai ki īsā hī masīh hai vah allāh se paidā ho kar us kā farzand ban gayā hai. aur jo bāp se muhabbat rakhtā hai vah us ke farzand se bhī muhabbat rakhtā hai. 2ham kis tarah pahachān lete haiṅ ki ham allāh ke farzand se muhabbat rakhte haiṅ? is se ki ham allāh se muhabbat rakhte aur us ke ahkām par amal karte haiṅ. 3kyūṅki allāh se muhabbat se murād yah hai ki ham us ke ahkām par amal kareṅ. aur us ke ahkām hamāre liye bojh kā bāis nahīṅ haiṅ, 4kyūṅki jo bhī allāh se paidā ho kar us kā farzand ban gayā hai vah duniyā par ġālib ā jātā hai. aur ham yah fatah apne īmān ke zarīe pāte haiṅ. 5kaun duniyā par ġālib ā saktā hai? sirf vah jo īmān rakhtā hai ki īsā allāh kā farzand hai.

īsā masīh ke bāre meṅ gavāhī

6īsā masīh vah hai jo apne baptisme ke pānī aur apnī maut ke ḵẖūn ke zarīe zāhir huā, na sirf pānī ke zarīe balki pānī aur ḵẖūn donoṅ hī ke zarīe. aur rūh-ul-quds jo sacchāī hai is kī gavāhī detā hai. 7kyūṅki is ke tīn gavāh haiṅ, 8rūh-ul-quds, pānī aur ḵẖūn. aur tīnoṅ ek hī bāt kī tasdīq karte haiṅ. 9ham to insān kī gavāhī qabūl karte haiṅ, lekin allāh kī gavāhī is se kahīṅ afzal hai. aur allāh kī gavāhī yah hai ki us ne apne farzand kī tasdīq kī hai. 10jo allāh ke farzand par īmān rakhtā hai us ke dil meṅ yah gavāhī hai. aur jo allāh par īmān nahīṅ rakhtā us ne use jhūṭā qarār diyā hai. kyūṅki us ne vah gavāhī na mānī jo allāh ne apne farzand ke bāre meṅ dī. 11aur gavāhī yah hai, allāh ne hameṅ abdī zindagī atā kī hai, aur yah zindagī us ke farzand meṅ hai. 12jis ke pās farzand hai us ke pās zindagī hai, aur jis ke pās farzand nahīṅ hai us ke pās zindagī bhī nahīṅ hai.

abdī zindagī

13maiṅ āp ko jo allāh ke farzand ke nām par īmān rakhte haiṅ is liye likh rahā hūṅ ki āp jān leṅ ki āp ko abdī zindagī hāsil hai. 14hamārā allāh par yah etimād hai ki jab bhī ham us kī marzī ke mutābiq kuchh māṅgte haiṅ to vah hamārī suntā hai. 15aur chūṅki ham jānte haiṅ ki jab māṅgte haiṅ to vah hamārī suntā hai is liye ham yah ilm bhī rakhte haiṅ ki hameṅ vah kuchh hāsil bhī hai jo ham ne us se māṅgā thā.

16agar koī apne bhāī ko aisā gunāh karte dekhe jis kā anjām maut na ho to vah duā kare, aur allāh use zindagī atā karegā. maiṅ un gunāhoṅ kī bāt kar rahā hūṅ jin kā anjām maut nahīṅ. lekin ek aisā gunāh bhī hai jis kā anjām maut hai. maiṅ nahīṅ kah rahā ki aise shaḵẖs ke liye duā kī jāe jis se aisā gunāh sarzad huā ho. 17har nārāst harkat gunāh hai, lekin har gunāh kā anjām maut nahīṅ hotā.

18ham jānte haiṅ ki jo allāh se paidā ho kar us kā farzand ban gayā hai vah gunāh kartā nahīṅ rahatā, kyūṅki allāh kā farzand aise shaḵẖs ko mahfūz rakhtā hai aur iblīs use nuqsān nahīṅ pahuṅchā saktā.

19ham jānte haiṅ ki ham allāh ke farzand haiṅ aur ki tamām duniyā iblīs ke qabze meṅ hai.

20ham jānte haiṅ ki allāh kā farzand ā gayā hai aur hameṅ samajh atā kī hai tāki ham use jān leṅ jo haqīqī hai. aur ham us meṅ haiṅ jo haqīqī hai yānī us ke farzand īsā masīh meṅ. vahī haqīqī ḵẖudā aur abdī zindagī hai.

21piyāre baccho, apne āp ko butoṅ se mahfūz rakheṅ